11th

133 2 0
                                    

Shreyas's POV:.
(Next Morning)
Me:. Chacha mai ja raha hu. (Stairs se niche utarte hue)
Me:. Are Rohit? Tu yaha? Achaank?
Chacha:. Shaadi ka card dene aaye hai dulhe raaja.
Me:. Tu shaadi kar raha hai? Itani jaldi?
Chacha:. Jaldi matlb? 26 ka ho gaya hai ye. Agar aur der ruka to iske bachche isko Dada kahenge😂😂.
Rohit:. Uncle kya aap bhi. 😶☺. Aur tu, tujhe 1 hafte pehle aana hai ghar par.
Me:. 2 hafte pehle aa jaaunga. Bass?
Rohit:. Aaja. Saare kaam tujhi se karvaaunga.
Me:. Aur mai jaise chup chaap kar lunga. Nikal idhar se. 😂
(Ghadi ki taraf dekha toh 9 baj chuke the. )
Me:. Achha chal mujhe late ho raha hai. Mai chalta hu.
(Shaadi... Sabse bakwaas decision. Log karte hi kyu hai shaadi? You know? Shaadi ke bad zindagi totally khatam hai. Maano life do hisse me bat jaati hai. Masti vaali life toh jaise finishh. Bass ghar, biwi, bachche, kaam that's it! Shaadi se achha kuwaare rehlo. Bohot scope hai😄😄. Office me kaam karte aur ladkiyon se thodi flirt karte karte waqt nikal gaya. Aur 8.30 baj gaye. Maine apana bag phone vagaira uthaaya. Aur Shriya ghar ke liye nikal gaya. Haan pata hai maine kal hi decide kiya tha ki mai nahi jaaunga. But Chachi😔. Unke wajah se. Jaana padega. Aur plus Shriya 😊. Usne bhi toh kal itana achha samjhaaya mujhe. Mai Shriya ke ghar pohoch gaya. Door ki bell bajaai. 2 minute baad door khula. Saamne Shriya thi. Khadus sa expression le kar. Mujhe sach me iska kuchh samjh nahi aata. Hamesha khadus sa chehra but kal itani narami se mujhse baat ki. CONFUSED😌😓!!)
Me:. Hie
Shriya:. Friends hai ham? Jo hie bol rahe ho? Ab andar aaoge ya aarti laau?
Me:. Haan. Aa raha hu. (Andar TV par songs lage hue the. Mai Aunty ko dhundhne kitchen me gaya. But waha koi nahi tha. )
Me:. Aunty? (Joro se awaaj lagaate hue)
Shriya:. Chillao mat. Mummy Papa aur Nikhil bahaar gae hai. Adhe ghante me aa jaaenge.
Me:. Ohh. (Shriya kitchen me chali gayi. Maine bahar sofe par bag rakhi aur mai bhi kitchen me chala gaya. Wo sabji kaat rahi thi. )
Me:. Mai kuchh madat karu?
Shriya:. Tumhe maggie bhi banaani aati hai kya? Aae bade madat karne waale. 😏
Me: 🙄 Dekho Aunty ne mujhe roti banaani sikha di hai. Mai roti bana sakta hu.
Shriya:. Achhaa? Aao phir banaao roti. Mai bhi dekhu tumhe kaun kaunsa naksha pata hai. 😂😂.
Me:. 🙄Naksha nahi. Gol hi hogi. Dekh lena.
(Mai fresh ho gaya. Uske baad me kitchen me gaya. Aata nikaala aur aata gond hi raha tha ki mera phone ring hua. Screen dekhi. Pratham ka phone tha. Haath mai aata tha. Toh phone kaise uthaau. Isi liye maine ignore kiya. But uska call firse aaya. Shaayad kuchh urgent hoga. )
Me:. Hey Shriya, mera phone aa raha so please can you?
Shriya:. Mai Phone uthaau?😊
Me:. Haan😊
Shriya:. Aur fir tumhaare kaan ko laga kar rakhu😊?
Me:. Haan 😅
Shriya:. Aur phir jab agar galati aata se tumhare chehre par lag jaae toh wo aata saaf kar du?😊
Me:. Haan😍
Shriya😤:. Naukar samjha hai? Romantic scene chal raha hai? Shooting chal rahi hai? Aae bade phone uthaa do. Itana hi tha to kyu aae madat karne. Kaam chor😏.
Me😷🤦:. Atleast phone to receive kar do. Aur speaker on kar do.
Shriya:. Hmm.
(Shriya ne call receive kiya. Aur wo apane kaam me busy ho gayi. )
Pratham:. Hello?
Me:. Haan bol na bhaai. Kya hua?
Pratham:. Yaar bohot problem chal rahi hai.
Me:. Kyu re? Kya hua?
(Pratham ne mujhe puri baat bataai. Isase yahi lag raha tha ki un dono me jhagda hua hai. And unki shaadi work nahi kar rahi hai. Shriya sabji bana rahi thi. Aur mai aata hu gond raha tha. )
Pratham:. Tu hi bata ab mai kya karu?
Mujhe toh kuchh samjh nahi aa raha hai.
Me:. Isme na samjhne waali kaunsi baat hai. Simple hai. Agar work nahi kar raha hai toh divorce le le.
Shriya😳😨:. Divorce?
Me:. Tumhe kya hua?
Shriya:. Kiska divorce? Pratham aur Dushti ka?
Me:. Haan yaar. Unke bohot jhagde hote hai yaar. Work nahi kar rahi shaadi. So divorce hi achha option hai. Just like breakups in relationship.
Shriya:. Paagl ho tum? Divorce? Shaadi me divorce nahi hote shaadi me jhagde hote hai. Aur ye breakups nd all tab hote jab pyaar do logo ke bich hota hai. Par shaadi me puri zindagi usi ke saath rehna pdta hai. Aur divorce tab hote hai jab pyaar khatam ho jaae. Pratham, tum bataao mujhe, sirf 1 month me pyaar khatam??
Pratham:. Nahi, aisa nahi hai.
Shriya:. Toh fir itana gussa kyu? Aur waise bhi jhagade har rishte me hote. Par har jhagade ka solution breakup nahi hota. 🙄
(Wo bol rahi thi aur mai sune ja raha tha. Yaar sach me ye itni naram dil hai? Ye bhehenji type ki ladki ko pyaar shaadi ke baare me itana kaise pata?)
Pratham:. Hmm thanks😊.
Me:. Thanks nahi. Agali baar se jhagda ho toh 1 din me solve kar dena. Samjhe?
Pratham:. Haan thike😊. Chalo bye. Mai ja raha hu maafi maangne😂😂.
(Aur fir Pratham ne phone kaat diya. Meri rotiya ab tak ban chuki thi. Shriya ne bhi almost saara dinner bana diya tha. Par mere dimaag me ek hi baat khatak rahi thi. Ise itana knowledge kaise? Aur itni sensitive baate. Mera confusion aur badhe isase pehle maine usase puchha)
Me:. Btw Tumhe pyaar ke shaadi ke baare itana kaise pata?
Shriya:. Kyu ki maine bhi..😶
("Ting Tong")
Shriya:. Lagata hai Mummy Papa aa gaye. Mai door kholti hu.
(Mere kuchh bolne se pehle hi wo chali gai. "Maine bhi kya?" Kya isane bhi kabhi pyaar kiya tha? No ways.! Aisa ho hi nahi sakta. Uncle Aunty ghar aa chuke the. Unke saath baate karte karte hamaara khana bhi khatam ho gaya. Shriya ki taraf mai jab jab dekh raha tha wo najare chura rahi thi. Jaise wo mujhe avoid kar rahi ho. Khaana bhi ho gaya aur mere waha se nikalne ka bhi waqt ho gaya. Par mere sawaal abhi bhi bejawaab the. Mujhe jaanana tha ki Maine bhi ka kya matlab tha. Is liye fir ek baar mai Shriya ke kamare ki khidki ke paas gaya usase baat karne. Maine window par knock kiya. )
Shriya:. Kya hai? Tum yaha kyu aae ho? Papa ne dekh liya toh tumhe bhi maar denge aur mujhe bhi.
Me:. Are apani baat toh puri karo.
Shriya:. Kaunsi baat?
Me:. Are wahi. Maine bhi....?
Shriya:. Mere kehne ke matlab tha maine bhi "Chalate Chalate" movie dekhi hai.
Me:. What?
Shriya:. Are wahi. Sharukh aur Rani ki. Jisme wo dono alag hote hai. Sirf jhagdo ki wajah se. So that's why.
Me:. Ohh
(Wo baat karate waqt najare chura kar aur muskura kar baat kar rahi thi. Mujhe 100% doubt tha ki ye zuth bol rahi hai. Aur jhuth ke pichhe ka sach mai kal shaam tak dhundh hi lunga. 😎)

Do Kahaaniya 💕💕जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें