Alvida kehne ka waqt najdeek aaya hai,
Har zaare ko yaad ke naam pe badlna hai,
Yaado ki bhi kya zaat hai achi bhi rulaye aur buri bhi,
Dard ban kar aankho mai samaye aur hootho par fhir bhi muskurahat laye,
Aage toh bhadhti zindagi hai,
Nahi rukta wo waqt hai,
Nahi sehen hota wo dard hai,
Aur jo nahi bharta wo zakham hai,
Sath Milne ka wada aur umeed le aati hai,
Kam akaal ye dil har waqt bechen aur khushfehmi mai rehta hai,
Har dard ko umeed ka chehra deta hai,Alvida kehne ka waqt najdeek aaya hai,
Har zaare ko yaad ke naam pe badlna hai,
Jalna hai umeed ki aag mai,
Silna hai fhati tutti yaad ko,
Kyoki zaat ki mari zindagi toh fhir se taiyar hai aage bhadhne ko,
Iss rah mai bahot mile,
Jitne mile sab ache mile,
Kuch Sikh kar aur kuch Sikha kar gaye,
Par aakhir mai sab chale hi gaye,Zaat meri insaan hai,
Par mari toh yaado ki zaat se hu,
Khamosh khadhi kuch na kehti dard ko apne mai hi simatne deti hu,
Kyoki aansoo pochne wale hi deke aansoo ja rahe hai,
Aur ye keh rahe hai ki....Alvida kehne ka waqt najdeek aaya hai,
Har zaare ko yaad ke naam mai badlna hai......
आप पढ़ रहे हैं
Poetry
Poesíait's my first time I m making my poems to read by other people.. sorry for any mistake because my poems are in hindi having some Urdu words as I have not much knowledge in Urdu and also having no technical writting skills. I used to write poems on...