Zulmat

32 2 0
                                    

Ye kya ho raha tha har tarafh,
Ek Aankh se dekhu toh lag raha tha sab kitna khubsurat,
Dur dusri tarafh dekho toh dikh rahi the dehshat ke manzar,
Kya yahi hai parwardigar ki inayat-e- insaniyat,
Nafharat bhi utni jitni mohabbat thi ,
Kahi toh khuda ke fharishte neki ki numaish kar rahe the,
Aur kahi ushi khuda ke bande Nafharat ki chingari ko sulga ke aag ke chehre mai boon rahe the,
Vo jo nazara Aankho ke ek kone mai tha jab Aankho ke dusre kone se ja mila toh likhi usne insaniyat ki takdeer,
Ishe kahu khuda ki rehmat ya kahu koi sazza,
Burai aur achai toh sikke ke do pehlu the,
Gum hue insaniyat ke saye jismai wo andhere gehre the,
Roshni pe zulmat ke pe pehre hai ,
Insan ke Bahot sare ab chehre hai, 

Poetryजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें