Part 8 - Depicts Episode 591

85 1 0
                                    

PS - When She overheard Armaan Sid Talking in changing room about how shashank told Armaan he is reason ridhima and Sid relation went dicey and shashank asked Sid to give his relation with ridhima at-least 7 months more. 
Papa kyun nahi samjhte ki mujhe bhi kuch chaiye ho sakta hai. Mera bhi kuch maan ho sakta hai, kuch khawahish ho sakti hai. Kyun nahi samjhte vo ki chahe mera aaj job hi ho mera kal Armaan tha aur vo mera sab kuch hai. Vo pyaar hai mera, meri khushi, mera sab kuch.

Janti hun sidhant mera aaj hai par kya mera pati ban jana se use vo sab haq milte hai jo insaan pyaar mein aapne patner ko deta hai. Sab kuch jante samjhte hua bhi papa mujhse Sidhant ke sath rehne ko force kar rahe hai.

Meri aur Armaan ki sachi, hamara saath, hamara pyaar, hamari puri jorney hare k insaaan jata hai. Aur kyun na jaante Armaan ka pyaar hi kuch aisa tha. par phir bhi har koi aapna hi decision lene mein laga hai.

Armaan ka mein samjhti hun vo kabhi nahi chahata mujhe taklif ho isliya vo ye sab kar raha hai use pata hai mein papa ki baat nahi tal sakti, isi liya ye sab situation bhi hui hai par vo kyun nahi samjhta ki ismein bhi mujhe taklif ho rahi hai. Jati hun mein use show nahi karti par vo toh meri aankhein padh lia karta than a. toh kyun nahi padh pa rha ki mera uske sath na ho pana mera kiya teel teel marne jaisa hai.

Papa ki baat nahi taal pati mein toh kya unhe kabhi mujhse samjhne ki koshish nahi karni chaiye. Kya kabhi unhe ye dikhai nahi diya ki mein Sidhant ke sath khush nahi hun. Kya kabhi unhe mera dard nahi dikhta. Kehte hai maa baap sab se pehle aapka dard samjh jaate hai aapke bina bataye toh kyun mera maa-papa nahi dekh pa rahe. Kya mujhse jayada society ki parwah hai unhe.

Armaan tumhe lagta hai ki meri jandagi mein tum bahut importance rakhte ho toh Armaan tum meri jindagi ho, uksa koi chota hisa nahi jisse mein bhul jaun.

Pyaar nibhna mujhe nahi aata Armaan bus apne aapko ek tasali de rhi hun ki shayad mera kadwe words mera liya tumhara pyaar khatam ho jaye, kyunki aab is dard mein mujhe toh jeena hai par chahti hun tum aage badho. Phir dil se awaj aati hai mera saath.

Tumhari Ridhima

Ridhima's DairyWhere stories live. Discover now