Part 4 - Depicts Episode 569

103 3 0
                                    

Ps - In fire escape when Armaan tries to manfoy ridhima talking about his love.

Kaise Armaan kaise. Kaise batun mein tumhe ki maafi tumhe nahi mujhse manni chaiye. Sid ke ek natak ke chakar mein mein tumse jhuuth pe jhuuth bole ja rahi hun. Kyun aakhir kyun itni kamjor padh jaati hun mein tumhare bina. Tumhare sath mein ek confident ridhima hoti hun par pata nahi jaise hi tumse alag hoti hun ek dari sehemi si ridhima ban jati hun.

Shayad isiliya papa ko agta tha ki tum mujhe bigad rahe ho kyun ki tumhare liya mein ne apne papa se ek nahi kai baar jhooth bola, kai baar unki baat na maan kar aapne dil ki baat maani kyun ki pehle wali ridhima ko lagta tha ki papa hai vo sambhal lenge par tumne mujhe sikhaya ki asal mein aapne liya kuch karna kitna khushi deta hai.

Par Armaan aaj phir mein apne liya kuch nahi kar pa rahi, aapne pyaar ke liya kuch nahi kar pa rahi hun. Galti tum se hui Armaan par uske liya mein tumse chaha kar bhi naraz nahi ho sakti kyun ki usmein bhi meri hi har hogi.

Par Armaan mein kaise tumhe bataun ki mein galti e galti kar rahi hun tumhare samne hote hua bhi. Tumse jhuuth bol rahi hun kyun ki sachai chupa bhi jhuth hota hai.

Mein ne wada kiya tha tumse ki mein kabhi bhi tumhe nahi chodungi na kabhi koi dhoka dungi par shayad is kamzor ridhima ke sath vo wada bhi kamzor padh gaya.


tum bhi mera sab kuch ho Armaan sab kuch. Mera best friend, mera pyaar, meri jaan, meri khushi, meri jindagi, mera sab kuch.

bus us sab kuch se ek cheej mein ne kisi aur ko dene ki bhool kar di Armaan. Bhool kar di. Us sab kuch mein se tum bus mera humsafar nahi baan paaye.

Kyun ki tumne ek galti kar di ek kamzor ladki se pyaar kar bethe Armaan. Ek kamzor ladki se.


Tumhari Ridhima

Ridhima's DairyWhere stories live. Discover now