7th

136 2 1
                                    

Shriya's POV:.
(At office)
Random colleague:. Wo dekho attitude ki mahaarani aa gayi. Kitana attitude hai is behnji me. Naa kisi se baat krti hai aur naahi group me rehti hai.
Me:. Aapko kuchh problem hai? Mere aapke saath naa baat karne se aapka khaana kam ho raha hai ya salary? Nahi na! Then please mind your own business.
(Kyu logon ko nahi samjh aata ki agar koi shaant hai iska matlab ye nahi ki wo attitude dikha raha hai. Har ek ki alag personality hoti hai. Agar wo khulkar aapke saath nahi dhalna chaahta iska matlab ye nahi ki wo nakhare dikha raha hai. Sach! Ye society mere samjh me kabhi bhi nahi aa skti. )
Boss:. Ghar nahi jaana tumhe? 8 baj gae hai.
Me:. Haan Sir bas ab nikal hi rahi thi. Time ka pata hi nahi chala.
(Mai ghar ke liye scooty le kar nikal gayi. )
Me to myself:. Thank god. Mai 8 baje ghar jaati hu. Us besharam ka toh mujhe chehra bhi nahi dekhna. Par yaar mujhe ab tak nahi smjh aaya ye chaahta kya hai? 😧
(Mai almost ghar pohoch gayi thi. Jaise gate ke andar gayi. Maine dekha us Shreyas ki bike bahaar hi thi. "Ye ladka abhi tak ghar par hi hai😤😤. Jaau ya na jaau? Kya din aa gaye hai yaar khudke ghar me jaane ke liye itana sochna pad raha hai😣😣. Par mai kyu itana frustrate hou? Bhaad me jaae wo. Mera ghar hai. Mai toh andar jaaungi. Waise bhi thodi der me wo chala jaaega. Dinner ka time ho gaya hai. So ghar toh jaana padega." Maine scooty park ki aur ghar ke taraf gayi. Bell bajaai. Door khula toh saamne black shirt and black pant pehen ke wo khada tha. Ek haath me Maths ki book aur hothon ke bich me pencil. Aur abhi tk aankhen book par hi thi. 2 second ke liye mai freeze thi. Fir jab usne aankhen upar ki aur kaha)
Shreyas:. What? Pehli baar kisi ladke ko dekha hai kya?
Me:. Ladke toh bohot dekhe hai. Par ek flirt boy ke haath me books pehli baar dekhe hai. Please excuse. (Maine ghar me enter kiya. Mummy kitchen me paraathe bana rahi thi kyu ki unki khushbu hall tak aa rahi thi. Nikhil bhi Maths ke problems solve kar raha tha. Papa Office ke papers check kar rahe the. Mai kitchen me gayi Mom se puchhne ki ye Shre... I mean Shekhar abhi tak ghar kyu nahi gaya? Toh Mom ne kaha ke wo bhi abhi abhi aaya hai. Wo office se 8.30 ko nikalta hai, so aaj se wo late hi aaega. )
Me:. Kyaaaa? Are par kyu? Jarurat hi kya hai? Itana late? Aur waise bhi use dinner karne ghar toh jaana padega hi na.
Mummy:. Are haan Ye baat maine kyu nahi soch😰😰😰.
Me:. Wahi toh.
Mummy:. Are beta Shekhar.! (Mummy kitchen se bahaar chali gayi. )
Me:. Thank god. Ye ab jaldi chala jaaega. 😌😌😌
Shreyas:. Haan Aunty boliye na.
Mummy:. Beta tum roj is waqt aaoge toh khaana kaise khaaoge?
(Mai bhi bahar hall me aa gayi)
Me:. Haan na mummy... Bichaara! bhuk toh lagegi na ise. Ghar jaate jaate toh 11 baj jaaenge. Tab tak bhuka kaise rahega?
Papa:. Are haan re beta. Tum ek kaam kyu nahi karte. Dinner hamaare saath hi kar liya karo.
Me(Mann me):. 😳😵😵😵Kyaaaaaaaa? Nooooo. Yaar nahi😣😣😣😣
Shreyas:. No Uncle, Thanks! Mai manage kar lunga aapko taklif uthaane ki koi jarurat nahi hai.
Me:. (Mann me):. Yesssss....💃💃 Pehli baar mujhe ye achha lag raha tha.
Papa:. Are nahi beta. Isme taklif ki kya baat. Waise bhi tum Nikhil ke dost ho plus hamaare saath itna ghulmil gaye ho. Dinner karane me kya problem hai?
Me(Mann me):. Papa ye kya kar rahe ho aap😣😖😖😖. Pehli baar mujhe aapke faisle par gussa aa raha hai.
Nikhil:. Haan bhaiyya. Aap ruk jaao na. Khaana khaake hi jaao.
Shreyas:. Aap itna force kar rahe ho toh thik hai. 😊
(Mai apani bag lekar room me chali gayi. Yaar ye ladka mujhe shaadi me mila. Mere saath flirt krne ka try kiya. Us Drushti ki behen ke saath cheap cheap harkate kar raha tha. Uske agle din pata nahi kaise use mera number mil gaya. Dad mujh par itana gussa ho gaye. Aur aaj wahi ladka mere ghar par dinner karne waala hai😧😧😭😭😣😣😣😣😣. Aise kaise? Aur kyu? )

Shreyas's POV:.
(Yesss... Aur jyada time mil gaya is behnji ke paas jaane ke liye. I mean use jaanane ke liye. Paas toh uske mujhe jaana bhi nahi hai. Ek number ki chaalu ladki hai. Family aur rishtedaaro ke saamne alag aur mere saamne alag🙄. Bs aur thode din aise hi ghar par aana hai aur ise impress karna hai. Ghar is liye aana pada kyu ki mujhe pata hai ke ye apane family se hi jyaada pyaar karti hai. Aur agar mai iske family ke saath achhe se ghulmil jaau fir ise pataane ki jarurat hi nahi padegi. Almost 10 baj gaye the. Par wo Shri i mean Shriya, bahaar aa hi nahi rahi thi. Jiske liye itne paapad bele wohi andar jaake baithi hai. Aunty ne dinner pura bana diya tha. Unhone Shriya ko aawaj di help karne ke liye. Maine bhi socha yahi mauka hai impression janaane ke liye. Maine bhi khaana bahaar laane me Aunty ki madat ki. Khaana serve ho chuka tha. Ham sab khaana khaane baithe the. Sab yaha waha ki baate kar rahe the. Par Shriya chup hi thi. )
Me:. Aunty khana bohot hi achha bana hai. Sach.! Thank you so much.
Aunty:. Are beta, thank you hame nahi, Shriya ko bolo. Usi ne mujhe kaha tha ki Shekhar itani der tak kaise bhukha rahega?
Me(Shocked😮):. Achhhaaa? Thank you... Shri... Yaa.
Shriya:. 😒
(Isane kaha Aunty ko mujhe rokne ke liye? Waah. Matlab jaadu chal raha hai mera is par😆😆. Achha hai. Mai khana khaane ke baad ghar jaane ke liye nikla. Bike start ki par mujhe achha nahi lag raha tha. Kuchh toh missing tha. Shriya ko ek baar dil se thank you bolne ka mann kar raha tha. Mai unke ghar ke pichhe ke side gaya. Jaha Shriya ke room ki window thi. Maine window se jhaank kar dekha toh wo kisi book me kuchh likh rahi thi. Aur bich bich me ruk rahi thi. Aisa lag raha tha jaise wo kuchh important likh rahi thi. Like Daily diary. Thodi der baad wo uthi aur usne apne baal khole. Sach me ye behenji khubsurati me bhi chhupi rustam thi. Mai 15 minutes tak use dekhe hi ja raha tha. Jis kaam ke liye aaya tha wo toh bhul gaya tha. Fir usne lights off kardi. Fir mujhe yaad aaya mai toh kuchh alag kaam ke liye aaya tha. Maine socha andar jaa kar uski wo diary le lu. Par tabhi wo bed se uthi aur window ke paas aa kar usne window band kardi😣. Fir kya? Mai ghar chala gaya. Kal firse wahi routine. Pata nahi kab mai uski life ke baare me jaan sakunga? Par mai usko itani importance de kyu raha hu? Actually. Importance nahi. Uski akad nikaalni hai mujhe. )

{Dono ki raahe alag thi. Dono ke faisale alag the. Dono ki soch alag thi. Dono ki lifestyle alag thi. Dono ka nature bhi alag tha. Par unki manjil ek hi thi. Ab bas yahi dekhna tha ki ye kahaani kaise apana rukh modti hai. }

{P. S. :- Ye kahaani bohot lambi chalane waali hai so stay tuned guys😊}

Do Kahaaniya 💕💕जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें