PS – One with the fake AR's shaadi in the café.
OPD. Wahin toh shuru hui thi hamari kahani. Aaj bhi hum wahin khade hai Armaan. Tab bhi mein tumhe Dard hi de rahi toh aur aaj bhi. Bus farak sirf itna sa hai ki tab mein vo bol sakti thi jo mera dil mein tha par aaj. Aaj mein vo nahi bol sakti Armaan.
Tab mein ne aapne pyaar ka izhaar toh kar liya tha par aaj nahi kar sakti. I Hate You Armaan. I hate you.
Sahi kahan tha tumne do jism aur ek jaan. Hum ha toh ek hi toh jaan par ek hi ho paaaye kabhi. Aur shayad is duniya ke dar se ho bhi nahi payenge.
Mujhe tab bhi yakin tha aur aaj bhi yaakeen hai mujhse Armaan ki Armaan kisi aur ka ho hi nahi sakta.
Na chahate hua bhi mein baar baar Sid ki taraf dekh rahi thi pata nahi kyun par aapni un yaadon ko jo mein ne tumhare sath banai hai vo Siddhant ke samne ye khol ke rakhdena mujhe acha nahi lag rhaa tha. Aisa lag rha tha ki kahin na kahin mein un purine palo ko jo tumne hare liya sajaye the yaadgar banaye the vo guilt se bhar rahe the.
Kasmein wadein toh mein ek baar pehle bhi le chuki hun Armaan par kabhi bhi dil se nahi liya. Tum hi mujhe batao Armaan kaise mein vo waadien kisi aur ko deti jis dil mein tum the.
Kya kar rahi thi mein ye. Ina jhoot kaise bol sakti hun mein tumse. Kaise tumhe vo dhoka dun jiska khawab tumne itne saalo tak sajaya tha ye hi baat maar rahi thi mujhe.Tumhe ye bolna ki meri shaadi ho chuki hai mere liya maut se kaam nahi tha. Vo ek sec mein tumhari aankho mein jo khaali pan dekha than a mein ne Armaan vo aaj bhi mera dil ko khakhor deta hai.
Tum meri Jindagi the Armaan aur rahoge. Par Armaan mera pyaar jhoota nahi tha kabhi bhi nahi. Par waqt ne humein hara diya Armaan. Humein hara diya.
Tumhari Ridhima
YOU ARE READING
Ridhima's Dairy
FanfictionThis is not exactly a story, its more like a compilation of Ridhima's Emotions that I felt was never given much heed to be telecasted on the Screen.