25

121 1 0
                                    

*Next Morning*
Shriya's Papa:. Abhi tak ye Shriya bahaar kyu nahi aayi? Nashta karne?
Shriya's Mummy:. Fresh ho rahi hogi. Aa jaaegi. Aap nashta kijiye na.
Shriya's Papa:. Parso se Mai dekh raha hu. Jab se Goa se aayi hai. Tabse ajeeb behave kar rahi hai.
Shriya's Mummy:. Thak gayi hogi bichaari isi liye. Aap kyu itna soch rahe hai. Nashta kijiye na.
Shreyas:. Uncle?😐
Shriya's Papa:. Are beta tum... Aao na. Baitho nashta karte hai ek saath.
Shriya's Mummy:. Haan beta. Aao... Nashta kar lo.
Shreyas:. Nahi uncle. Mai nashta karke aaya hu. Wo actually,mujhe aapse kuchh kehna tha.
(Tab tak Shriya bhi Hall me aa chuki thi. Shriya Shreyas ko gusse waale expressions diye ja rahi thi. Aur Shreyas puri tarah ghabraaya hua tha. )
Shriya's Papa:. Haan, bolo na beta. Kya baat hai?
Shreyas:. Uncle... Mujhe aapse ye kehna tha ki...
Shriya's Papa:. ???
Shreyas:. Mujhe aapse kehna tha ki mera naam Shekhar nahi... Shreyas hai...😶😶😶😶😶😶😶😶
Shriya (to herself):. WTF!!!! Ye kya keh diya isne. Ise maine bola tha ki "Wo kal se yaha nahi aaega" aisa kehne ke liye. Ab ye to gaya. Bohot badi problem ho jaaegi ab to. Bass, Papa Shreyas par haath na utha de😓😓😓😓😧😧😧😧
Shreyas:. Uncle, Aunty... Mujhe pata hai ki aap mujh par bohot jyada gussa honge ye baat sun kar. Par mai apne Chachu Chachi ki kasam khaake kehta hu. Itne din Aapke saath maine jo pal bitaae hai, wo sab sach the. Dil se the. Uncle Aunty... Aap ne jo pyaar mujhe diya hai na, wo shayad mujhe future me milega bhi nahi... Aap ne Nikhil aur Shriya ki tarah mujhe treat kiya. Apne family me shaamil kiya. Aunty , aapne to mujhe khaana banaana bhi sikha diya. Par kal jab mujhse kisi ne kaha ki kisika dil dukhaana kitni badi galti hoti hai. Tab mujhe laga ki jaate jaate mai ye sach aapko bata du... Ye kehne ke mai laayak to nahi hu. Par ho sake to mujhe maaf kar dijiye...
(Shreyas ne Shriya ki taraf dekha aur shayad pehli baar Shriya ne Shreyas ke aankho me ruke hue aansu dekhe. Shriya ko bura lag raha tha, par uska gussa baar baar bich me aa raha tha. )
Shriya's Papa:. Rukoo...
Shriya (to herself):. Ohhhh shitttt... Papa please please haath mat uthaana😧😧😓😓😓😰😰😰😰. ( Shreyas ne turn kiya. Ab Shriya ke Papa aur Shreyas perfect ek dusre ke saamne the. Aur Shriya dusri taraf pray kar rahi thi. Ki Papa Shreyas ko na maare. 😳😳😳)
Shriya's Papa:. Tumhara naam Shekhar nahi balki Shreyas hai, ye baat hame pata thi....
Shriya:. 😮😮😮😮😮😮😮😮😮😮😮😮😮😮😮😮😮
Shreyas:. 😮😮😦😦Kya?
(Shriya aur Shreyas dono confused aur shock the. Ye kab hua? Kaise? Aur Papa ko agar ye baat pata thi to wo itne dino se chup kyu thi? Kya ye baat Aanand ne bataai?)
Shriya's Papa:. Haan...
Shreyas:. K-k-kaise?
Shriya's Papa:. Us din jab tumhari tabyat thik nahi thi aur tum ghar nahi aae the. Tab hamne tumhe phone kiya tha. Tab tumhare ghar kisi naukar ne phone uthaaya tha. Jab maine unhe puchha ki, "Shekhar kaha hai?" Tab unhone kaha, "Shekhar? Kaun Shekhar? Ye number Shreyas baabu ka hai." Usi din hame pata chal gaya tha ki tumhara naam Shreyas hai.
(Shreyas ne Shriya ki Mummy ki taraf dekha. To unhone bhi palake zapaka kar 'Haa' me answer diya. Shreyas ne Shriya ki taraf dekha. )
Shriya's Papa:. Nahi... Shriya ko ye baat pata nhi hai. Wo tumse jyada connected nhi hai. Isi liye hamne use ye sab nahi bataaya. Aur Aanand ko bhi hamne isi liye Shriya ke saath bheja tha. Taaki wo tum par najar rakh sake. Aur Shriya ko protect kar sake.
Shreyas:. Aapko pata tha. Fir bhi aapne mujhe kuchh nahi kaha?
Shriya's Papa:. Isi liye nahi kaha. Kyu ki ham dekhna chahte the ki tum ye baat hame khud bataate ho ya nahi. Aur agar aaj tumne nahi bataaya hota to shaayad ham tumhe kabhi maaf na karte. Aur shaayad kisi par aage se bharosa bhi nahi karte. Par tumne bata diya😊☺.
Shreyas:. 😢😢😢Uncle.... (Shreyas apne aap ko control hi nahi paaya aur usne Shriya ke Papa ko gale laga liya. Dusri taraf Shriya bhi 1 second ke liye khush ho gayi. Par dusre pal uska gussa firse jeet gaya. Aur usne apni khushi chhupa li. )
Shreyas:. I'm really really sorry Uncle... Mujhe aapse zuth bolna pada kyu ki....
Shriya's Papa:. Dekho Shreyas... Mujhe nahi jaanna ki tumhaare jhuth la reason kya tha? Mujhe tum par pura bharosa hai. Kuchh nek kaam ke liye hi tumne zuth bola hoga. Par bas... Ab tum Shreyas hi ho hamaare liye. Not Shekhar. 😊 Aur tum kahi nahi ja rahe. Nikhil ke exams khatam ho gaye hai. Tumhara hamse rishta khatam nahi hua. Isi liye tum jab chaaho tab yaha aa sakte ho. Okay?
Shreyas:. Ok😊😊😊😊☺☺☺☺
(Ye twist kisi ne bhi nahi socha tha. Naahi Shreyas ne aur naahi Shriya ne. Shriya ko to ab bhi believe nahi ho raha tha ki Papa ko pehle se hi Shreyas ka adha sach pata tha. Wo baar baar soch rahi thi ki Shreyas ne aisa kyu kiya? Shreyas office ke liye ghar se nikal gaya. Half hour ke baad Shriya ne bhi apana tiffin pack kiya aur wo bhi office ke liye nikal gayi. Use bass ek baat samjh nahi aa rahi thi. Ki Shreyas itna bada risk liya kyu? Use pata thaki mere Papa ko jaldi gussa aa jaata hai. Fir bhi usne aisa kyu kiya? Shriya ne scooty start ki aur wo office ke liye nikali. Wo wahi baat soch rahi thi ke Shreyas apni bike lekar Shriya ke saamne aa gaya )
Shriya:. Ye kya paagal pan hai?
Shreyas:. Sorry, para agar mai tumhe aawaaj deta to tum rukti hi nahi. Isi liye.
Shriya:. Mai is paagal pan ki baat nahi kar rahi. Us paagal pan ki baat kar rahi hu jo tum abhi ghar par karke aae ho. Maine tumse kya kehne ko bola tha aur tum kya kehke aae ho😡😡. Kyu?
Shreyas:. Dekho Shriya, mai jab kal ghar gaya tab maine socha ki maine jo kiya wo galat hi tha. Aur ab mujhe ye sab khatam karna hoga. Mujhe tumhaare ghar aana band karna hoga. Par fir maine socha ki itna bade dhokhe me rakh kar mujhe nahi jaana chahiye. Isi liye, maine socha ki pura nahi but atleast aadha sach bata kar jaau. Ek aur baat Shriya, tum jhuth maano ya sach par mujhe tumhaare Mom Dad ke saath ek connection feel hota hai yaar. Mai unhe nahi chhodna chaahta. Tum chaahe to mujhe hazaar baar thappad maar lo par please unse dur jaane ke liye mat kaho. 
Shriya:. Hazaar thappad? Ek thappad bhi khaane ki himmat hai kya? Aae bade hazaar thappad khaane waale..
Shreyas:. Tum agar maarna chaaho na to umra bhar thappad kha lunga. Subeh, Shaam, Raat.... Par please tumhaare ghar waalo se dur rehne ke liye mat kaho. (Aap log soch rahe honge ki kaisa hero hai. Heroine ko chhod ke uske Mom Dad ke pichha pada hai. Par ek baat kahu? Aise ladke milna bohhhoooot mushkil hai😉)
Shriya (Dhimi aawaj me):. Ye ladka mere Mummy Papa ko chhin kar hi maanega.
Shreyas:. Kuchh kaha?
Shriya:. Nahi.... Thike. Nahi karungi tumhe Mummy Papa se dur. Par ek baat hamesha yaad rakhna.🙄 Tumhara rishta sirf unse hai. Mujhse nahi. Toh mujhe 4 haath dur hi rehna. Samjhe?😠

To be continued......

Do Kahaaniya 💕💕जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें