kismat

130 0 0
                                    

Wo kya gam tha tera jo teri aankhe aaise terz se bayan kar Rahi thi,
Aankhe teri gam bayan kar Rahi thi , fhir bhi tere hotho pe ek azeeb si khushi thi,
Wo kya sapna tha jo teri baatein baya kar rahi thi ,
Lafzo me gam tha aur usi ki khushi thi,
Wo konse sapne the jo teri ninde bayyan kar Rahi thi,
Wo konsi bebasi thi jo tu kisi se nahi keh Rahi thi,
Teri unkhahi baatein ,
ye raatein baya kar rahi thi ,
teri bebasi adhuri mulakate baya kar rahi thi,
Tu adhuri thi bebas thi ,
teri aakhe baya kar rahi thi ,
tere uljhe halat ye duriya baya kar rahi thi,
Khamoshi Mai simti teri Azad hone Ko chikhe sunai kuch kuch de Rahi thi,
par in thekedaro ki wajah se wo tujhe Mai hi dam todh Rahi thi,
Bheegi huyi palko ke saye me bethai tere khuwab adhure sannate ko cheerti teri yaadein sab mola ki pukar baya kar rahi thi ,
aur tu adhuri aas liye apne khuwab baya kar rahi thi,
Aaj na Jane kyu aaisa lag Raha h ki ye aasmma bhi mere gum Mai mujh hi Ko bhigo Raha hai,
PAta nahi meri manato ki kya peshi uske Darbar mai ho Rahi hai
ya yaha bhi meri kismat mujhpe ro Rahi hai,
Bas ab nahi hota in bebasiyo se ladhna jhaghadhna,
akhir kismat h meri kyu iski syahi mai ae- khudha tere saye,

Thankyou Chocopinkrockzz for helping me to contribute beautiful lines and creating a beautiful this poem :):)

Poetryजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें