Part 13

101 1 2
                                    

ROHAN: Assalamualaikum Bina, kaisi ho, sab theek toh hai na wahan?
BINA: Waalaikummusalam, Haan Alhamdulillah sab theek hai, aap sunai ye kaise ho aap aur Aunty?
ROHAN: Haan sab khairyat hi hai, Arsalan kaisa hai, tumhare saat accha toh hai na?
BINA: Acche hain balke bahut hi acche hain mere saat. Aapne aise kyun pocha?
ROHAN: Pata nahi Bina, tum sach bi kehrahi ho, ya mujhe taal rahi ho, lekin mujhe tasalli hi nahi ke tum wahan khush ho, ajeeb ajeeb se khayalat aate rehte hain.
BINA: Aisi koi baat nahi Rohan, Alhamdulillah main bahut khush houn.
Rohan: Allah kare aisa hi ho, aur tumhara junior kaisa hai?
BINA: Woh bhi Mashallah bahut accha hai.
Accha Rohan mein baad mein baat karti houn Ahmer jaag gaya shayad roraha hai. Khuda Hafiz. Is ne phone rakdiya aur phoot phoot ke rodi, Rohan see baat karte waqt is ne apne aap ko bahut hi mushkil se se sambhala. Usse kitni fikr is ki, bar bar pochta hai ke main khush houn ke nahi, lekin Jin logon see mera wabasta hai, unhen koi parwa hi nahi..
Woh acche se moun dhoke Aunty ke paas aagayi,
NIGAR: Kis ka phone tha beta?
BINA: Behen ka tha, un logon ka aaj result tha, Sara ne top kiya hai aur Sanam ne 75% liya hai.
NIGAR: Mashallah ye toh badi khushi howi, Allah tumhare behno ke naseeb accha kare, Aameen.
BINA: Aameen, Allah mere behoun ko har gham aur aazmaish se door rakhe..
NIGAR: Accha Bina ye kuch paise hain rakhlo.. Unhoun ne is ke haat mein thamai.
BINA: Ye kia Aunty, aap mujhe sharmida karrahi hai. Is ne apna haath piche kia.
NIGAR: Aree Bina beta... ye tumhari mehnath ki kamai hai, dekho kitne dress tum ne mujhe complete karke dii. Rakho isse, unhoun ne 300 Euros is ko thamaya.
BINA: Aunty main kia karoon is ka, aap ye paise meri ammi ko bhejdijiye please.
NIGAR: Theek hai per kuch apne paas bhi rakh kar saving karo najane kab zaroorat padh Jaye. Unhoun ne 100 Euros is ke haath mein diya aur 200 Euros bhjne ke liye alag rakdi. Ek kaam karo tum apni Ammi se bank account number aur details pocho main abhi transfer kardeti houn..unhoun ne apna phone usse thamaya, lekin aunty ammi paise ke baare mein pochengi shayed unhen pasand na aaye..
NIGAR: Tum milao phone main baat karongi tumhari ammi see..
BINA: Theek hai aunty, aur ye 200 Euros kitne howe hamare hisaab se..
NIGAR: Lagh bhag 16000/- hote hain.
BINA: Aap ka bahut bahut shukriya Aunty, aap ne meri itni madad ki..is see mere ammi ko asaani hogi. Unki tension kam hogi. Us ke chechre per khushi aur sukoon thi.
NIGAR: Accha ab tum milao phone..
Bina ne phone milaya to Sara ne hi uthaya..
SARA: Hello
BINA: Assalamualaikum Sara mein bina, Ammi ko bulao zara.
SARA: Ji aapi, sab theek hai na, aur ye number kis ka hai..
BINA: Mere neighbour aunty ka..Sab theek hi hai, bas ammi se baat karni hai.
SARA: Ji abhi deti houn. Us ne ammi ko bulakar phone thamaya..
SAMAR: Assalamualaikum Bina beta kaisi ho tum. Sab theek to hai na..
BINA: Alhamdulillah sab theek hai Ammi, aap bahut ghabrati hain.
SAMAR: Kia karoon beta, jab bhi tumhara phone aata hai, mera dil ki dhadkan tez hojati hai.
BINA: Aap bhi na ammi. Kuch mat sochiye main bilkul maze se houn aur aap ka nawasa bhi ek dum theek hai..bas aap se bank details pochne ke liye phone kiya.
SAMAR: Tum ne phir wohi baat ki, main ne mana kia tha tumhe..woh gussa hone lagi..
BINA: Aap samaj nahi rahi, ye aap ke behen ya Arsalan ke paise nahi hain..mere hain..
SAMAR: Phir wohi baat, Kal unlogon ku pata chalega ke tum un ke diye howe paise mujhe bhejti ho toh batao tumhari Kia izzat rehjaygi..
BINA: Ammi ek minute aap meri baat suniye, main saara saara din ghar baite baite bore horahi thi, toh meri padosi aunty Jo designer hai, unhoun ne mujhe unko help karne ki offer ki, aur chounke mujhe acchi khasi silayi aati hai, mein un ki help kardeti houn, aur unhoun ne mujhe mera muafza diya hai. Ab aap batayiye agar aap ka beta hota toh aap us ka paise nahi leti kia.. Mujhe apna beta samjhe..Please apna bank details is number per message kijiye.
SAMAR: Per Bina, ye acchi baat toh nahi naa..
BINA: Ammi ab agar aap kuch bhi kahengi main naraz hojangi, yeh mere mehnat ke paise hain. Aur is hunar ko aap ne hi mujhe sikhyi thi.
SAMAR: Theek hai beta, Allah tumhe khush rakhe, Aapa Bhaijan Arsalan sab kaise hain, aur nanhe Ahmer kaisa hai..
BINA: Alhamdulillah sab theek hain. Aur sara sanam ki acche collage mein admissions karadijiye. Bas aap jaldi bhjiye details, rakhti houn. Allah hafiz.
SAMAR: Allah hafiz beta..Allah tumhe kamyaab kare.
🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁
Ammi ko paise bhejkar aaj us ko itna sakoon mehsoos howa ke aunty ke paas se wapas aakar khana pakate howe baar baar chehre pe hasi aarahi thi, phir kaam se fariq hoker woh Ahmer ko aunty ke paas se le aayi, khala khalu mamool ke mutabiq aake khana khake let gaye, woh Ahmer ko sulaker khud bhi sukoon ki neend sogayi.
🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼
Din mahino aur mahino saal hogaye, aaj isko wahan gaye poore che saal hogaye, aaj bhi woh usse ussi shiddat se chahta aur yaad karta.
Aaj usse sheher ke mashhoor hospital se job ki offer aayi thi, us ke ammi abbu bahut khush the, woh mithai ka dibba lekar uper aaya toh sanam phone pe lagi howi thi, usse dekhte hi phone aage kardiya 'Rohan bhaiya se baat kijeye'

Mile Tum Se Bhichadke HumWhere stories live. Discover now