PS – When Ridhima Asked Armaan to move on for the sake of their past and for the love they shared in the part.
Sharam aa rahi hai mujhe aapne aap se aaj. Aaj mein ne vo kiya hai jo shayad mein spne mein bhi nahi soch sakti thi. Jis wajha se mein Sidhant ke sath apna rishta nibha rahi thi, jis wajha se mein tumhe bholne ka natak kar rahi thi aaj vo hi wajha mein ban gai Armaan. Apne pyaar ke rishte ho badnam nahi karna chahati thi mein isliye ye sab par aaj bhud mein ne hamare pyaar ko gali de di.
Apne pyaar ko ek aise tarajo mein tool diya jahan.... Jahan shayad vo mela (dirty) ho jaye. Tumhe aage bhadne ke liya mein ne hamare hi pyaar ki kasam de di Armaan. Janti hun vo kasam tum ya mein koi nahi pura kar payega, atleast sache dil se toh nahi. Par mein aur kya Karun Armaan tumhe dard mein bhi nahi dek pa rahi hun mein. Tum un yaadon ko gale laga ke bethe ho jinka koi kal nahi, jo yaadien kabhi hakikat nahi ban payengi.
Tumse bahut asani se mein ne bol diya ki waqt badal ahi aur uske saath mein bhi par Armaan waqt ke sath mein nahi hamara rishta badal Gaya hai aur tumhe bhi rishta badlna padega Armaan. Tum kehte ho tum aage bhad rahe ho par aagar tum aage bhad rahe ho Armaan toh meri ek awaz se rukh kyun jaate ho. Kyun nahi ja pate tum jab mein tumse baat karti hun.
Jitna mein tumhe jati thi us hisab se agar tum aage bhad rahe hote toh kabhi nahi rukhte mera rokne par, dekha hai mein ne tumhe billi uncle ke saath. Janti hun tumhara ghussa, tumhari naftar, tumhari sadness, tumhara pyaar, tumhari khushi sab jaanti hun aur kyun kab kis situation mein behave karte ho vo bhi janti hun. Toh jhoot kyun bolte ho Armaan. Tum bhi jante ho ki tumhe tumse better janti hun mein.
Tumhari haar zakham mera purine ghav taja kar deti hai. Yaad aata hai ki hum kahan the aur kahan aa gaye hain. Kya kya wade kiye the ek dusre se aur.... Aaj hamare beete hua pyaar ki khatir tumse promise liya hai armaan toh mujhse badkimat aur koun hoga.
Tumahre ek 'I Promise' ne meri jindagi ko wahin rok diya tha. wahin tham gait hi meri jindagi ek pal ke liya. Par apne sawart ke liya mein tumhe nahi nuksan pahucha sakti.
YOU ARE READING
Ridhima's Dairy
FanfictionThis is not exactly a story, its more like a compilation of Ridhima's Emotions that I felt was never given much heed to be telecasted on the Screen.