5th Part

228 5 0
                                    

Shreyas's POV:.
(Mai pratham ko call kiye ja raha tha par wo phone hi nahi utha raha tha.) Me to myself:. Pata nahi kaha mar gaya 😤😤😤😤

Shriya's POV:.
Papa:. Call lagaao us number par firse.
Me:. Papa mai sach keh rahi hu mai kisi bhi ladke ko nahi jaanti.
Papa:. Tumhe meri baat sunaai nahi deti? Ya fir tum sunna hi nahi chaahati?
Me:. Papa😢
Papa:. Thike mat lgaao. Waise bhi meri baat na maanane ki toh tumhaari aadat hi hai😒. (Papa apane kamare ke taraf ja rahe the. Tabhi maine Papa ka haath pakada)
Me:. Aap jaisa kahenge waisa hi hoga. Mai abhi call lagaati hu.
(Maine usi number par call lagaaya. Par call busy ja raha tha. )
Papa:. Aur ek baar lagaao. 😡
Me:. Hmm. (Maine aur ek baar call kiya. Par phir bhi call busy hi ja raha tha. Maine approx 10 baar call lagaaya par fir bhi call busy hi ja raha tha. )
Mummy:. Mil gayi aapko shaanti? Kisi aur ladke ki wajah se aap apani beti par shaq kha rahe ho?
Papa:. Isane hi bata diya hoga ki ghar par kisi aur ne phone uthaaya toh uske bad fir se phone mat uthaana. 
Me:. Papa. Kya itana bhi bharosa nahi hai aapko mujh par? Ek baar keh dijiye ki bharosa nahi hai...
Papa:. Haan. Nahi hai bharosa. Jo ek baar bharosa tod sakta hai. Wo dusri baar bharosa todne se pichhe nahi hatega.
Mummy:. Us ek baat ko aap kab tak yuhi khichte rahoge? Arey jis ladaki ne aaj tak koi dost bhi nahi banaayi wo pyaar kya khaakh karegi. Aapane toh ise itana baandh kar rakha ki naahi wo ghar par kisi se baat kar sakti hai ayr naahi baahar. Bachhe paani ki tarah hote hai, jitana unhe muthhi me kaso wo utana hi niche girte hai.
Me:. Mummy please
Mummy:. Tu chup baith. Sirf bachcho padhaana, un par kharcha karna kaafi nahi hota. Kabhi apane bachcho se pyaar se baat ki hai aapane?
Papa:. Pyaar jataane se jyada pyaar karana jyada important hota hai.
Mummy:. Par itana bhi pyaar mat chhupaao ki saamne waala us pyaar se bekhabar Ho jaae.
Papa:. 😒

Shreyas's POV:.
Me to myself:. Yaar ye Pratham toh phone hi nahi utha raha...😤 Drushti ko call karta hu.
(Maine Drushti ko call kiya. )
Me:. Hello?
Drushti:. Hello. Kaun?
Me:. Bhaabhi mai Shreyas. Pratham hai kya ghar par?
Drushti:. Haan wo soye hai.
Me:. Bhaabhi please use uthaa dijiye na thodi important baat karni thi.
Drushti:. Okay. Hold on.
(5 minute baad Pratham ne hello bola)
Me:. Abey yaar tujhe ek number dene ke liye bola tha. Wo bhi galat diya tune. Kisi aadmi ne uthaaya tha.
Pratham:. Abey paaaaagal.. Koi aadmi nahi. Uske dad ne uthaaya hoga.
Me:. Arey but maine puchha unse ki shri hai kya.? But unhone mana kar diya.
Pratham:. Yaar tu uske Dad ko nahi jaanta. Shitttt. Ab bichaari ke ghar raamayan chal rahi hogi. Maine pehle hi tujhe warn kar diya tha.
Me:. Yaar call hi toh kiya tha. Usme itana kya problem ho gaya? 
(Fir Pratham ne mujhe uske dad ke nature ke baare me bataaya. Tab mai samjha ki ye ladaki itani shaant aur akeli kyu hai. Maine socha ki mai ek baar fir se call karke bata du ki wrong number tha. Agar galati meri hai toh sudhaarunga bhi mai hi. )

Shriya's POV:.
(Papa gusse me hi office ke liye chale gaye. Mai bhi office ke liye nikal gayi thi. Bhagwaan ji mere saath hi aisa kyu kar rahe hai? Dad pehle se hi gusse me hai aur upar se ye sab. 😢 Kyu bhagwan ji? kyu? Aur ye Shreyas hai kaun? Aur mera number uske paas? Kaise aaya? Mai scooty par thi. Phone ring ho raha tha. Maike scooty side me lagaai dekha toh usi number se call aa raha tha. Maine call uthaaya. )
Me:. Hello?
Boy's voice:. Hello. Shri?
Me:. Who are you? How did you get my number?
That Boy:. Actually wrong number tha. Sorry
Me:. Wrong number? You know what aaj tumhaare ek wrong number ke wajah se mere Papa ko aaj mai hamesha ke liye kho deti.
That boy:. Actually wrong number nahi tha. Ham kal mil chuke hai. Kal Pratham ki shaadi me.  Yaar I'm... I'm really sorry.
Me:. Sorry? Basss? Ho gaya? Ek sorry koi bhi rishta firse jod nahi sakti. Samjhe? Sab rishte time pass ke liye nahi hote. Ek sorry bol diya aur palla jhaad liya.  Are tum jaise log kya samjhoge? Tumhe toh apane Mom Dad se yuhi pyaar mil jaata hai. Mujhse puchho ek hi ghar me reh kar Papa se dur rehne ka dard kya hota hai.
Shreyas:. Listen. Mere parents ke baare me ek word bhi mat holna.😤😤😤 I know maine galati ki hai. Par mujhe kya pata tha tumhaare Papa itane khadus honge.
Me:. Kyaaa?😳😣😣😣 Kya bola tumne? How dare you? Himmat kaise hui tumhari?
Shreyas:. Tum mere parents ke baare me bol sakti ho? Toh mai kyu nahi bol sakta? Aur tum jaanti bhi kya ho mere baare me?😤😤😤
Me:. Aur mujhe jaanana bhi nahi hai. Aur haan mera number phone se delete kardo. Aur mere saaath flirting karane ka khayaal apane dimaag se. I'm not your cup of tea.
(Aur fir maine phone cut kar diya. Maine us din thaan liya tha. Ke kuchh bhi ho jaae aaj ke baad kisi bhi ladke ke saath bilkul baat nahi karani hai. Sirf 5 minute baat karne se itani badi problem ho gayi. Papa ko toh mai khone hi waali thi. Isi liye bass. Aaj ke baad no ladko se baat karna.  1 second ke liye bhi nahi. )

Shreyas's POV:.
Me to myself:. How dare she? Uski himmat kaise hui mere parents ke baare me baat karne ki😡😡😡? Bohot smart banati hai na. Ab mai use bataaunga ki usne kis se takkar li hai. Are sirf ek call hi toh kiya tha. Usme itana bhadkane ki jarurat kya thi? Par ab bass. Iski akad toh nikaalni hi padegi. Aur iski shurwaat hogi uski family se. )

{Dono ne bhi faisale kar liye the. Shriya apne Papa ke liye kisi bhi ladke se baat nahi karna chaahti thi.  Aur Shreyas apane parents ke gusse ki wajah se use apani aur khichana chaahta tha. Dono ka reason ek hi tha. Par motive alag alag tha. Aur jab dono motive ek dusre se takraaenge toh aag toh lagegi hi}

To be continued...

Do Kahaaniya 💕💕जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें