jiile

78 1 0
                                    

Khawaisho ke Samandar ka koi kinara nahi hota,
Kabhi kabhi khud se hi harna gawara nahi hota,
Mahobbat toh sabhi se bahot Mili,
Na Jane fhur bhi itne Mai zindagi ka gujara nahi hota,
Kya pata kis Khoj Mai hai Insaan,
Na Milne se hai heraan-pareshan,
Aarzoo Ko pura karte karte ban gaya hewaan,
Soch,pyar,parwah aur Khushi pare,
Chamakte Suraj ki roshni Mai sabhi Jale,
Kuch bacha hai kya Abhi bhi hasil karne ko,
Harne Ko ya kuch jeetne Ko,
Laut ja ab ho gayi bahot deir,
Pachtane Ko reh gaya dhundhali yado ka dher,..

Poetryजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें