Part 11

122 3 2
                                    

Dusre din phir wohi taveel socho ka silsila is ki dimagh mein shuru hochuka tha, Nigar aunty ko Arsalan ka kaise pata, aisi kia baat hogi jo woh nahi jaanti, kia usse un ki offer qubool karleni chahiye ya nahi, phir sochti Ahmer abhi bahut chota hai usse iski poori tawaja chahihe, phir qayal apni maa behen ke baare mein aata, hosakta hai is ki thodi si mehnat wahan un ke kai zarooriyat poori karte, yehi soch kar is ke khadam Nigar aunty ke flat pe jaa rukhe..
Is ne bell bajaya to door aunty ne hi khola..
NIGAR: Aajao beta mujhe yaqeen tha tum aaogi..unhoun ne use sofe pe bithne ka ishara kia aur khud bi Bina ke saamne baitgayi.
BINA: Aunty mein ek baat jaanna chahti houn aap se, aap mujhe apni beti samaj kar batayiye.
NIGAR: Main jaanti houn tum Arsalan ke baare mein pochna chahti ho..lekin tumhara nanha dil kia itni badi baat ko seh paayega. Tumhe bahut sadma lagega beta, chodh do is zikr ko.
BINA: Aunty main ne apne Abba ko khoya tha, woh hi meri Zindagi ka sab se bada sadma tha, is se zyada aur kuch bhi bada nahi hosakta hai, main ne apni life mein bahut si ups and down dekhi howi hai aur bahut kuch khoya howa hai, aap batayiye mujhe aaqir masla kia hai.
NIGAR: Theek hai main tumhe batati houn lekin tum apne aap ko khabu mein rakho. Tumhari saas mujhe nahi baqshegi agar use pata chale ke mein ne tum se ye sab kaha hai.
BINA: Aap befikr rahiye, main hargiz bi moun nahi kholungi.
NIGAR: Tumhare sasur aur mere shoher Farjad bahut gehre dost hain, un hi ki thru se mujhe malum hota hai, warna tumhari saas kisi se seedhe moun baat tak nahi karti. Bas Farjad Shamroz Bhai ki koi pasanadida dish bane toh woh dene bhj dete hain tumhari taraf, warna tumhare saas ke tewar dekh kar mein to khadam hi na rakkhu.
BINA: Woh sab rehne de, aap Arsalan ke baare mein batiye please
NIGAR: Tume sehen nahi hogi beta please, main phir se kehrahi houn..
BINA: Aunty please main aap ke aage haat jodhti houn please..is ne Nigar ke saamne haath jodhdiye..
NIGAR: Ye kia karrahi ho Bina, Aao idher mere paas baito..unhoun ne usse apne kharib bithaliya..Baat darasal ye hai ke tumhari khala ne tumhe trap kia hai. Arsalan ki shadi howe paanch saal hochuke hain. Unhoun ne aahista se dukhi lehje mein kaha, aur Bina ko dekha, woh phati aankhon se unhe dekhrahi thi jaise abhi jo unhoun ne kaha woh galath tha..

Doosri taraf Bina ko aisa laga ke koi is ke sar pe bomb de mara hai, usse yakheen tha ke woh Arsalan ko pasand nahi thi, aur ye ke woh kisi ko pasand karta ho aur khala is ko nahi maani, lekin is ke wehem guman mein bi nahi socha ke is ki shadi ho...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Doosri taraf Bina ko aisa laga ke koi is ke sar pe bomb de mara hai, usse yakheen tha ke woh Arsalan ko pasand nahi thi, aur ye ke woh kisi ko pasand karta ho aur khala is ko nahi maani, lekin is ke wehem guman mein bi nahi socha ke is ki shadi hochuki hogi..is ne apne dil ko mazbut kiya aur apne aankhon se behte aansoo saaf kii..
NIGAR: Tum theek ho na, lo ye paani piyo. Unhoun ne isse zabardasti paani pilaya.
BINA: Jab shadi hochuki thi, toh phir mujse shadi karne ki kia zaroorat pesh aayi. Woh apne aap ko samhale phir se sawal karrahi thi..
NIGAR: Jab Nudrat ko tum logon ka condition ka pata howa toh us ke dimagh mein ye plan aaya ke, ek muft ki mulazim bahu ki surat mein lekar aate hain. kyun ke, ab Nudrat ke haat se ghar aur bahar ka kaam samhalna bahut mushkil horaha tha, Arsalan ki biwi yahan nahi rehti thi woh toh shadi ke ek week bad hi alag hogayi. Arsalan har week end pe maa baap se milleta tha, shuru mein Arsalan tum se shadi ke liye nahi maana lekin woh Arsalan ko emotionally black mail kiya, toh woh maan gaya, aur phir tum se shadi hogayi. Arsalan ki biwi ko beqabar rakkar ye log tumhare saat shadi kardi, aur yahan chale aaye, phir chand hi dino mein tumhari pregnancy ki qabar aayi toh sab bahut khush hogaye, kyun ke Arsalan ki pehli biwi ke koi aulad nahi thi, Arsalan ka kuch pata nahi tha, roz roz maa se ladai hoti aur woh yahan aana hi chodh chuka tha. Woh apni Zindagi se khush tha. Bas beta yehi kissa tha. Tum theek hona..
Us ka chehra dekh kar Nigar ko bahut dukh howa aansoo zor o qatar se behrahe the, Ahmer ne rona shuru kardiya tha, ghaliban us ko bhook lagrahi thi, Bina uthi Ahmer ko apne bahoun mein leke apne flat mein ghus gayi, Nigar piche se pokarrahi thi, beta rukho please. Lekin is ne darwaza band kardiya aur apne kamre mein aake Ahmer ko feed karate karate itna royi ke us ke aansoo Ahmer ke chehre pe girrahe the aur woh beqarar horaha tha. Isi waqt bahar se phone bajne ki awaaz aayi. Is ne apne uper qabu paaya paani piya aur phone suna. Dosri taraf is ki maa thi..
SAMAR: Assalamualaikum..
BINA:Waalaikummusalam.. Ammi, Maa ki awaz sun kar aur rona aaraha tha, magar is ne bahut mushkil se khud pe control kiya.
SAMAR: Kaisi ho Bina beta..
BINA: Alhamdulillah Ammi main bilkul theek houn..Aap sunayiye.
SAMAR: Yahan bi sab khair hi hai beta. Wahan Sab kaise hain. Aur hamara nanha Ahmer kaisa hai?
BINA: Sab theek Ammi, Tara aur Saman kia karrahi hai?
SAMAR: Woh log abhi abhi school ko rawana howe hain. Aur tum sunao Aapa theek hain na tumhare saath. Najane aaj kal kaise kaise waswase zaheen mein aate rehte..badi fikr horahi hai tumhari. Tum theek toh hona.. kehte kehte woh ro padi..
BINA: Ammi please main bilkul theek houn..Aap befikr rahiye..Is ne bechaini se kaha..nahi chahti thi ke us ka dhugda Ammi ko keh ke aur pareshan karde.
SAMAR: Tumhare Abba ke jaane ke bad main bahut tuth gai houn Bina, har waqt ek dhadka laga rehta hai ke kia hojaye ga.
BINA: Ammi kuch mat sochiye, ye bataiye ghar kaise chal raha hai.
SAMAR: Bas beta, Allah ka shukr se, Mein ne ek school mein naukri karli hai, aur sham mein hum sab ghar mein tutions bi karte hain. Alhamdulillah guzara hojata hai. Bas, soch rahi houn ke kisi chote ghar ko shift hojaon. Farhath ko kiraya deye howe panch mahine hogaye, unhoun ne toh nahi pocha lekin phir bi mujhe bahut jhijak hoti hai, isliye ek kam kiraye ke makan dekh rahi houn.
BINA: Ammi Farhath Anty ka ghar mat chodiye please, woh aap sab ke liye sahara hain, rahi baat kiraye ki aap fikr mat kijeye. Main bhejongi aap ko.
SAMAR: Tum pagal hogayi ho. Arsalan kia soche ga.
BINA: Kuch bi nahi sochte, woh bahut acche hain. Khala bhi bahut acche hain.
SAMAR: Lekin beta yeh biklul theek nahi tum hame paise bhjo.
BINA: Ammi, theek hai na...main unki paise nahi bhejongi apni bhejongi..
SAMAR: Per tumhare paas kahan se aate hain.
BINA: Mujhe kharch ke liye aaye din dete rehte hain. Mera kia kharch hai sab cheez aajati hain ghar pe hi, aap ko bhejongi bas toh kaam aayenge..
SAMAR: Nahi beta ye bilkul bi galath bath hai, aisa hargiz bi nahi sochna,
BINA: Ammi aakhir harj hi kia hai.
SAMAR: Tum ab bekar ki baat chodo, Ahmer ka photo bhejo phone pe..bahut din hogaye usse dekhe howe..
BINA: Ji, bhejdongi khala ke aane ke baad.
SAMAR: Bina, sach batao beta, tumhe koi takleef to nahi hai naa..
BINA: Nahi Ammi bilkul bhi nahi, maze hi maze hain mere, suba suba Arsalan khala khalu office nikaljate hain. Sara din free hi rehti houn Ahmer ke saat khel aur masti mein time guzarjata hai. Maqrib ke baad sabki wapsi hoti hai, main aur khala mil ke dinner tayar karte hai, tab Ahmer apne dada aur Papa se laad utharaha hota hai. Phir dinner ke bad sab apne apne kamre mein, jaldi hi sojate hain kyun ke suba kaam ko jaana hota hai. Bas Ammi yehi life hai idher ki, tasalli howi aap ko, ya Arsalan se baat karwaon aapki. Is ne bahut hi mazboot lehje mein jhoot kaha.
SAMAN: Nahi beta bas theek hai, Meri dua hai ke tum jahan bhi ho khush raho.
BINA: Aameen. Bas aap mere liye aise hi dua karte rahiye. Aur Farhath aunty Sab khaiyat se hain. Is ne jaan booj kar Rohan ka naam nahi liya.
SAMAN: Haan beta, Farhath aur Rohan theek hain, Rohan aaya howa hai aaj kal.
BINA: Hmm. Theek hai Ammi, phir baat hogi, Ahmer utgaya hai shayad.
SAMAN: Accha beta, apna qayal rakhna, Sab se mera salam kehna. Allah Hafiz.
BINA: Accha Ammi, Allah Hafiz.
Woh phone rak kar chand seconds receiver ko ghoore khadi rehgayi. Najane maaoun ko kaise bacchoun ka dukh ka ilhaam hojata hai, idher jaise hi mein pareshaan hoti houn, Ammi ko waswase aane shuru hojate hain. Is ne sar jhatka, receiver rakkha aur kamre mein aayi, Ahmer neend mein hi tha. Woh bi is ke khareeb sogayi, us ke chehre per haath phera aur us ke baallon se khelne lagi, woh chunchlaraha tha, us ki masumiat dekh kar is ka saara gham bhuladiya.
Is ne faisla kiya woh Ahmer aur apni maa behen ke liye kuch karegi.
🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼
Howz the story friends
Do like share comment and don't forget to vote
TO BE CONTINUED...Soon

Mile Tum Se Bhichadke HumWhere stories live. Discover now