Part 9

48 1 0
                                    

Aaj Bina ko discharge hona tha, Rohan ne hospital ki saari bill clear ki. Phir taxi bulakar un sab ko bithakar, taxi driver ko aahista chalane ko kaha. Ghar pahunchte hi us ne apni packing shuru kardi.
Farhath ne kaha bhi ke thodi der rest karke chale jao lekin woh jaane ke liya das minute mein hi tayyar hogaya. Jaane se pehle woh uper aaya aur sab ko Khuda Hafiz kaha, Samar ke aankhon mein aansoo aagaye unhoun ne bahut si dua di, Bina bi bahut shukr guzar thi, use kuch kaha nahi gaya bas aansoo baharahi thi, Rohan ne us ke aansoo saaf kiye aur kaha "Please Bina roo mat, sab theek hojaye ga, main chalta houn, apna aur baby ka bahut qayal rakna"
Bina ne sirf jii kaha, Rohan ko bhi wahan rukna mushkil hogaya aur bahar nikal gaya.
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
Din jaise par lagakar guzarahe the, Nudrath ka phone aaya ke Anwer mamu ke saat jaaker baby ka passport banaye. Aur udher se un logon ka visa bhi aagaya. Aur dekte hi dekte Bina ke jaane ka din aan pahuncha, Samar ek taraf khush thi ke Bina apne miyan ke paas jarahi hai, lekin dusri taraf us ka un sab ko chodh kar itni door jaana pareshan karraha tha. Tamam packing mukammil hochuki thi, Bina bahut udaas horahi thi, maa behen se phele kabhi juda nahi howi thi. Jaise jaise airport jaane ka waqt aaraha tha, us ka dil bahut ghabraraha tha. Bar bar is ka dhiyan Rohan ki taraf jaraha tha. Phir is ne bahut sochne ke baad Rohan ko phone milahi diya. Doosri bell per hello kaha
BINA: Assalamualaikum Rohan, Bina bol rahi houn..
ROHAN: Waalaikummusalam Bina, kaisi ho.
BINA: Alhamdulillah theek, mein jaarahi houn Rohan.
ROHAN: Woh kuch bol hi nahi paaya..bas ghehri saans kheench kar rehgaya..
BINA: Rohan, aap sun rahe hai na..
ROHAN: Haan..
BINA: Mere liye bahut dua kijeye Rohan.
ROHAN: Tum hamesha meri dua mein rehti ho Bina. Apne aur Ahmer ka bahut khayal rakna.
BINA: Aap ko kehne ki zaroorat toh nahi, lekin phir bi, Ammi aur Tara Saman ka dhiyan rakhiye..
ROHAN: Haan. Tum befikr hokar jao, yahan ki bilkul fikr mat karo.
BINA: Ji. Woh rakne ko thi phir, pukarliya Rohan..
ROHAN: Haan bolo main sun raha houn.
BINA: Apna bahut zyada qayal rakna Rohan, kioun ke koi hai jo aap ke liye bahut fikrmand hai..keh kar phone rakdiya. Aur woh mobile haat mein liye bahut der tak ghoor ta raha aur aankhon se aansoo pochraha tha..
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
Airport mein sab hi bahut zyada rorahe the. Anwer mamu bhi aaye howe the, Farhath Samar ko samhal rahi thi, Anwer mamu Tara aur Saman ko chup kara rahe the. Phir flight ki aaqri announcement howi toh woh sab se milkar bahut udaas ander chaligayi
Frankfurt jo Germany ka capital tha, wahan pahunch kar woh jaise hi airport se bahar aayi, Nudrath khala aur Shamroz khalu is ke intizar mein khade howe the, us ki nazre idher udher Arsalan ko dhoondrahi thi, tab hi khala ne bahut pyar se Ahmer ko apne godh mein liya aur pyar kia, khalu ne us ke saaman liya aur car ki taraf chalne ka ishara kiya. Us se raha nahi gaya aur aaqir pooch hi liya, "khala Arsalan nahi aaye" unhoun ne Ahmer ko pyaar karte howe gaadi mein baiti aur bataya ke woh ek seminar ke liye bahar gaya hai do teen din mein aajaye ga. Woh udaas hogayi aur kidki ke ustaraf moun pher liya ke apna aansoo chupa sake.
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
Gaadi ek khoobsurat apartment ke saamne rukhi, kayi manzilo wala ye apartment mein beesween floor per unka flat tha, ander dakhil hokar woh Ahmer ko lena chaha lekin Nudrath ne mana kardiya ye kehkar ke "pehle tum naha dho kar fresh hojao" unhoun ne us ka kamra dikhaya. Chota sa furnished room jis mein attached bath tha. Woh kapde utha kar nahane chali gayi. Naha kar apne aap ko bahut fresh feel howa. Bahar se Ahmer ki rone ki awaaz aayi jaldi jaldi towel utara aur dupatta oode bahar aagayi.
BINA: Layiye khala us ko bhook lagi hai feed karani hai.
NUDRATH: Lo pakado aur feed karake lakar mere paas do mujhe jii bharke pyar karni hai ise. Unhoun ne us ka matha chuma aur Bina ke paas dediya.
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
Dusre din suba suba khala ne kamre ka darwaza khatkhataya, woh neend se hadbada uthi, ankhen masalte howe darwaza khola tu khala kamar mein haath rakhe is ko sunarahi thi,
NUDRATH: Kiun bibi, utne ka irada nahi hai, ghadi ki soui saat baja chuki hai. Chalo jaldi aao mere saat main sab kuch samjhati houn. Mujhe aur tumhare khalu ko abhi kaam pe nikal na hai.
BINA: Ji khala, woh raat Ahmer ne bahut der tak jagaye rakha isiliye der hogayi.
Woh Nudrath ke peche peche kitchen mein aati howi safayiyan dene lagi.
NUDRATH: Dekho Bina, mujhe aur tumhare khalu ko subah aat baje kaam ko nikalna hai, is liye tum kal se jald utjaaya karo. Nashta banakar hame lunch bi pack karado, raat ko hum saat baje tak aajayenge, Yeh roz ka cooking menu hai, ise follow karo.
Woh fridge pe chipke paper ki taraf ishara karte howe kaha aur kitchen ki sab cheezen dikhane lagi.
BINA: Ji, khala main karlongi. Aap fresh hojayiye main breakfast banati houn. Nudrath ne bread aur anda fridge se bahar nikal kar is ke aage rakkdiya aur bahar jaate jaate kaha "Nashta jald banakar lunch bhi pack kardo"
Bina ne jaldi jaldi haath chalaya bread omelette aur chai banakar dining table per rakkar khala ko awaz di ke nashta tayyar hai, phir kitchen pe aake fridge pe chit dekha to us pe ghee rice dal fry aur chicken tikka likha tha. Us ki samaj mein nahi aaya itne kam waqt mein kaise hoga. Jaldi bahar bhag kar khala se poocha to unhoun ne kaha, aaj noodles pack karke dedo, raat ke liye woh menu banado.
Woh "theek hai" kehti howi bhag kar kitchen mein aayi jaldi jaldi kitchen se hi khala se masaloun ke baare mein poocha aur banadiya. Lunch pack hi karrahi thi, ke Ahmer ke roone ki awaz aayi, dono tiffins dining table per rak kar kamre ki taraf bhagi. Ahmer bhook se bahut ro raha tha, jaldi use uthakar feed karane lagi, Itne mein khala darwaza knock karne lagi, darwaza khola toh khala jaane ke liye ready khadi thi, khala aur khalu ne Ahmer ko pyar kiya aur isko takeet ki ke bacche ka qayal rakhe, darwaza band karle aur agar kabhi bi kuch zaroorat padhe tho samne flat mein un ki dost ki family rehti thi un se madad lele. Woh un ke piche se darwaza band karke apne aap ko bed pe giraliya, kamar dard se phat raha tha aur is ne Ahmer ko apne bahoun mein liya toh jaise saari dard ghaib hogayi. Najaane kab woh neend ke aghosh mein chaligayi, chounki us waqt jab phone ki bell baji ghadi pe nazar padi to bara baj rahe the, us ne jaldi phone uthaya doosri taraf ammi thi, un ki awaz sun kar use rona aagaya, apne aap ko control kiya aur acche se maa behen ke paas baath ki, kiou ke woh unko aur pareshan nahi karna chahti.
Sab se baat karke woh thoda relaxed hogayi, Ahmer abhi tak soraha tha, woh kitchen mein gayi baccha howa noodles garm kiya aur khaliya aur ek baar phir bistar per aaker let gayi tabhi Ahmer jaag gaya use nehlakar tayyar kiya aur phir us ke saat waqt guzarne ka pata hi nahi chala.
Maqrib padh kar kitchen mein aagayi aur raat ke khane ki tayyari karne lagi Ahmer ka carry cot ko wahin paas rakliya aur khana banane lagi, kaafi waqt laggaya prepare karne mein kioun ke har cheez dhund dhund kar nikalna pada. Kaam abhi khatam howa to bell baji, door khola dekha khala aur khalu theh, unhein salam kiya aur paani lakar diya, khala ne paani piya aur chai ka order karte howe kamre mein ghus gayi, woh chai banakar kamre mein dene, jab darwaza ke knob mein hath rakkha to darwaza khul gaya.

Ander se aati awaz use mutawaja kia, khala Arsalan se baat karrahi thi, "Beta, zid nahi karte ek baar aakar chale jao, dekho to sahi tumhara beta kitna cute hai, bilkul tumhara bacchpan ka xerox" Itne mein khalu ki nazar is per padi "Aajao beta wa...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Ander se aati awaz use mutawaja kia, khala Arsalan se baat karrahi thi, "Beta, zid nahi karte ek baar aakar chale jao, dekho to sahi tumhara beta kitna cute hai, bilkul tumhara bacchpan ka xerox" Itne mein khalu ki nazar is per padi "Aajao beta wahan kioun khadi", Woh chai ki tray khalu ke samne kiya phir khala ke samne kiya to uno ne side table per rak kar jaane ka ishara kiya, woh chai rakh kar bahar aane lagi toh khalu ne pukara " Ahmer ko mere paas le aao beta" Toh woh Ji kehkar bahar aagayi, Ahmer ko un ke hawala kiya aur kamre mein aagayi..
Ek naya darr is ke dimaq mein aagaya, woh ye janti thi ke kuch gadbad hai lekin khala ke baath se aaj confirm hogaya ke Arsalan is shadi se naqush hai. Dil bahut tez dhadak raha tha, ab kia hoga aage ye sooch sooch kar sar dugh gaya.

Tabhi khala Ahmer ko lakar is ke haath mein diya "Lo ise feed karado roraha hai, shayad bhook lagrahi hai, aur khana lagado jaldi se"Kehti howi darwaza band karke bahar nikal gayi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Tabhi khala Ahmer ko lakar is ke haath mein diya "Lo ise feed karado roraha hai, shayad bhook lagrahi hai, aur khana lagado jaldi se"
Kehti howi darwaza band karke bahar nikal gayi.
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

Mile Tum Se Bhichadke HumWhere stories live. Discover now