PS – When Armaan confront ridhima about his comeback and she said 'tumhari basket mar gai hai'
Aaj Tum ne mujhse pucha tha na mujse Armaan ki aisa kya ho gaya hai ki mujhe tumhare baat karne se chone se, tumhara mera pass aane se bhi problem hai aisa kya ho gaya hai. Mujhe tumhare choone se na kabhi problem thin a kabhi hogi Armaan. Ek um hi toh ho jisko mein dil se saare haq dena chahati hun. Par Armaan mein tumhe kaise bataon ki aab mein ne apne dil ki suni, toh bahut bura ho jayega. Ek gunha ho jayega mujhse jiska bhuktan humein sari jindagi bhugatna padega. Aur mein nahi chahti ki koi bhi kabhi bhi tumhe kuch kahe, abhi toh kaise bhi mein jee rahi hun par pata nahi kisi ne kuch bol diya toh mein mar jaungi Armaan. Tumhe vo pyaar toh nahi de paungi Armaan par tumhare liya baaddua bhi nahi bana chahti hun.
Mein jaati hun Armaan tum aapni maut se ladh kar mera liya aaye ho par aab kyun Armaan aab kyun. Kash wapas aane ki jagha tumne mujhe bula liya hota. Kyun ki aab jo ridhima tumhare samne hai vo tumhari ridhima nahi rahi Armaan. Kash tumhe mujhe bula liya hota toh kam se kam jindagi mein na sahi toh jannat mein hi hum dno sath hote.
Mein jati hun mera ye kehna ki 'tumhari basket mar gai hai' tumhe tod chukka tha. Par mein ne galat bhi kya kaha Armaan. Vo basket jo tumhari thi, jo khul ke hasti thi, jiski ek muskaan se tum aapna din shuru karte the, jis ke dost uski jaan the aur tum uski pehchan the sab toh chin gaya hai mujhse. Toh kahan rahi mein tumhari basket. Mar hi toh gai hai vo basket.
Tum laut ke nahi aaye jaanti hun kyun nahi aaye. Ye bhi jaanti hun tum papa se mera bare mein har baar pucha karte the, mera pass na hoke bhi pass the tum. Par Armaan ab mein us mood pe hun jahan tumhara mujhe bhool jana hai hum dono ke liya acha hai.
Janti hun ye socha asan hai par Armaan aur mein kuch keh bhi nahi sakti. Is liya tumhe hurt karna tumhare dil mein apne liya nafrat paida karna hi tumhare liye acha hoga Armaan?
Mein chahati toh hun ki tum mujhse narfat karne lago par phir bhi dil mein umeed hai ki tum nahi karoge. Ulaj ke rah gai hun mein. Apne hi aap se jhoot bol rahi hunt oh tumse kya sach bol paungi.
Tumhari Ridhima
YOU ARE READING
Ridhima's Dairy
FanfictionThis is not exactly a story, its more like a compilation of Ridhima's Emotions that I felt was never given much heed to be telecasted on the Screen.