Maan to kyu udaas hota hai,
Kyu haar pal wahi sunna chahta hai Jo sach nahi ek bharam hai,
Jo kar raha hai wohi mera karam hai,
Kis soch mai dubkar samandar ki gehraiyo see bhi gehra raha hai tu,
Kis khashmakash se joojhkar bhi muskura raha hai tu,
Kin galiyo se gujar kar sehem jata hai tu,
Kiski baate sun kar khikhilata hai tu,
Kis asmanjas mai lipta hua hai tu,
Kyu nahi keh sakta Jo kehna chahta hai tu,
Kiska zikr hua ki khamosh khadha reh gaya hai tu,
Kiska zikr hua ki aage bhadhne ko taiyaar par fhir bhi tham sa gaya hai tu,
Ye kiski nigaho se daar sa jata hai tu,
Kyu kehna hota hai kuch aur kuch keh chala aata hai tu,
Itni thokre khane ke baad bhi kis khushi se prafhulit hona chahta hai tu,
Udasinta se haar kar bhi kyu ushi se ladhna chahta hai tu,
E-maan kyu aaisa har baar karta hai tu,
Zustazoo, arzoo aur bahot si mazbooriyo ke wazan ko zindagi ki tarazoo mai tolta hai tu,
Har baar haar waqt se shikhast khata hai tu,Maan to kyu udaas hota hai,
Kyu haar pal wahi sunna chahta hai Jo sach nahi ek bharam hai,
Zindagi ki chal toh tedhi hi hai fhir kyu sidhi karna chahta hai tu,
Kabhi dhup mai khilna aur chao mai bachna chahta hai tu,
Fhalak ke sare taare todh kar kyu rakhne hai tujhe tere pass,
Har pal bechen rehne ka akhir kya hai raaz,
Maan tu chodh kisi soch mai dubna,
Ab hoga har pal mai jeena sikhna,
Maan tu kyu udaas hota hai,
Gum aur khushi toh zindagi ka sodda hai,
Maan tu kyu udaas hota hai,
Kyu banta hai kisi ke hath ka khilona,
Tere andaar toh hai har ek ehsaas ka kona,Maan to kyu udaas hota hai,
Maan to kyu udaas hota hai,
आप पढ़ रहे हैं
Poetry
Poetryit's my first time I m making my poems to read by other people.. sorry for any mistake because my poems are in hindi having some Urdu words as I have not much knowledge in Urdu and also having no technical writting skills. I used to write poems on...