Zindagi

561 20 11
                                    

Kitni jee li zindagi,
Kitni baki hai,
Khali hath aaye the,
Bas yu hi Jeeti Jani h,
Kabhi apni si, kabhi begani hai,
Mushkilo ko paar kar Manzil ek na ek din mil Jani hai,
Ishi falsafhe ke Sath zindagi
bitani hai...

Manzil...

Le Liya zindagi se khula,
Na Raha tujhse koi raabta e- mere khuda,
Khamoshiyo ka rang hawao mai hai ghula,
Manzil ke raste mai hai sirf dhuaa hi dhuaa,
Ab toh na ho bekadri si zindagi yahi hai dua,
Gaamo ke bich khushiyon ka me rasta bhula,
E- khuda paar karade ye rasta ,nigahon main ghula dhuaa hi dhuaa..

Khwaishein...

Khwaishein lahsil si,
Gujarishein mushkil si,
Hasratein namumkin si,
Farmaishein bohjhil si,
Mohabbatein bedard si,
Numaishein nadard si,
Ibadaate zaaya si,
Khushamade gum hue andhere Mai saya si,
E- parwardigar sunle meri Raza,
Fhir mujhe qabul hai teri har saza....

Poetryजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें