30th

227 6 5
                                    

(Shriya ke Papa ekdm se tut gaye. Jaise unke andar ki saanse hi ruk gayi ho. Jo pichhe chair thi, waha jaa kar wo ekdm se baith gaye. )
Shriya's Papa:. Iska matlab, itne dino se Shriya akele hi sab sehen kar rahi thi wo bhi bina galati ke😢😢😢. He bhagwaan 😥😥.
Shreyas:. Uncle, aap please pareshan mat hoiye. Aapko pata hai, uske behosh ka reason ye nhi tha ki aapne use thappad maara, reason to ye tha ki use laga ki usne aapko hamesha hamesha ke liye kho diya.
Shriya's Papa:. Shittttt.... Maine kyu Shriya par bharosa nahi kiya, kyu?😭😭.
Shreyas:. Uncle, please aap roiye mat, please... Aap bas use ek baar gale se laga lijiye. Mujhe pakka yakin hai ki wo 1 pal me thik ho jaaegi.
Doctor:. Excuse me, aap Shriya ke Father hai?
Shriya's Papa (aansu pochhte hue):. Haan mai hu...
Doctor:. Aapki beti ko hosh aa gaya hai. Aap usase mil sakte hai, par please use negative thoughts se dur rakhiye. Kyu ki wo abhi bhi weak hi hai.
Shriya's Papa:. Thank you so much doctor...
(Aur fir doctor waha se chale gaye. Shreyas daud kar Shriya ki Mummy ke paas gaya unhe bulaane. Par Shriya ke Papa abhi bhi dare hue the. Unhe samjh nahi aa raha tha ki wo Shriya ko kaise face karenge. Kyu ki unhone pehli baar Shriya par haath uthaaya tha. )
Shreyas:. Uncle, aap abhi tak yahi khade hai. Ab to Aunty bhi aa gayi hai. Ab dono ek saath andar jaaiye.
Shriya's Papa:. Nahi. Mai nahi jaaunga. 😧😞
Shreyas:. Uncle, agar Shriya par gussa itna jyada kar sakte ho toh Pyaar jataane me kanjusi kyu? Chaliye jaaiye ab andar.
(Shriya ke Papa Mummy andar gaye. Shreyas bahaar hi tha. Wo andar jaana chaahta tha par uska guilt use rok raha tha. Wo daud kar hospital ke washroom me gaya.
Aur dusri taraf Shriya ab hosh me aa gayi thi. Usne jab uske Papa ko andar ward me dekh tab use laga ki Papa abhi bhi naaraj hi hoge. Isiliye use bohot jyada dar lag raha tha. Aur Shriya ke Papa andar hi andar ghut rahe the. Par in the end unki ghutan ne saans chhod di. Unhone jaa kar Shriya ke sar ko apane sine se lagaaya. Shriya ki saanse do pal ke liye ruk hi gayi thi. Aap soch bhi nahi sakte aisi shockingly khushi ho rahi thi use. Shriya ke Papa ne uske sar par apana haath rakha. Aur kaha...)
Shriya's Papa:. Ek baar to bata deti ki tu mera sapna nahi balki meri taakat bananaa chaahti thi. Jitna afsos us din mujhe hua tha, usase laakho guna jyada fakr mujhe aaj ho raha hai.
(Shriya ko samjh aa gaya tha ki Papa ko sach pata chal gaya. Jis sach ko wo 5 saal se chhipa rahi thi aaj usi sach ne Papa ka gussa mom ki tarah pighala diya. Shriya ne apne Papa ki taraf dekha aur kaha...)
Shriya:. Papa? Aap khush ho is baat se?😢
Shriya's Papa:. Bohooot jyada khush, beta. Mujhe nahi laga tha ki meri beti itne kam umra me hi itni badi ho gayi. Sach beta, aaj me dhanya ho gaya☺☺😊😊.
Shriya:. Papa...😊😢*khushi ke aansu*
(Shriya ko laga Shriya ki Mummy ne Papa ko sach bataaya is liye Shriya ne apni Mummy ki taraf dekha. )
Shriya's Mummy:. Nahi beta, teri aisi haalat me mai kaise teri kasam tod deti?
Shriya:. Toh fir Nikhil?
Shriya's Papa:. Haan...
Shriya:. Ye Nikhil ka bachcha bhi na, meri kasam tod di?😤
Shriya's Papa:. Are beta nahi. Usne kasam nahi todi.
Shriya:. Par abhi to aapne kaha ki Nikhil ne aapko sach bataaya.
Shriya's Papa:. Nahi... Nikhil ne Shreyas ko bataaya aur Shreyas ne aa kar mujhe bataaya.
Shriya:. 😮😦
Shriya's Papa:. Usi ne jidd karke mujhe andar bheja, meri to himmat hi nahi ho rahi thi andar aane ki...
Shriya:. Shreyas ne? Wo bahaar hai?
Shriya's Papa:. Haan... Jab se tum behosh hui ho tab se wo hamaare hi saath hai.
Shriya:. Ok😓.
Shriya's Papa (Mummy ki taraf dekhte hue):. Ek kaam karo, tum ghar chali jaao. Subeh bhi hone waali hai.
Shriya:. Are Papa, aap bhi chale jaaiye. Mai ab thik hu. Aap bhi jaa kar fresh ho lijiye.
Shriya's Papa:. Tu kehti hai. To thik hai. Ham dono jaate hai. Par tu apana khayaal rakhna.
Shriya:. Thike Papa.
(Shriya ke Mom Dad bahaar jaa rahe the. )
Shriya:. Papa..?
Shriya's Papa:. Haan bolo beta...
Shriya:. Aap khush to hai na?
Shriya's Papa:. Teri jaisi beti hogi to baap khush hi hoga... 😊
Shriya:. 😊
(Shriya ke Papa Mummy dono hospital se nikal chuke the. Shriya Shreyas ka wait kar rahi thi par wo aa hi nahi raha tha.
Aur dusri taraf Shreyas washroom khudse hi baate kar raha tha. )
Shreyas:. Kya insaan hai yaar tu? Aaj teri sirf teri wajah se ek beti apne Papa se hamesha hamesha ke liye alag hone waali thi. Par thank god ab sab thik hai. Par Shriya? Wo mere baare me aur bhi jyada galat soch rahi hogi. Kaise jaau uske saamne? Par wo thik hai ya nahi,Ye dekhne to jaana hi padega. Haaan, I think mujhe jaana chahiye. (Shreyas daud kar Shriya ke ward ki taraf jaata hai. Door kholne jaana hi wala tha ki use yaad aya ki uske aansu abhi tak aankhon se jhalak rahe the. Isi liye usne apane aansu ponchhe aur badi si smile le kar anadar gaya. Jaise kuchh hua hi na ho. Jaise use Shriya ko kho dene ka dar laga hi na ho. Jaise Shriya ki importance samjhi hi na ho. Jaise usne apane dil me Shriya ki taswir daali hi na ho. Shreyas ne door khola. Shriya saamne bed par leti hui thi. Shreyas ke andar aate hi wo uth kar baith gayi. )
Shreyas:. Hey Hi...
Shriya:. ?
Shreyas:. Aise hi behosh ho gayi. Itni toh achhi bhali hai. Fukat me nind kharaab karni padi.
Shriya:. Tum raat bhar yahi the?
Shreyas(Adkhalaate hue):. Rukna pada. Uncle Aunty akele the na. Is liye...
Shriya:. Achha? Mujhe bataao, 2 log akele kaise ho sakte hai?
Shreyas:. Yaar tum confuse kar rahi ho.
Shriya:. Mai kaha confuse kar rahi hu? Tum already confuse ho.
Shreyas(Dhimi aawaj me):. 😐 Ise kaise pata chala?
Shriya:. Kuchh kaha tumne?
Shreyas:. Nahi...
Shriya:. Achhaa... Yaha aao.
Shreyas:. Kyu?
Shriya:. Are aao na... (Shreyas ghabaraate ghabraate Shriya ke paas gaya. )
Shriya:. Are, baitho yaha.
Shreyas:. Hmmm... (Shreyas baith gaya )
Shriya:. Ek baat puchhu? Sach sach javaab doge?
(Shreyas ki dhadkane tej ho rahi thi. Kahi wo Shriya se kuchh ulata sidha bol na de. )
Shreyas:. Hmm... Puchho.
Shriya:. Ye Papa waali wish to maine diary me likhi hi nahi thi, toh fir tumne puri kyu ki?
Shreyas:. 😶
Shriya:. Shreyas! Kuchh puchh rahi hu mai.
Shreyas:. Jab Nikhil ne mujhe sab kuchh bataaya tab mere dil me sabse pehli chiz jo aayi wo thi teri khushi. Yaar kya ladki hai tu, apane Dad ko support karne ke liye apne Papa ka gussa bhi seh liya. Great hai yaar tu sach!
Shriya:. Tujhe pata bhi hai tune aaj kya kiya hai. Meri khoyi hui zindagi mujhe lauta di. 😢
(Shriya almost rone lagi thi. Shreyas ab apana control kho raha tha. )
Shreyas:. Par abhi bhi baaki ke wishes baaki hai na?
Shriya:. Tu sach me wo sab wishes pure karna chaahta hai?
Shreyas:. Obviously yes... Aadha adhura kaam ham nahi karte. Par ek problem hai...
Shriya:. Kya?
Shreyas:. Dekh, pehli wish to maine tujhe chhup chhupa kar puri kar li. Par ab baaki ke wishes? Kaise puri karu?
Shriya:. Haan, point to hai. Ab kya kare?
Shreyas:. Ummmmm..... (5 seconds baad) ek idea hai.
Shriya:. Kya?😅
Shreyas:. Shaadi kar lete hai. Wishes bhi puri ho jaaengi aaraam se. ☺
Shriya:. 😳 Pagal ho gaya hai tu?
Shreyas:. Are yahi best and last idea hai.
Shreyas:. Achha, ek bata, tujhe love marriage karani hai ya arrange marriage?
Shriya:. Arey....
Shreyas:. Dekha agar love marriage karani hai to mai tere Papa se baat kar lunga aur agar arrange marriage karani hai to Chacha aur Chachi tere Mom Dad se baat kar lenge. Simple is that
Shriya:. Shreyas!😤
Shreyas:. Aur haan, agar shaadi ki arrangements tujhe karani hai to no problem. Ham dono milkar kar sakte hai😅.
Shriya:. 😐😑
Shreyas:. Bas tu Haan bol de...
Shriya:. Ho gaya tera? Ab bas hua majaak.
Shreyas:. Majaak hamesha majaak nahi hote. (Shreyas Shriya ki aankho me aise dekh raha tha jaise usne jo kuchh bhi kaha wo usne already apane dimaag me plan kar liya ho. Aur Shriya shock thi.)
Shriya:. Waaah? Matalb jo ladka hazaaro ladkiyo se flirting karta hai wo aaj directly shaadi ke liye propose kar raha hai?
Shreyas:. Kya karu? Aaj tak kisi ko dekh kar shaadi karne ki feeling nahi aayi. Par aaj aa rahi hai. (Furse eye contact. Par is baar Shriya bhi Shreyas ki aankho ko padh rahi thi. )
Shriya:. Dekho Shreyas, ye bohot bada faisala hai. Tum kyu itni jald baazi me, aur bina kuchh soche ye decision le rahe ho? Dekho tum jaao yaha se, tumhe rest jarurat hai.
(Shreyas ne Shriya ka haath pakad liya aur apne dono haatho ke bich me rakha)
Shreyas:. Jald baazi me nahi liya. Jab Nikhil tumhare baare me bol raha tha tabhi mujhe laga ki ye ladki agar apne Mom Dad se itna pyaar kar sakti hai to mere Chacha Chachi ko kitna pyaar karegi. Shriya, maine aaj tak hazaaro ladkiya dekhi jo apne Mom Dad ko zuth bol kar mere saath ghumne aayi hai. Par maine aaj aise ladki dekhi jiski zindagi hi uske Mom Dad hai.
Shriya:. Achha? Toh fir tumne mujhe kyu dhoka diya? Kyu jhuth bolkar mere ghar aaye? Kyu mujhe shaadi me le gaye? (Gusse me)
Shreyas:. Kyu ki tab mujhe kaha pata tha ki is boring ladki ke pichhe itni brave itni caring aur loving ladki hogi. Aur shaadi me mai tumhe is liye le gaya tha kyu ki mujhe tumhari wishes puri karni thi. Kyu ki tumne apane Mom Dad ka pyaar mere saath baant diya tha. Isi liye mai tumhe thodi si khushi dena chaahta tha. Par Aanand ko tumhaare saath dekhkar mujhe bohot bura laga. Isi liye maine wo sab kaha sangeet ki raat thi tab. But ab mujhe ab pakka yakin ho gaya hai that I was jealous😶🙈.
Shriya:. Shhhhhuu. Ab kuchh mat kehna. Shreyas, tumhe pata hai mere liye mere Papa kitne important hai, so agar tunhe haa kar di. To meri bhi haan hi hogi.
Shreyas:. Wo to haan kar denge, pehle mujhe bataao, do you like me?
Shriya:. Yes
Shreyas:. Do you want stay with me?
Shriya:. Yes
Shreyas:. Do you like my family?
Shriya:. Yes
Shreyas:. Do you love my Chacha Chachi?
Shriya:. Yes
Shreyas:. Do you love me?
Shriya:. Yes... Oops 😓😷😷 (Shruya aur Shreyas dono shaant ho gaye Shreyas smile kar raha tha aur Shriya usase najare chura rahi thi) Shriya :. Ye cheating hai, ye saraa sar cheating hai. Dekho, ye galat hai. Bilkul bhi sahi nahi hai. Aise thodi hota hai. Aise nahi hota. Aise jaldi jaldi jaldi sawaal kaun puchhta hai? Ye galat hai. (Shriya non stop bole ja rahi thi. Shreyas ko samjh nahi aa raha tha ki wo use chup kaise kare? Isi liye usne bina kuchh puchhe bina kuchh kahe. Shriya ka face pakad kar 💋 kiss kar diya. Ab dono shaant the. Shriya ki aankhe badi ho gayi aur Shreyas uski taraf dekhe ja raha tha. )
Shreyas:. I love you...
Shriya:. 😦😮😯
Shreyas:. I love you too bhi mai hi bolu?😣
Shriya:. No. I... Love.... You too😊
(Wo dono fir se paas aa gaye par is baar kiss karne nahi, hug karne. Best hug ever. Shriya aur Shreyas ne kabhi bhi nahi socha tha ki ek hospital me is haalat me inhe pyaar hoga. Aur jab hoga tab dono ko ek saath hoga. Bas fir kya, Shreyas ne jaise Shriya ka haath maanga. Shriya ke Dad ne 2 second me haan bol diya. )
(In the end, aap yahi soch rahe honge ki jo characters pehle alag the wo itne alag kaise ho gaye? Shriya ke Dad rude se soft ho gaye, Shreyas flirt se itna serious ban gaya, Shriya jise ladko se allergy thi use pyaar ho gaya, Shreyas ki Chachi itni nafarat karti thi Shreyas se wo itni jaan chhidak rahi hai ab... Wo kya hai na, jab kabhi Do kahaaniya ek dusre se takaraati hai na tab ek nayi kahaani banati hai. Aisi kahaani jisme sab happy hi hota hai. Aur kehte hai na, waqt sab badal deta hai...)

The end......

🎉 आपने Do Kahaaniya 💕💕 को पढ़ लिया है 🎉
Do Kahaaniya 💕💕जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें