Part 20 - Depicts Episode 671

73 0 0
                                    

PS – When Armaan goes for a street fight and ridhima took a promise from him that he won't raise his hands for fighting. Later when ridhima tries to trash all her guilt on Shilpa Armaan finally speaks his heart out.

Aaj pehi baar tumhar yun nmujhe blame karna mujhe bura nahi laga armaan. Kyunki mein jaanti thi tum galat nahi ho.sahi toh kahan tha tumne. Aaj phir ek baar meri wajah se wapas tum us raste pe chal rahe ho. Par ek baat bata do kya tumhe lagta hai ki tumhari ridhima itni kamzor thi ki vo bahut asani se kisi aur ka haath tham leti. Kya itna hi jante ho tum aapni basket ko.

Aagar tumhe mujhe khone ka dard hai armaan toh mujhe bhi tumhe khone ka dard hai. Tum khule aam ye dard dikha sakte ho mujhe bura bhala bol sakte ho, mujhe har moke pe suna dete ho par mein.... Mein kya karun armaan. Mein toh ye bbhi nahi kar sakti, na apna dard dikha sakti hun kyun ki society ke liya tum mera koi nahi jiske liya mein kuch bhi feel karun chaye dard hi kyun na ho. Na hi tume kuch bol sakti hun armaan kyun ki mein janti hun mera naam sid se judh chukka hai ye hi sachai tumhe jine nahi de rahi, mein nahi chahati ki mein thoda bahut sukoon jo shayad bacha hai vo bhi apne words se chin lun tumse.

Bahut asani se tumne keh diya ki Tum apne aapko aur Dard dena chahte hu, itna dard k uske samne mujhe khone ka dard fika padh jaye. Par armaan tum ye kyun nahi samjhte ki vo dard jo tum khud ko dena chahate ho vo tu khud ko nahi mujhe de rahe ho. Kyun ki mein hi wajha hun tumhare aatee ko tumhare future ka hissa banana ki.

Sach mein bahut koshish karti hu mein bhi ki shayad tumhe peeche na chod ke tumhare sath chaye alag raste hi sahi chal sakun kyun ki tumhe peeche choda toh meri season ki dor shayad toot jayegi. lekin tumhari hi tarah har bar haar jati hu. Tum mujhe apne dil aur dimag se nikalna chahte ho na par mein nahi. Mein nahi tumhe nikalna chahti apne dil se aur dimag mein toh vo hi chalta hai na jo dil mein hota hai.

Tum hamesha sach kehte ho armaan par aaj, aaj tumne sach nahi kaha. Aaj pehli baar tum apni basket ko padh nahi paaye. Tumne bahut assani se maan liya ki mein apni life mein settle ho gai hun. Ki mein apni life mein aage bhad gaii hun. Nahi armaan nahi bhad pa rahi mein aage. Kyun ki tum se abhi bhi koi dhagha toh bandha hua hai jo na mein todh pa rahi hun na hi chahati hun.

Lekin Humara pyaar humari yaadein aaj bhi mere dil mein hai aur hamesha rahengi. Tumahri kahi har line ka jawab tha mera pas armaan par phir tum hurt ho jate.

Gum bus is baat ka hai armaan ki mein apni life me har faisle khud nahi le paati khud leti toh aaj tumhare sath hoti. Toh tumhari life ka faisla kaise le dun, bus chahati hun ki tum is dard se jis ka karan mein hun use nikal jao.

Ridhima's DairyWhere stories live. Discover now