PS - When karwa-Chaut day was being celebrated Were sid refuse to come so ridhima went dicey to keep a fast or not so Armaan went to convince her to keep a fast.
Kaise Armaan abhi bhi kasie padh lete ho tum ki mera dil dimag mein kya chal raha hai. Kya sochti hun kya chahati hun sab padh lete ho, jo shayad papa padh lete toh aaj yun teen jindagiyon ka Mazak nahi ban rha hota.
Mazak hi toh lagta hai na, yun tumhara mujhse pyaar karna mujhse sab se ache se samjhna phir bhi saaath na ho pana, Sid ka mera pati hona phir bhi baat baat pe taane baat baat pe sunana mera use pyaar na kar paana, aur mein pati toh sid ki hun jo mujhe sid ko haq dene chaiye vo tumhe den aka dil karta hai.
Warat toh mein ne rakha hai Armaan par vo sid ke liye nahi tha Armaan mera dil janta hai ki aapne dil ki sunna apne dimag ko hara kar kitna mushkil tha, par tumse kaise bolti isliya tumhe bol dliya Ki Sid ke liya rakha hai. Vo ek second jo mein bolte bolte rukhi thi vo apni juban se tumhara naam na nikal dun isliya rukhi thi.
Last year ye sab tumhare saath share kiya tha mein ne Armaan jab tum vo sab bol rahe the vo tumhare sath celebrate kiya karwa chaut yaad aa gaya mujhe Armaan par shayad is bar tumhare liya wrath rakh k bhi tumhe nahi bata sakti mein Armaan jindagi hi majak ban gai hai hamari.
Mehndi ka rag bhi isliya hi ghera hua than a Armaan kyun ki tumhare liya jo lagai thi. Naam nahi likha tha koi isliya tumhe samjh nahi aaya aur ye hi sahi tha. Tum chahate ho mein apni shaadi ko ek aur moka dun apne dil mein uske liya jagha banake par Armaan nahi bana pa rahi mein vo jagha. Kitni taklif hui hogi na tumhe Armaan ye bolte hua ki mujhe sid ke liya apne dil mein jagha banana hogi uske liya dil ke darwaje kholne hoge tumhe bhulana hoga. Bahuut takleef de rahi hun tumhe.
Mujhse is shaadi ko theek karne ke liya mujhe convince karne ke liya tumhe taklif nahi hoti. Aaj job hi sawal tumne mujhse puche vo sab sawalon ke jab ka jawab Armaan tha.
Kiski mujhe sab se parwah hai, kiske dur Jane se sab khali lagta hai, kis ka haath tham kar mein apni puri jindagi aage bhadna chahti hun uska jawab tum ho Armaan tum. I know hurt kar rahi hun mein tumhe baar bar par mazjoor hun mein
Armaan. Ye wart mein apni shaadi ko ek aur moka dene ke liya rkahungi par hare pyaar ko ek aur moka vo kaise dun mein Armaan kaise.....
YOU ARE READING
Ridhima's Dairy
FanficThis is not exactly a story, its more like a compilation of Ridhima's Emotions that I felt was never given much heed to be telecasted on the Screen.