Likh diya apna fhasana safed panne pe,
Bhar diye Apne alfhaz sapno Mai,
Hua jab nilaam sab kuch,
Tab samajh aayi zindagi kuch,
Hua sakshatkar khud se,
Nahi hai hum Kam kisi se,
Sapne jo kabhi kisi ke Naam kar diye the,
Chiin layi unhe ab sare unhi se,
Kadr na ki unhone in sab ki,
Nahi jarurat aur ek bhi labb ki,
Karte the ibadaat jinki,
Ab nahi hai jarurat unki,
Khayalon sapno ki rumaniyat se nikal aaye,
Zindagi ke kuch paane wahi chodh aaye,
Shuru kar diya jeena ab,
Ye sare sapne bas mere hai ab,
Jaan gayi ab tu kabhi na mera tha,
Jo bhi tha usmai bas mera tha,
Bhul maat jo hua wapas lautega tere liye,
Charo or katte, dekh hai tera ghera liye,
Roh liye bahot tere liye,
Jee liye bahot tere liye,
Ab me hu bas mere liye,
Chodh diya Maine tujhe tere liye...."
आप पढ़ रहे हैं
Poetry
Poetryit's my first time I m making my poems to read by other people.. sorry for any mistake because my poems are in hindi having some Urdu words as I have not much knowledge in Urdu and also having no technical writting skills. I used to write poems on...