21st

109 1 0
                                    

(Sab log Rohit ko Haldi laga rahe the. Chacha Chachi aur ghar ke sabhi log bohot jyada enjoy kar rahe the function. Shriya aur Shreyas bhi sab problem bhul kar sabke saath ghulmil gaye the. Par gussa kisi ka bhi kam nahi hua tha. Naahi Chachi ka aur naahi Shriya ka. Par Shreyas ne thaan li thi ki wo aaj Shriya ko mana hi lega. )
Shreyas (Ek chair par khade ho kar):. Excuse me all of you🎙.
Shriya:. Jarur firse beizzati karne wala hai ye😫😣.
Shreyas:. Actually kal jo hua wo galat hua. Shriya ke baare me maine jo bhi kuchh kaha gusse me kaha. Wo sab meri galati thi. Par yaar Shriya tu hi bata mai kaise control karta? Chachi aur Chachu, dono mere liye meri jaan se bhi badhkar hai. Agar un dono ko taklif hoti hai, toh mujhse dekha nahi jaata yaar... Mom Dad ka to pata nahi😔. Par ab ye dono hi mere parents hai😢😀. Aur jo bhi maine Aanand ke baare me kaha wo bhi galat tha. Usane mujhe bataaya ki Shriya aur wo to bas achhe dost hai. Par maine hi galat matlab nikaal liya. Kya karu? Aajtak kisi ko pehchaan ne ki koshish hi nahi ki. Par aaj Mai tum dono se maafi maangna chaahta hu. I'm SORRY yaar.
Aanand:. Dekh mai to tujhe tabhi maaf karunga jab Shriya tujhe maaf karegi.
(Shreyas ne Shriya ki taraf d3kha. Un dono ka eye contact ho gaya tha. Dono bhi shaant the. )
Chacha:. Ab Maaf kar bhi do na beta....
Shriya:. Nahi Chacha ji... Mai ise tabhi maaf karungi jab sabko maafi mil jaaegi. (Shriya ne Chachi ji ke taraf dekhte hue kaha. )
Chacha ji:. Sabko matlab?
Shriya:. Yaha koi aur bhi hai jisne abhi tak maafi nahi di hai. Agar unhone maafi de di. Toh mai bhi de dungi. 😶 (Aur fir Shriya waha se chali gayi. Kisi ko kuchh samjh nahi aaya ki wo kiski baat kar rahi thi. Par Chachi ji samjh gayi thi. Chachi ji barf ki tarah 20% pighal chuki thi. Par baaki ka 80% abhi baaki tha. )
(Ab toh Haldi ka function bhi khatam ho gaya. Sab jaldi sone waale the kyu ki agale din Shaadi thi. Par saare ladke ek secret room me chupke se beer vagaira pi kar enjoy kar rahe the. Aur yaha ladkiya gossip me busy thi. Aur Shriya garden me zule par baithi thi. )
Shriya:. Kya ajeeb khelti hai na kismat.? Ek taraf... Mere Dad... Mujhse bilkul baat nhi karate mujhse hamesha gussa rehte hai meri sirf ek galati ke wajah se. Par Shreyas sirf 1 months me unhe itana jyada pasand aa gaya. Aur dusri taraf... Shreyas ki Chachi... Shreyas se uske Mom Dad ke galtiyo ke liye gussa hai. Itni gussa ki unhone kabhi Shreyas se pyaar se bast tak nahi ki. Par mai unhe sirf 1 week me pasand aagayi... Kyu? Kyu Jiski mujhe jarurat hai wo Shreyas ko mil gaya aur jiski Shreyas ko jarurat hai wo mujhe...?
(Thodi der baad thand jyada badhane lagi is liye wo ghar ke andar chali gayi. Tabhi use waha Chachi dikhi. )
Shriya:. Chachi...
Chachi:. (Silence)
Shriya:. Chachi dekha na aapne. Shreyas kitni jyada care karta hai aapki aur Chacha ji ki.
(Chachi waha se bahaar nikalne ki koshish karti hai)
Shriya:. Chachi. Agar aapne ek baar bhi mujhe apana maana hai to please aaj ruk jaaiye.
(Aur fir Chachi ruk gayi. )
Shriya:. Aap kyu nahi dekh rahi hai Shreyas ka pyaar? Aapko uske parents ki 25 saal pehle ki galati yaad hai. Par aaj jo Shreyas aap par apani jaan luta raha hai wo aapko nhi dikhta? Boliye na Chachi.
Chachi:. (Silence)
Shriya: Chachi, Shreyas ko bohot jyada jarurat hai aapki. Aap hi sochiye, Shreyas ne kaise apana pura bachpan, Maa ke saaye ke bina gujaara hoga. Mujhe to soch kar bhi dar lagta hai, par usne ye hakikat me mehsus kiya hai.
Chachi:. 😓
Shriya:. Mai aapse ye nahi keh rahi ki aap Shreyas ke parents ki galati ko maaf kar dijiye. Mai bas ye keh rahi hu ki Shreyas ko uski saja mat dijiye. Aaj jab wo stage par khada tha aur jab usne aapka naam liya tab uski aankhon me jo apana pan tha wo sirf bachche ki aankhon me apani Maa ke liye hota hai. Aap me wo apani Maa dhundta hai. Chacha ji ke rup me use Dad to mil gaye par kehte hai na "Maa ke bina to saanse bhi aadhi lagati hai." Aisa hi wo roj mehsus karta hai. Aur haan Chachi, Shreyas ne mujhe kabhi bhi aapke naaraajagi ke baare me kuchh bhi nahi bataaya. Us din jab mai akele backyard me baithi thi tabhi Chacha ji ne mujhe ye sab bataaya. Shreyas ko is baare me kuchh bhi pata nahi hai. Chachi, ek baar, surf ek baar. Shreyas ko Vishal ki tarah apana beta maan kar dekhiye. Aap usko 2 pal me apana lengi. Aur kehte hai na, "Agar kisi bin Maa ke bachche ko apne bete jaisa pyaar do toh return me aapko 1000 guna jyada pyar milega."
(Chachi ne bina kuchh kahe Shriya ko jor se gale se laga liya. Wo khaamoshi ab aansuon me tabdil hone lagi. )
Chachi(Rote hue):. I'm sorry!😭😭
Shriya:. Sorry? Kis liye?
Chachi:. Shreyas ke saath aisa behave karne ke liye. Aur tumhe galat samjhne ke liye.
Shriya:. Chachi... Aapne jo kiya wo past tha. Aur ham present me hai. Aapke haath me abhi bhi future hai. Toh future ke baare me sochiye. Aur please aap roiye mat. Agar Shreyas ne dekh liya to firse mujh par chillaega.
Chachi:. 😄😢
Shriya:. Mai abhi Shreyas ko bula kar laati hu. Use jab pata chalega tab wo to paagal hi ho jaaega.
Chachi:. Nahi nahi. Abhi nahi. Mai khud kal jaa kar use apane haatho se uski favourite khir bana kar khilaaungi.
Shriya:. Ye galat hai haan... Use khir aur mujhe?
Chachi:. Tujhe to apane haatho se laddu khilaaungi😚.
Shriya:. Haan. Fir thik hai. Achha Chachi... Ab aapne mujhe aur Shreyas dono ko maaf kar diya hai toh mai bhi use maaf kar deti hu. Nahi to aur jyada frustrate ho jaaega.
Chachi:. Thik hai. Par jaldi aana.
Shriya:. Haan thike.
(Shriya ne wo kiya tha jo shaayad Shreyas ne apane sapne me bhi nahi socha tha. Aur dusri taraf Shreyas apane cousins ke saath puri tarah se beer ke nashe me dhutt tha. Uske cousins ne use itni pila di thi ki use kisi baat ka hosh nahi tha. Shreyas 2 peg ke upar pita nahi tha. Par us raat uske cousins ne use bohot jyada pila di. )

To be continued...

Do Kahaaniya 💕💕जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें