29th

215 1 0
                                    

Nikhil:. Ohhh, to Papa ne firse didi ko aaj daata?
Shreyas:. Daata hi nahi, thappad bhi lagaaya. 😓
Nikhil:. 😳😵? Thappad? Aisa to pehli baar hua hai yaar. Par aisa kya hua?
Shreyas:. Wo actually... (Shreyas ne sab kuchh Nikhil ko bataaya)
Nikhil:. Achha. Par aaj se pehle didi ne Papa ke saamne kabhi bhi unchi aawaj me baat nahi ki. 😧
Shreyas:. Sab mere wajah se hua.
Nikhil:. Hmmm.
Shreyas:. Ye sab chhod. Tu mujhe bata ki 5 saal pehle kya hua?
Nikhil:. Hmmm... Suno... 5 saal pehle sab kuchh happy happy tha family me. Papa ke liye didi sabse jyaada important thi. Aaj bhi hai par unka gussa unhe rok leta hai. Papa aur didi ki toh bonding hi alag thi. Sabse jyada pyaar toh Papa to didi se hi karte the. Par wo incident ke baad sab badal gaya. Didi ke ek faisale ne sab badal diya.
Shreyas:. Aisa kya hua tha? Ki sab badal gaya?
Nikhil:. Actually 5 saal pehle, jab didi ki 12th ki exams khatam hui thi, tab Papa ki wish thi ki didi CA ka course kare. Par didi ko aage nahi padhna tha, is liye nahi ki didi padhai me achhi nahi thi. Vo to top 3 me aati thi hamesha. Par usne socha ki agar wo job karegi to Papa ko financial support milega. Aur meri bhi padhaai baaki thi. Plus Papa ko Chacha ke side se koi support nahi tha. Papa akele hi ghar ka aur sab chizo kharcha utha rahe the. Isi liye didi ne decide kiya ki wo study nahi karegi, job karegi. Aur wo Papa ko bataana bhi nahi chaahti thi ki wo unko support karne ke liye study ke bajaay job karna chaahti hai. Aur Mummy ko aur mujhe bhi kasam di thi ki ham Papa ko is baare me kuchh nahi bataaenge. Jab 12th ka result laga tab didi Papa ko bina puchhe interview dene chali gayi. Kyu ki use pata tha ki agar Papa se puchhegi to Papa directly manaa kar denge. Isi liye wo interview ke liye chali gayi. And guess what?, Wo select bhi ho gayi. Jab shaam ko aate hai tab didi Papa ko bataane waali thi. Par Papa ko kuchh kaam se out pf station jaana pada. Aur didi Papa ko bina bataae job par jaana nahi chaahti thi. Par interview dene ke itne din baad bhi didi ke join na hone ke wajah se, didi ko office se call aya Ki unki seat kisi aur ko de denge. Isi liye agale din hi didi ne job par join kar liya. Wo Papa ko bataana chaahti thi par aamne saamne, didi ne socha jab Papa aa jaaenge, aur jab didi unhe pyaar se samjhaaengi to wo samjh jaaenge. 1 hafte baad Papa ghar aae. Papa ne didi ke baare me Mummy ko puchha to Mummy ne kuchh bhi nahi kaha. Par jab bohot jyada der tak didi ghar nahi aayi to Papa bhadak gaye. Aur Mummy ko sab sach bataana pada. Fir jab didi ghar aayi tab didi ne Papa ko bohot samjhaaya par Papa ek word bhi nahi bole. Shaayad jitana dard didi ko hua tha usase kahi jyada Papa ko hua tha. Us din ke baad 2 saal tak Papa ne didi se ek word bhi nahi kaha. Par jab 2 saal baad didi bohot jyada bimaar hone ki wajah se hospital me admit thi tab Papa ne didi se thodi bohot baat karna start ki. Par gusse se hi baat karte the. Didi ne jo bhi kiya sirf Papa ke liye kiya. Aur Papa ne bhi to didi ke liye itne saare sapne dekhe the. Galati dono ki bhi nahi thi par saja dono ko bhi mili. Papa bataate nahi hai par didi se wo aaj bhi utana hi pyaar karte hai. Par unka gussa unhe rok leta hai. Aur didi ne bhi aaj tak aisa koi bhi kaam nahi kiya jiske wajah Papa ko dukh ho ya fir Papa ka sar nicha ho, ladko se to chhodo ladkiyo se bhi wo baat nahi karti thi. Aur aaj tak Papa ke saamne kabhi bhi didi ne unchi aawaj me baat nahi ki. Par aaj, pata nahi kyu?
Shreyas:. Achha chal mai rakhta hu. Uncle Aunty mera wait kar rahe honge. Aur tu tension mat le. Mai hu na yaha, sab sambhaal lunga..
Nikhil: okay bhai.. (Shreyas ne phone disconnect kar diya)
Shreyas:. Mujhe yakin nahi ho raha tha ki Shriya apane dil me itani badi baat dabaa ke baithi thi. Mujhe to laga tha ki kisi ladke ka chakkar hoga. Par itna bada reason... Sach! Shriya jaisi ladki maine aaj tak nahi dekhi. Shriya Shedge, aaj meri najaro me teri ijjat aur bhi kai guna jyada badh gayi.
(Shreyas upar hospital me jaata hai. Shriya ki Mummy hospital ke hi ek mandir me gayi thi, Shriya ke liye dua maangne. Aur Shriya ke Papa, ward ke bahaar round maar rahe the. Jaise unki jaan andar ward me fasi hui ho. Actually jaan hi to thi Shriya unki. Shreyas unke paas gaya. )
Shreyas:. Uncle, aap kyu itana tension le rahe ho? Wo bas behosh hui hai. Thodi si weakness hui hogi that's it... Aap kyu itna stress le rahe ho?
Shriya's Papa:. Meri jagah par tu hota na to tuze pata chalta 😥😥
Shreyas:. Aapki jagah to koi nahi le sakta Uncle... Par aap Shriya ko uski apani jagah nahi de rahe...
Shriya's Papa:. Matlab?
Shreyas:. Sirf ek galati ke wajah se aap use itni badi saja kaise de sakte ho?
Shriya's Papa:. Oh. Toh Shriya ne tumhe sab bata diya 😣
Shreyas:. Shriya ne nahi Uncle, Nikhil ne. Maine abhi use hi call kiya tha, aur mujhe nahi lagta ki Shriya ne is baare me kabhi bhi kisi se baat ki hogi. Jitni fikr use aapki hai, utni hi fikr use aapke image aur aapke ijjat ki hai. Aap usase kitana pyaar karte hai wo mai aaj dekh chuka hu. Aur Shriya ko bhi pata hai, par Uncle uske saath jo behave kar rahe ho wo thik nahi hai.
Shriya's Papa:. 😶
Shreyas:. I know Uncle, mai bahaar wala hu. Mujhe aapke family ke maamle me padane ka haq nahi hai. Par Uncle, jo galat hai wo galat hai. Uncle aap Shriya ki taraf gaur se kyu nahi dekhte? Uske dil me aapke liye kitni ijjat hai, kitna pyaar hai. Aapne 5 saal pehle Shriya ko kyu ek baar apni baat kehne ka mauka nahi diya. Uncle, ek baar sun to lete uski side. Aur Uncle, aapko to garv hona chaahiye ki aapko aisi ladki mili, jisne sirf aapko help karne ke liye apni padhaai tak chhod di.
Shriya's Papa:. Kya? 😧😦😨
Shreyas:. Haan Uncle, usne aapko kabhi bataaya nahi. Yaha tak ki Aunty aur Nikhil ko bhi bataane se mana kiya tha. Aapko aisa na lage ki aapke financial problem ke wajah se usne padhaai chhod di. Aur aapko guilty feel na ho Isi liye usne ye baat chhupaai. Aur Uncle aapne to use 1 pal me paraaya kar diya. Aapko pata hai, aajkal ki ladkiya shopping, makeup, parlour aur faaltu chizo me apne Papa ke kitne paise kharch kar deti hai. Par aap kitne lucky ho ki aapko aisi ladki mili jo kam umra se aapko support karne ke baare me soch rahi thi.
Shriya's Papa:. Nahi... Tum firse zuth keh rahe ho.
Shreyas:. Uncle, mujhe zuth bol kar kya milega?
Shriya's Papa:. Aisa hota to Nikhil aur Shriya ki Mummy ne mujhe kyu kuchh nahi bataaya?
Shreyas:. Kyunki Shriya ne unhe kasam de kar chup rehne ke liye kaha tha.
To be continued...

Do Kahaaniya 💕💕जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें