24th

129 2 0
                                    

*Next Morning*
Chacha:. Are Shreyas kaha ja raha hai? Abhi abhi to pohoche hai? Aur tu firse bahaar ja raha hai?
Shreyas:. Chachu... Shriya se milna hai. Use SORRY aur thank you dono bolna hai. Shaayad wo abhi tak gussa hai mujh par... Mai milkar aata hu Chachu... Byeee...
Chachi:. Are Shreyas... Nashta to karke ja beta...
Shreyas:. Sorry Chachi... Aapko Na karne ka mann to nahi hai... Par jiski wajah se aapka pyaar mujhe mila hai. Usase baat karna bohot jaruri hai...
Chachi:. Thike ja... Aur uska gussa shaant karke hi aana..
Shreyas:. Byee Chachi....

*At Shriya's home*
Shreyas:. Aunty? Shriya?
Shriya's Mummy:. Are beta tum? Achha hua aa gaye... Aao jaldi... Aalu ke paraathe banaae hai... Nashta karke jaao..
Shreyas:. Nahi thanks Aunty... Mujhe Shriya se baat karni thi... Wo actually... Wo shaayad galati se mere cousin sister ke kuchh kapade apne bag me le kar chali aayi...
Shriya's Mummy:. Ohhh... Par wo to office gayi hai...
Shreyas:. Itne jaldi?
Shriya's Mummy:. Pata nahi, use kya ho gaya hai? Raat ko late aayi aur direc room me chali gayi aur Subeh bina kuchh kahe nikal gayi...
Shreyas:. 😐😶
Shriya's Mummy:. Kuchh hua tha kya Goa me?
Shreyas:. Nahi Aunty... Climate change hua na. Shaayad isi liye thoda weak feel kar rahi hogi. Aur shaadi me bohot jyada kaam the. So shaayad jra disturb ho gayi hogi...
Shriya's Mummy:. Haan... Sahi kaha... Wo chhodo, chalo aao nashta karlo...
Shreyas:. Nahi Aunty, mai nashta karke aaya hu... Aur mujhe late bhi ho raha hai, friend se milne jaana hai... So bye...
Shriya's Mummy:. Thike. Bye. Par shaam ko jarur aana...
Shreyas:. Haan Aunty... Byee... Aur Uncle ko bhi mera "Hi" boliyega...
Shriya's Mummy:. Haan thike...
(Ab Shreyas ko kuchh bhi karke Shriya se milna tha... Shreyas ko lag raha tha ki Shriya us sangeet waali raat ke wajah se upset hai, aur wo use mana lega. Par use ye nahi pata tha ki ek bada tufaan uska intejaar kar raha tha...)
*At Shriya's office*
Shreyas:. Excuse me? Can you please call Shriya Shedge?
Receptionist:. Okay Sir, just wait for seconds...
*After 2-3 minutes*
Receptionist:. Sorry sir, but Ms. Shriya Shedge didn't came in the office...
Shreyas:. What? Okay, thank you...
Shreyas:. Shriya office me nahi hai? To hai kaha? 😧😧😧😧
(Shreyas office ke bahaar aa gaya. Use kuchh samjh nahi aaya ki wo kya kare? Shriya uska call utha nahi rahi thi... Aur naahi kahi mil rahi thi... Shreyas ko dar lag raha tha ki ye matter bohot jyada badh na jaae.)
Shreyas:. Mai ek kaam karta hu. Uske ghar ke bahaar ki gali me ja kar chhup jaata hu. Taaki jab wo aae to mai usase mil saku.
(Shreyas Subeh se shaam tak wahi khada raha par Shriya aayi nahi. Har pal uski dil ki dhadkane aur jyada jor jor se badh rahi thi. Use dar tha ki frustration me Shriya khudko kuchh kar na le. 😧😧😓😓😓😓)
*8:30 PM*
(Shreyas abhi tak wahi khada tha. Sirf Shriya ko dekhne ke liye aur aakhir kaar uska intejaar khatam hua. Scooty par baith kar Shriya ghar ke andar jaane hi waali thi ki Shreyas uske saamne khada jo gaya. Aur nab Shriya ne scooty roki tab wo ja kar Shriya ke pichhe bina kuchh kahe baith gaya.)
Shriya:. What the helll?😤😤 Utaro...
Shreyas:. Nahi... Pehle scooty kisi aur jagah le kar chalo...
Shriya:. No... Tum utaro...
Shreyas:. Dekho, agar tumhare Dad hane aise dekha to unhe bura lagega bas isi liye...
Shriya:. Ugh.....😤😤😤😤
(Shriya ne scooty start ki aur 5-10 minute duri par ja kar scooty rok di. Shreyas scooty se niche utara. Aur usne scooty ki keys nikaal li. )
Shriya:. What the hell is this?keys kyu nikaali?
Shreyas:. Kyu ki mujhe tumse baat karni hai.
Shriya (scooty se niche utarte hue):. Achha? Kya baat karni hai? Sorry bolna hai ya thank you?
Shreyas:. Dono🙄😶
Shriya:. Pata hi tha. Achha? Mujhe ek baat bataao? Tum ye sab pehle se karte aa rahe ho? Ya fir mujhse koi dushmani hai?
Shreyas:. Yaar.. I'm sorry... Mai us waqt jo bhi kaha wo gusse me kaha. Par mujhe nahi pata tha ki tum mujh par itna bada ehsaan kar jaaogi.
Shriya:. Agar mujhe pehle pata hota na ki tum itane ghatiya aur waahiyaad kisam ke insaan ho toh shaayad, shaayad mai ye sab karne se khud ko rok leti...
Shreyas:. Yaar, maine mana meri galati...
Shriya (Shreyas ki baat kaatate hue):. Galati? Galati use kehte hai jo galati se ho jaae. Aur ye sab to pre-planned tha. Fir kaisi galati?
Shreyas:. Ye kya keh rahi ho tum? Mujhe kuchh samjh nahi aa raha.
Shriya:. Mai bataati hu... Puri Story... Start to till this day... Pratham ki shaadi me tumne mujhe dekha. Maine tumhe avoid kar diya to tumhe laga mai chhupi rustam type ki ladki hu. Tumne Pratham se number liya. Fir mujhe call kiya par galati se mere Dad ne phone uthaaya aur uske baad jab firse tumne call kiya tab mai tum par bhadak gayi. Aur tumhaare Mom Dad ke baare me bhi maine galat kaha. Uske baad tumne plan baanaya ki tum mere ghar aa kar mujhe apne jaal me phasaaoge aur phir mere baare me sab kuchh jaan loge. Aur isi liye. Tumne mere Mom Dad ke saath apane pan ka naatak kiya. Kis liye? Mujhe fasaane ke liye. Wow👏👏 Mr. Shreyas Gaikwad, you are so genius. Aapko to dil ke saath saath logo ke bharose ke saath bhi khelne ka shauk hai... Woww
(Shreyas shock me tha... Shriya ko ye sab kaise pata chala? )
Shreyas:. Sh-sh-shri...
Shriya:. Kyu? Ab lafz kaapne lage? Kyu? Fass gaye? Plan flop ho gaya? Tumhe agar mujhse problem thi to mujhse aa kar baat karte ya fir mere saath dhokha karte par yaar mere Mom Dad ne tumhara kya bigaada tha? Unhe kis baat ke liye fasaaya tumne? Maine jab tumhe mere family ke saath ghulte milte dekha tab mujhe laga tha ki tum flirt karte ho par rishto ko sambhaalna aata hai tumhe. Par mujhe kya pata tha ki ye sab bas mujhe impress karne ke liye tha. Agar koi dusri ladki hoti to shaayad ye sab jaan kar tumhe I love you bol bhi deti kyu ki tumne sirf use impress karne ke liye ye sab kiya. Par mai nahi... Kyu ki tumne mere Mom Dad ka use kiya. Yaar, Shreyas kyu? Bass is wajah se ki mai ekdm chup chaap rehti hu. Gumsum rehti hu. Mere koi friends nahi hai. Hamesha akeli rehti hu. Iska matlab mai Chalu aur chhupi rustam type ki ladki hu? Ye achha hai, agar koi ladki jyada baat kare matlab wo chanchal hai. Aur agar ek ladki chup chaap rahe fir bhi wo kuchh chhupa rahi hai. WTF? Yaar tum log kyu judge karte ho hamesha? Ham jaise hai ham khush hai. Aur ho kaun tum mujhe judge karne waale? Shreyas, yaar har ungli ek jaisi nahi hoti. Agar ungli alag hai to iska matlb ye nahi ki usme koi khot hai. Wo naturally hi aisi hai. Same situation hai mere saath. Mai bachpan se hi aisi hu. Hazaaro logo ne mujhe alag alag baate sunaai. Aur maine sun bhi li. Par tumne, yaar tumne to mere Mom Dad ko hi nishaana bana diya.
Shreyas:. Shriya... I'm sorry yaar. I'm I'm really sorry.
Shriya:. Sorry... I'm sorry jo maine tum par itne dino se bharosa kiya. Aur kal subeh tum mere ghar aa kar Mom Dad aur Nikhil ke saamne kahoge ki tum kal ke baad kabhi bhi hamaare ghar par nahi aaoge.
Shreyas:. Aise kaise? Agar unhone pucha ki kyu nahi aaoge.. toh?
Shriya:. Wo mujhe bataane ki jarurat nahi. Tum to zuth bolne me maahir ho.... Aur haan, kal ke baad mere family ki taraf mud kar bhi mat dekhna. Samjhe?
Shreyas:. Hmmm... Can I say something?
Shriya:. Hmm bolo...
Shreyas:. Thank you yaar. Tumhaari wajah se Chachi...
Shriya:. Wo to mere Dad ki parwarish ke wajah se maine kiya. Aur tumne, tumne to unko hi ullu bana diya😣😒🤢
Shreyas:. Par...
Shriya:. 9 baj gaye hai. I had to go.
(Basss... Sab khatam ho gaya. Jo trust jo connection itne dino me bana tha wo sab mitti me chala gaya. Ek phone call ne story ka rukh hi badal diya. Par kehte hai na, jo hota hai achhe ke liye hi hota hai. Bas ab ye dekhna hai ki Shreyas aur Shriya ki story me achhe din kab aaenge....)
To be continued....

Do Kahaaniya 💕💕जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें