dard-e-mohabbat

196 10 1
                                    

Jitna Dard humari aankho Mai tha,
Par utna Gilla Hume Unse na tha,
Wo chale Gaye chodhkar Hume,
Gilla toh khud se bhi hua hoga unhe,
Chodhna na thi kabhi humari manjoori,
Shayad ismai thi koi unki majboori,
Samjhne mujhe kamjoor galti hai iss jahan ki,
Unke ehsaas ke Sath chalna aage hum par sazza thi,
Manjoor hai ab sab iljaam,
Mat karna e- dunia humara koi intajam,
Mana unka pyaar hai humari jarurat,
Par kabhi na rukna hai meri fitrat,
Na Rok payi thi tab na rokungi unhe ab,
Chale Jana toh dastoor hai,
Par rukna nahi manjoor hai,
Chhahat bahot thi unse,
Par ab dur Jaana padhega unse,
Chalti rahungi saada,
Kabhi kabhi Dard Mai bhi ek alag hi Mazza,
Rakhungi unke liye har rozza,
E-din ab tu bhi soja,
Kal aayega ek aur savera,
Jo hoga sirf aur sirf mera....

Poetryजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें