8th

146 1 0
                                    

Shreyas's POV:.
(Morning)
Vishal:. Par bhaai. Tu itana kyu attention de raha hai us benji ko? Wo sidhi sadhi bichaari ho ya fir chaalu ho. Aapko usase kya? Aap kyu itana serious ho rahe ho?
Me:. Dekh bhaai. Tuze bhi pata hai ki mujhe agar kisi ne mere Mom Dad ke baare me kuchh kaha toh mujhe bohot jyaada gussa aa jaata hai. And plus uske Mom Dad bhi toh galat fehmi me ji rahe hai ki wo sidhi saadhi hai. Bichaare Uncle, kitane achhe hai. Khaamkha unko hitler bana diya is ladki ne.
Vishal:. Hmm... Toh? Aage kya?
Me:. Aage jo hoga dekha jaaega. Kehte hai na... "Ham insaan toh bas kathputali hai asali dor toh naseeb(Destiny) ke haath me hai"
Me(Mann me):. Ye bhi ek reason hai aur dusra reason hai ki chachi ko financially help bhi krni hai. Aur ye baat mai chacha ya Vishal ko bata nahi skta.

Shriya's POV:.
(Evening)
Me:. Aaj phir us gadhe ka mu dekhna padega😣😥😥. Pehli baar aisa hua hai ki mujhe khudke ghar me jaane se ajeeb feel ho raha hai.
(Scooty se ghar jaate waqt sirf yahi baat mere dimaag me chal rahi thi. Ghar par pohochne ke baad maine bell bajaai. Uska chehra na dekhna pade is liye aankhe band kar li. 5 second baad door khula. Meri aankhe band hi thi. )
Nikhil:. Didi? Aapne aankhe kyu band karke rakhi hai?
Me:. Husshhhh... Thank god.
Nikhil:. Kya hua?
Me:. Kuchh nhi thoda thak gayi hu is liye.
(Mai ghar ke andar gayi tab dekha ki sofe par sirf Papa baithe hai. Aur Nikhil bhi phone me games khel rha tha. Mere toh dinaag me laddu fut rhe the)
Me(Mann me):. Yesssssssss. Aaj nhi aaya wo. Thank god aaj ek din toh use jhelna nhi padega.
Me(Kitchen me jaate hue):. Mummyyyy. Kya bana rahi ho?
Mummy:. Roti. Par mai nahi koi aur bana raha hai 😂😂
(Mai almost kitchen me pohoch gayi thi. Saamne Shreyas roti bana raha tha. Mummy use instruct kar rahi thi. Aur Mai 😭😭😭😭😭. Do second me khushi ka kachara ho gaya. )
Me:. Mummy. Aaj Mai rice aur daal hi khaaungi😏😏😏.
Shreyas:. 😏🙄.
(Aaj kitchen me bhi ghus gya. Kal ghar me hi shift ho jaaega😫😫😫😫. Hey bhagwan, Kyu? Kyu? Ye kyu hai mere life me? 😫😫😫. )

{Bass aisa roj chalta raha. Shreyas roj ghar par aata raha aur Shriya bhi usase pareshaan thi. Aur Shriya ke Mummy Papa Shreyas se aur bhi jyaada connect ho rahe the. Aur Shreyas bhi unme ghul mil gaya tha. Shreyas ne kai baar Shriya ki diary churaane ki koshish ki par wo har baar fail ho gaya. Aisa karte karte 2 hafte nikal gaye. }

Shriya's POV:.
(2 hafte baad)
Me:. Mummyyyy... Nashte me kya banaaya hai?
Mummy:. Aalo ke paraathe.
Me:. Waah... Papa ke favourite. Achha hai.
("Ting tong")
Me:. Itani subeh kaun aaya hai?
Mummy:. Pata nahi. Ja jakar dekh.
Me:. Nikhil ko bolo na Mummy. Mai nashta kar rahi hu.
Nikhil:. Hamesha sabhi kaam mujhe hi karne pdte hai😏.
(Mai nashta kar rahi thi. Nikhil ne jaa kar door khola.)
Nikhil:. Are Shekhar baiyya aap?
Me:. Subeh subeh din kharaab karne aa gaya. Aaj pakka din kharaab jaaega.
Nikhil:. Aur ye Puppy🐕 kiska hai?
Me:. 😳😳😍😍😍 Puppy?
(Mai uthi aur door ke paas gayi. Maine dekha shreyas ke haath me ek chhota sa Puppy🐕 tha. And mai bas use dekhte hi gayi dekhte hi gayi😍😍😍😍. Mujhe bachpan se pets ka bohot shauka tha. Mostly dogs and cats ka. But Papa ne kabhi allow nahi kiya. 😑)
Shreyas:. Are actually, mai bike chala raha tha toh bich me hi ye Puppy mere bike ke saamne aa gaya. Mai isi mohalle me tha toh socha yahi le kar aau. Kyu ki is area me mera aur koi friend nahi hai.
(Mere haath bas use chhuna chaahte the. Use haatho me lena chaahte the. Par tabhi mera dhyan Shreyas par gaya. Ye ladka meri baat kabhi bhi nahi sunega. Ye mar jaaega par mujhe ye Puppy nahi dega. Toh maine socha ki mai Mummy se kahu Shreyas se baat karne ke liye. Mai Mummy ko room me le kar gayi. Ke tabhi waha Papa aa gaye.)
Papa:. Maine kaha na yaha koi kutta vagaira nahi aaega.
Me:. Par Papa mujhe dogs pasand hai.
Papa:. Isi liye... Ham nahi laaenge yaha koi kutta. Tum to office chali jaaogi uska dhyan toh tumhaari Mummy ko rakhana padega na.
Me:. Please Papa... Please 😢🙏.
Papa:. Nahi matlab nahi. Aur ab is baat par koi behes nahi hogi.

Shreyas's POV:.
(Kai der tak Aunty bahaar nahi aayi to mai unhe dekhne Shriya ke room ke taraf gaya. Maine suna ki Shriya Puppy ko ghar par rakhna chaahti thi. Par uske Dad uski baat sun hi nahi rahe the. Itani dur khade ho kar bhi mujhe uske palako me ruke hue aansu dikhaai de rahe the. Fir thodi der baad uncle bahaar nikal rahe the. Toh mai fir se hall me aa gaya. Aur 10 second baad wo tino bhi bahaar aa gaye. Shriya abhi bhi bohot jyada hurt thi.  )
Me:. Hello Uncle... Kya aap mujh par ek favour kar sakte hai?
Uncle:. Haan beta bolo na...
Me:. Kya aap is Puppy ko aapke ghar rakh sakte hai please.
(Shriya ne meri taraf shock ho kar dekha. Ek badi si smile aa gayi uske face par. )
Uncle:. Par..
Me:. Please uncle... Actually agar mai ise bahaar chhod dunga toh fir se koi na koi car ya bike ise thokar maar degi. Mere ghar le jaata but mere chaachi ko animals se allergy hai. Please Uncle. I promise, shaam ko jab mai aaunga toh iska khayaal bhi rakhunga.
Aunty:. Ab maan bhi jaaiye.
Uncle:. Okay okay. Par iske food ka dhyan kaun rakhega?
Shriya:. Mai hu na Papa... Mai kar lungi. 😍
Uncle:. Thike.
Nikhil:. Par iska naam?
Aunty:. Shiro?
Nikhil:. Tuffy? Ummmmm.... Nahi. 🤔🤔🤔🤔🤔🤔🤔🤔🤔 Dekho. Shekhar baiyya ne Puppy laaya hai aur didi ko dogs bohot pasand hai toh iska naam in dono ke naam se hi hona chaahiye. Shreya😀
(Mai aur Shriya dono shock the nikhil ko kaise pata chal gaya ki mera naam Shekhar nahi Shreyas hai)
Shriya:. Par... Iska naam toh Shekhar hai na.
Nikhil:. Haan didi. Par Sheya bohot odd lagata hai, is liye Shreya. Matlab kabhi bhi iska naam lenge toh tum dono ki yaad aa jaaegi.
(Shreya😂😂😂. Sach me. Jaan halak me atak gayi 2 second pehle. Kahi meri yaha pitaai na ho jaae. Par sach kahu. Wo pehla naam tha jo ham dono ke naam se juda tha. )
Shriya:. Mai lu ise?
Me:. Haan lo na😅. 
(Maine almost Shriya ko Shreya de diya tha par tabhi Nikhil ne hamaari photo khich li. Wo pehli picture thi jisme ham dono jude hue the. Hamaara naam bhi juda hua tha. Ham dono ke chehre par ek saath pehli baar  khushi thi. Sach. Wo din bohot jyaada yaadgaar tha. Kyu ki usi din se hamaari dosti ki chhoti si shuruwat hui thi. )
To be continued....

Do Kahaaniya 💕💕जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें