Part 6

121 1 0
                                    

Un logon ko gaye ek week hogaya, Nudrath ne bas ek bar baat ki, lekin Arsalan to khiryt poochne ki bhi zehmath nahi ki. Samar apni beti ko pareshan dekh rahi thi, usse raha nahi gaya toh Bina se kaha ke woh khud hi Arsalan ko call karle. Lekin Bina gussa hogayi.
BINA: Ammi, main kioun karon phone, unhe chahiye tha ke mere khairyt​ maloom kere.
SAMAR: Haan, jaanti houn mein lekin woh doctor hai beta bahut busy hota hoga.
BINA: Nahi Ammi main nahi karongi baath​.
SAMAR: Dekho Bina, ab tumhari shadi hochuki hai, thodi maturity​ paida karo ander. Baccho si zid nahi karo. Ruko main Aapa see baat karti houn. Kehte howe Nudrath ka number dial kiya. Udher phone Arsalan ne hi uthaya.
SAMAR: Assalamualaikum beta,
ARSALAN: Walaikummussalam ji, Kon.
SAMAR: Samar bolrahi houn. Kaise ho tum.
ARSALAN: Are khala aap, main theek houn, aap sab kaisi hain.
SAMAR: Alhamdulillah, hum sab khiryt se hin, beta Bina tumhare liye udaas horahi thi, ye lo baat karo. Bina ne ishare se Samar ko mana karrahi thi, lekin unhon nee phone zabardasti​ is ke haath mein thamadiya aur kamre mein chaligayi.
BINA: Assalamualaikum.
ARSALAN: Walaikummussalam, kaisi ho.
BINA: Ji, Allah ke fazal se theek houn.
ARSALAN: Yaad kioun kiya.
BINA: Nahi, woh bas Ammi ne kehdiya.
ARSALAN: Accha OK main baad mein call karonga tumhare papers main ne jama kardiya hai, ek do mahine lagayenge.
BINA: Ji, theek hai. Aur udher shayed bahut hi jaldi mein tha ke phone rak bhi diya.
Abhi phone rakkhe do minute bhi nahi howa, phir call aayi. Is ne hello kaha toh dusri taraf Nudrath thi, kaafi saqt lehje mein baat ki.
BINA: Hello.
NUDRATH: kyun Bibi, tumhe sirf apne miyan se hi baat karni thi, hum ne aisa kia kardiya tumhe ke hame pocha bhi nahi.
BINA: Khala woh actually, Arsalan bahut jaldi mein the toh unhoun ne rakdiya, mein baath karne wali thi aap see. Woh kehrahi thi aur unhoun ne call disconnect kardiya. Is ne sar pakadliya. Ammi Abbu yeh kahan phasadiya aap ne mujhe. Maa bete ke misaaj hi nahi milte..
Thode dino se uski tabyat bhojal horahi thi, Samar use doctor ke pass legayi. Doctor ne kuch test karke unhe mubarakbad dii ke Bina maa banne wali hai. Samar bahut khush howi Bina ke dil mein bhi ajeeb si feeling aayi, aur ek udaas si muskurat us ki chehre pe aagai. Woh log ghar pahounche to un ka saamna Farhath se hogaya, unhe bhi ye good news sunayi to woh bahut khush howi aur Bina ko dher saari duaen di, uper aakar sab se pehle Samar ne Nudrath ko call lagai aur ye khushi sunai, Nudrath bahut khush howi bahu se bhi acche se baat ki aur ye bhi kaha ke "tum apni tabyat ka khaas khayal rakho, chaho to delivery udher ki karalena" Phir Samar se bhi lambi baat ki aur kaha ke Arsalan aate hi woh phone karayegi. Ghar me sab ko bahut zyada khushi horahi thi, itne saal baad ghar mein ek baby aaraha tha.
Raat jab woh sone keliye leti toh Arsalan ka phone aaya, baat se hi pata nahi lagra tha ke woh khush hai ya nahi bas Bina se thodi der baat ki, yeh bhi kaha ke kuch paise bhejega aur kisi acche se gynocologist se appointment le. Woh bas usko sun ke, unn..aann.. haan..karrahi thi, phir thodi der baat karne ke baad is ne phone rakha aur Bina ne socha, Shayad mera baccha mere tension qatam karne aaraha hai.
🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀
Jab se yeh qabar mili Nudrath ka roz phone aata. Arsalan bi kabhi kabhi phone karleta uske kehne par, sheher ke mashoor gynocologist ke paas appointment li, use lagraha tha ke us ki zindagi badalrahi hai, ek nanhi si jaan is ke ander aate hi is ki saari dard bhuladi. Woh sab kuch bhulne lagi. Jab kabhi niche jaati hasti muskurati aur agar Rohan ka saamna hota to bus Salam karke use ignore kardeti.
Rohan ko us ka ignore kardena bahut taklif deta, lekin jaanta tha ke insaan apni pehle mohaabbat bhulaye nahi bhulta. Woh us ki khush dekh kar aasmaan ke taraf dekh kar rab se dua karta ke use hamesha khush rakhe.
💐💐💐💐💐💐💐💐💐💐
Phir din par laga kar guzarrahe the, Achanak ek din Jamshed ki tabyat qarab howi, Samar ke haath paoun phool gaye, un ki samaj mein kuch nahi aaya toh Tara se kaha niche see jaldi Farhath ko bula lao. Tara bhagi lekin Farhath nahi Rohan aaya bhag kar. "Aunty Ammi nahi hai, Nani Ammi ke paas gayi hain, aap ghabraiye nahi, main ambulance ko phone karta houn". Das minute baad ambulance aayi aur hospital pahunchte hi Jamshed ne dum todh di. Samar ka bura haal tha, Rohan wahi se maa ko phone karke haalath bataye aur kaha ke fauran ghar ku jaaye, woh abhi thodi der mein pahunchenge.
Bina Tara aur Saman sehmi howi baiti thi, ke darwaza baja, jab Tara ne darwaza khola to Farhath roti howi yeh qabar sunayi, teeno chenkhen mar kar ro rahi thi, Farhath ki samaj mein nahi aaya kaise chup karaye. Itne mein niche Gate baja toh Tara aur Saman niche bhagi woh bhi inke piche aagayi, Ambulance se Rohan maa ke pass aakar pocha "Ammi niche hi sab intizam karlete hain"
FARHATH: Haan beta,.. woh Nudrath ko Tara aur Saman se lipat kar rote howe dekha, beiqtiyar un ki taraf gayi aur ander le aayi, sab padosi jama hogaye the, Nudrath se badi mushkil se rishtadar ke number le kar Rohan ko dii ke sab ko sunaye.
Rohan ne dekha Tara aur Saman tho thi lekin Bina abhi niche nahi aayi, woh beiqtiyar uper ki taraf bhaga, Bina but bani baithi howi thi,
Bina Please, utho anty sab niche hai, woh waise hi baiti rahi. Pani ka glass ke lekar pass aaya aur phir pukara.
"Bina" woh is ka kandah pakad ke uthaya aur pani ki chinta us ke chehre pe mara, woh jaise chaunk gayi.
"Rohan mere Abbu" woh jaise hosh kho baiti, is ke gale laggayi aur tadap tadap kar rorahi thi, Rohan ki samaj mein nahi aaya kaise chup karaye. Woh us ka baal ko sehlakar use chup kararaha tha, please "Bina apne aap ko samhalo aao niche" Woh nahi maan rahi thi,
"Nahi Rohan mujhe darr lagraha hai" Us ne rote howe kaha.
"Chalo aau mein houn na" woh us ka haath thame niche aaraha tha, seediyoun se dekha aas paas ke kaafi log jama hogaye the, is ne dheere se Bina ka haath chodh diya aur aage chala gaya. Bina aahista niche aayi aur aate hi maa se lipat ke is tarah royi ke har ek ke ankhon mein aansoo aagaye.
Jab Jamshed ko aaqri manzil ko rawana karne lejaaraha tho, Saman behosh hogayi, Bina apne aap mein nahi thi, Baap ke janaze ke saath bhagi "please Rohan mere Abbu ko lekar mat jao, main mar jaungi un ki baghair" us ne Rohan ko roka, Rohan se us ka yeh halath dekha nahi gaya, lekin chand aurtoun ne use zabardasti pakad ke ander legaye.

Jab Jamshed ko aaqri manzil ko rawana karne lejaaraha tho, Saman behosh hogayi, Bina apne aap mein nahi thi, Baap ke janaze ke saath bhagi "please Rohan mere Abbu ko lekar mat jao, main mar jaungi un ki baghair" us ne Rohan ko roka, Rohan se us ka...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃
Sab rishtadar ek ek karke tasalli aur sabr ke kuch alfaaz adaa karke jaarahe the, is se zyada aur kuch umeed bhi nahi thi,
Jab tooti howi Samar uper jaane ke liye Farhath se ijazat mangi toh Farhath ne unhe gale lagakar aise roya ke sab ke hichkiyan baand gayi. Rohan ne sab ko chup karaya "Ammi please bas kijeye anty halkan horahi hain" phir Samar ki taraf mudhkar "Chale anty uper chaliye, mein chodh deta houn, aap apne aap ko akele mat samjiye main houn na, aap mujhe apna beta samjiye" ,"kuch bhi fikr mat kjiye". Woh bees saal ka ladka itni badappan dikharaha tha Jo kisi rishtadar ne jhoote moun bhi nahi kaha. Unhoun ne Rohan ke sar pe haath rakh kar dher saari duaen di "Allah tumhe kamyabi de aur tumhari har aarzoo poori kare" Jab unhoun ne aarzoo kaha toh Rohan ki aankhen beiqtiyar Bina ko dekha, aur Aameen kaha.
Rohan aur Farhath unhe uper choda, Farhath ne bahut dilasa diya ke kuch bhi fikr na kare aur Samar se kaha ke woh unki choti behen jaisi hai. Bahut der bait kar dono ne sab ko zabardasti khila pila kar niche aagaye.
🍂🍂🍂🍂🍂🍂🍂🍂🍂🍂🍂

Mile Tum Se Bhichadke HumWhere stories live. Discover now