Part 15

97 3 0
                                    

Aunty ke paas aake is ne sab se pehla kaam Ammi ko phone kiya, raat is ne bahut socha aur final karliya ke ab woh laut jayegi. Toh is ne maa se baat karne ki thani,
Udher Samar ne phone uthaya aur bahut hi jaldi se kaha, kia baat hai Bina sab theek toh hai na, jaldi bolo..
BINA: Arre, Ammi aap bahut jaldi mein hain, sab theek toh hai na..
SAMAR: Haan, haan, sab theek hi hai, bas aaj sara ku dekhne kuch log aarahe hain.. Toh ussi ki tayaari karrahi houn. Tum kaho kia baat hai.
BINA: Ammi main darasal wapas aana chahti hoon, ab mujhse raha nahi jaata, aap nahi janti, Ahmer ke baghair main kaise jirahi houn..Bas qatam karna chahti houn ye kissa.. Is ne rodi..
SAMAR: Bina beta, please chup hojao, tum toh yahan ki halat janti ho naa. Log kaisi kaisi baatein banayenge jab tum aajao gi. Aur ab toh sara sanam ke liye rishte aarahe hain, log ek ke das karke batayenge, aise mein acche rishte nahi milenge. Please beta apne behnoun ke liye chand mahine aur kaat lo. Woh keh rahi thi aur Bina ne gussa mein aakar phone kaat diya.. Sab ki fikr hai main roz marrahi houn us ki parwah nahi, woh bilak bilak kar rorahi thi, aur aunty us ko chup kararahi thi, bahut der ke baad sambli toh aunty ke pas ijazat le lekar apne flat aagayi..
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
Roti rahi, roti rahi aur dusri taraf phone ki bell baji, jab receive kiya toh dusri taraf Arsalan tha..
BINA: Ahmer kaisa hai, kab lekar aayinge usse, please usse mere paas ladijiye..
ARSALAN: Tum das minute mein tayyar raho, main lene aaraha houn tumhe..
BINA: Kyun, mujhe kahan jaana hai..
ARSALAN: Darasal, mere ghar mein party hai raat ko, aur main chahta houn sab arrangements tum karo...
BINA: Main kyun karoon aap ke ghar ki arrangements, aap apni biwi se kahiye,
ARSALAN: Biwi se hi kehraha houn. Ready raho aata houn.. Is ne call disconnect kardi. Woh sochne lagi, kia karna chahta hai ye ab, phir Ahmer ka qayal dimag mein aate hi bhag kar kapde tabdeel karke aunty ko inform kardiya ke woh Ahmer se milne jaarahi hai..
Ek ajeeb se bechaini is ke uper tari hogai thi, jab hi phone ki ghanti baji.. Dusri taraf khalu the.. Woh uske jaane ke baare mein pooch rahe the.. Is ne kaha ke Arsalan usse lene ke liye arahe hain.. Khalu ne kaha ke woh zarror jaaye Aaj Arsalan ki promotion senior doctor ki hogai thi, aur ussi khushi mein woh sab hospital wale ko treat deraha tha, sab hi desi khana khane ki khwaish ki toh unhoun ne hi bina ka idea suggest kia kyon ke woh chahte teh ke Ahmer se mile, us ne khalu ka shukr ada kia..unhoun ne use dua di aur wahan milne ka keh kar phone rak di..
Woh Ahmer ko milne jaarahi thi, uske haat paun thand pad rahe the, woh tayyar hoke baithi, waqt kaata nai kat raha tha, Phir jab time bilkul bi nahi jaara tha toh aunty ke paas aagayi aur unse dil behlaya, aunty ne bahut dua di usse.. Aur aaqir uski ghar ki ghanti baji toh bahar jhanka toh Arsalan ko khade dekha, woh jaldi bahar aayi flat kholne lagi, Arsalan usse dekhkar kaha. 'Kisi shadi mein nahi jaarahi ho, jo aise tayar howi ho, change krke sada kapde pehenlo.. Us ne robot ke jaisa woh kia jo is ne kaha aur jald wapas aagayi aur is ke piche piche chalpadi,..
Gadi ek porch ilaqe ki aur badne lagi aur ek badi gate ke ander daqil howi.. Is ke guman mein bi nahi tha ke us ka itna bada ghar hoga..
Phir socha doctor hai accha khasa kamata hoga.. Gaadi khadte hi is ne.. 'Ahmer kahan hai' kaha
ARSALAN: Ahmer se bi millena, pehle tum khane ki tayyari kro raat ko mere kai dost aur colleague arahe hain taqreeban 40 log honge tum meri maid ke saat milkar sab tayyar krlo phir milata houn Ahmer se. Woh ghar ke ander daqil howa aur maid ko awaaz dene laga jab hi saamne se ek aurat aayi aur is ko sar se pair tak dekha.. Aur kaha 'le aaye apni friend ki maid ko tum mane nahi, mein ne kaha tha kisi acche hotel mein booking krlo'
ARSALAN: Oho, ab chodo woh log hotel pe raazi hi nahi howe.. Tab hi main ne ye faisla kia.. Phir ise kitchen ka rasta dikhaya.. Tum wahan chali jao aur kaam niptao.. Piche se is ne us aurat ko kehte suna 'kia beautiful maid hai tumhari friend ki' aur hasi, toh Arsalan ne bi is ka saat diya.. Bina ka dil toot ke karchi hogaya. Aur kia kia zillat usse uthani hogi zindagi mein soch kar aansoo aagaye, kitchen mein maid sab kuch pehlay tarteeb derahi thi ke kia pehle banaye, is ne aakar is se menu pocha aur start hogai, woh bi khush hogai aur saat saat is ki madad karahi thi, bahar shoor ki awaaz sunayi derahi thi, ghaliban mehmaan aana shuru hogaye the, is ki kaan Ahmer ki awaaz sunne ko betab tha lekin woh awaaz gum tha..

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Jan 25, 2019 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Mile Tum Se Bhichadke HumWhere stories live. Discover now