Part 12

146 1 0
                                    

Sham ko woh so kar uthi to darwaze pe dastak howi, khola to samne Nigar Aunty khadi thi, aate hi ise gale lagaliya..
NIGAR: Tum theek to hona Bina beta.
BINA: Haan Aunty, main badi saqt jaan houn, theek hi houn..kehte howe do aansoo is ke gaal pe gire.
NIGAR: Aise nahi rote gudiya, tum bahut pyari ho, meri beti ho tum. Chalo ye paani piyo. Main to dar ke maare thand padgayi jab se tum darwaza bankarliya tha.
BINA: Aunty, mujhe kisi ki parwa nahi bas main apni Maa behno ke liye kuch karna chahti houn.
NIGAR: Zaroor beta. Isiliye toh main aayi houn, main chahti houn ke tum kuch karo. Kab tak ghulami karti rahogi in logon ki.
BINA: Theek kaha Aunty aap ne, bataiye mujhe kia karni hogi, kab se shuru kare hum.
NIGAR: Kal se, Jab tumhare saas sasur office ke liye rawana ho, to aajao meri taraf, agar Ahmer soraha hota hai to jagne ke baad aajao.
BINA: Ji, Aunty main kal se aajaongi.
NIGAR: OK beta, ab main chalti houn, tum dekho Ahmer ko. Allah Hafiz.
🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃
Aaj us ke liye ek nayi subah tuluh howi, woh badi jaldi uthi namaz aur Quran se fariq hokar, Ahmer ko feed karake kitchen mein aagayi, menu pe nigah dala, nashte pe poori paliya tha, lunch mein tomato rice aur kabab tha, jaldi aata gonda aur sath hi aalu galne ke liye rakdiya. Is beech lunch bhi prepare karne lagi, ek ghante ke ander woh kaam se fariq hogai, nashta table pe laga ke khala ko awaz dii, aur lunch boxes dhone khadi hogayi, khala aur khalu table pe aachuke the aur nashta karne lagi baitthe hi khala hazb mamool shuru hogai..Ye poori mein itna tel kyun hai, ye aalu sahi se nahi gala waqaira waqaira..
Is ne lunch pack karke table pe rakha aur Ahmer ke paas daudi, us ki roone ki awaz arahi thi kamre se, use godh mein leke behlayi aur phir se sulaya..
Khala ne jaate howe is ke kamre mein jhanka aur kaha ke raat ko woh log late se kha kar aayenge kiun ke ek function tha, aur ye bhi kaha ke woh kuch na pakaye, doper ka hi khale,
Woh Ji khala, keh kar phir Ahmer ki taraf mutawaja hogayi.
Un logon ke Jaane ke baad Ahmer ko nehlaya aur feed karaya phir us ke chand zaroori cheezen rakhi aur carry cot lekar Nigar aunty ke paas chali aayi.
Nigar aunty ne darwaza khola aur muskurakar use ander aane ka rasta diya aur sath hi Ahmer ko apne godh mein leliya.
BINA: Uncle chale gaye..
NIGAR: Haan, kab ka, meri toh cooking bi hogayi bas tumhara hi intazar karrahi thi. Nachta karogi tum?
BINA: Nahi, mein ne karliya, Aap ka hogaya.
NIGAR: Haan, Farjad ke saat hi karleti houn.
BINA: Aunty aap ka bahut shukriya, aap ne mujhe jeene ki ek nayi umeed dilayi.
NIGAR: Tum meri beti jaisi ho balke beti hi ho, Dekha jaaye toh tum bhi meri help karrahi ho, So formalities rehni hi do.
BINA: Issi liye aap ke paas aagayi, ke aap ko dekh kar ammi ki feel aati hai.
NIGAR: Ab tum bilkul bhi kuch tension mat lena, main ne jo bhi kaha bas ek bura khwab samaj kar bhul Jana.
BINA: Haan Aunty aap ne bilkul sahi kaha, Main sab kuch bhul jaana chahti houn. Is ne Ahmer ku dekha haath mein teether rakhe moun mein lejakar masumiat se khelraha tha. Isi ke liye jeena hai mujhe ab.
NIGAR: Haan beta, aise hi himmat se raho. Apne uper ehtimad rakho, dekho tum kia kuch nahi karsakti.
BINA: Chaliye Anty ab batiye ke kahan se shuru kare.
NIGAR: Haan dekho beta, main ne ye saari cheezen nikali hai. Shuru hum ye wala simple salwar kameez se karenge. Unhoun ne ek printed suit ka kapda liya aur bahut acchi tarike see usse cutting sikhayi. Phir attachment sikhyi aur kapde to pin kardiya ke silayi musklil na ho.
BINA: Badi acchi hunar hai aunty aap ki, mera dil chahta aaj si sab kuch sikhjaoun.
NIGAR: Accha, kehkar muskurai, Dekhna tum kitni jaldi sikhjaati ho sab kuch..
Unhoun ne phir silayi ki machine is ke aage rakha aur silayi sikhane lagi, shuru mein thodi mushkil howi Bina ko, ke ye electric machine thi aur bahut fast chalrahi thi. Phir is ne thodi hi der mein tezi pakadli aur start hogayi. Aur kaam mein itni magan howi ke karti chaligayi. Is beech Ahmer ne bhi tang nahi ki aur Nigar aunty ke paas khel raha tha, Nigar aunty ne har bariki ke baare mein bataya wahin paas hi baithe stiching techniques sikhati rahi, sirf gale ka hissa unhoun ne siya ke woh gale mein kuch design karrahi thi aur usse nahi aayi thi, woh silayi karte karte saat hi isko tarkeeb bi batarahi thi. Waqt guzarne ka pata hi nahi chala tha, doper ke dhai baj rahe the..
NIGAR: Bas Bina, thodi der kamar seedi karlo, main khana lagati houn. Woh khana lagane uthi..
BINA: Nahi aunty, please ghar mein bhi khana rakkha howa hai, waste hoga, mein namaz padh kar khana kha kar, Ahmer ko feed karake thodi der mein aati houn, woh Ahmer ko godh mein liya aur apni flat mein aagayi.
Dil mein kahin ek ghoshe mein thoda sukoon hota feel howa. Jaldi se wazu kiya aur namaz ke liye niyyat band lii, phir sab kaam se fariq hokar wapas Nigar aunty ki taraf aagayi. Ab unhoun ne shalwar cutting sikhayi, jaise woh cut karti thi, unhoun ne waise hi kiya bus pleats thode zyade rakhe, bahut easy tha woh paune ghante mein hi see ke fariq hogai, Aunty ne is ko bahut saraha, phir unhoun ne usse dosre kapde mein designing sikhayi aur gale aur aasteen ke naye naye asaan designs waste kapde mein see kar dikhayi aur is se bhi silwaya. Aser ka waqt howa toh Ahmer ko feed karake namaz ada ki. Aunty ne is ke liye juice banaker diya, Bina ne mana kiya toh woh pyar se dhanta.."Chalo piyo, saara din mehnat ki hai, apne sehet pe dihan do, jab bacche ko feed karte ho aurat ko extra energy chahiye hoti hai, tum doodh aur fruits khoob istimal karo"
BINA: Ji Aunty. Is ne has kar kaha, aur juice ka glass moun se lagaliya.
Aunty bhi namaz se fariq hoke aagayi, phir dono ne mil kar chand aur materials ki cutting ki, sab ko alag alag wrap karke rakdiya.
NIGAR: Kal ke liye easy hoga, bas silayi aur designing hi karni hai.
BINA: Haan Aunty, ye idea accha hai, kapde cut karke rakne ki..
NIGAR: Accha beta ab tum jakar aram karo baqi kal dekhi jayegi.
BINA: Ji, Aunty suba aajaongi, woh Ahmer ki cheezen sametne lagi, is beech aunty ne ek tiffen diya.
NIGAR: Lo pakdo, raat ko woh log kha kar aayenge na, tum ye khalo.
BINA: Arre, aunty is ki kia zaroorat hai, mein kuch banalungi.
NIGAR: Ab kahan banaogi, jaake rest karlo.
Bina ne tiffen liya, aur Ahmer ko godh mein liya aur apne flat mein aagayi.
Ahmer ko feed karake, sulaya phir maqrib padh kar thodi der leti, Isha ka waqt ho chala namaz ada karke aunty ka diya khana khaliya aur bistar pe aagayi, jab hi phone baja, dosri taraf khala thi, unhoun ne haal pocha aur kaha ke unko aane mein kaafi der hogi, darwaza ka chain khol de aur sirf lock rehne de, woh chabi se khol kar aajayengi. Us ne Ji Accha khala kehkar phone rakhdiya aur aakar apni bistar pe let gayi, neend bahut jald thakkan ki wajah se aagayi.
🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺
Ab is ka roz maamul banchuka tha, ke suba khala khalu ke Jaane ke baad aunty ke paas jaati aur maqrib mein aajati aur raat ka dinner tayyar karti, Aunty bahut help karti is ki, kabhi agar zyada thakti toh is ke saat hi aake khana tayyar karne mein madad bhi karti, woh na na karti lekin Aunty nahi manti. Sunday ka saara din kapde dhone, sukhane, bathoom ki safai aur ironing aur dosre kaamo mein hi guzarjata. Ammi ka phone aata toh thodi der baat karne pe dil ko sukoon milta. Arsalan ka phir aana nahi howa, na hi is ne khala se pocha. Din aise hi busy guzarrahe theh, Ab woh bahut acche se cutting bi karleti aur naye naye designs bhi kardeti, Nigar is see kaafi khush thi, us din woh aur Nigar baithe ek suit design karahe the ke is ke flat se phone ki ghanti baji, Aunty aap Ahmer ko dekhiye main phone sun ke aati houn, Is ne bhag kar flat khola aur phone uthaya toh dusri taraf Sara thi,
SARA: Assalamualaikum aapi, main Sara bolrahi houn.
BINA: Waalaikummusalam saru kaisi ho meri gudiya.
SARA: Main bilkul theek houn, aap ko khush khabri dene ke liye phone kiya ke main ne school mein top kiya hai..
BINA: Are wah, Mashallah Saru, aur Sanam ka kia nikla
SARA: Sanam ke 75% aaye hain. Ander baithi rorahi hai.
BINA: Accha, koi baat nahi usse kaho 75% bi acche hi hote hain. Ammi kahan hai?
SARA: Ammi Farhath aunty ke paas baithi baat karrahi hain, Aapi ek minute Rohan Bhai aap se baat karna chahte hain.
Bina ki Dil ki dhadkan achanak bahut tez hogayi.
🍁🍁🌸🌸🌹🌹🌼🌼🌺🌺💐💐

Mile Tum Se Bhichadke HumWhere stories live. Discover now