kabhi bhi agar aap apne apko akela mehsoos karein tou upar asmaan ki taraf dekh liya karein ya phir apney dil par haath rakh ke khamoshi main apni dharkanon or apni saanson ki awaaz ko suna karein or phir apne Khuda ka shukar adaa kiya karein jisne apko banaya, iss dunya main bheja or aaj tak apko sambhala hua hai or jo agay bhi humesha thaamey rakhey ga or jisne apko zinda rehnay ke liye yeh saansein di or pyaar baantney ke liye yeh khoobsurat or saaf dil diya jo roz Ussi ke KUN pe dharakta Hai. Kiun ke ye sab karne ke baad he apko yeh ehsaas hoga ke hum kabhi bhi akelay nahi hotey. Humarey sath humesha humara Allah hota Hai jo humein 70 maaon se bhi ziada pyaar karta hai or jo humare sath tab bhi hota hai jab humara saya bhi humare sath nahi hota or jab hum zindagi se thak kar haar maan letay hain or apney apka ka sath bhi chor detay hain. Isliye Uss Rab par bharosa rakhein jo agar apki zindagi main Khiza ka mausam laata hai tou apki zindagi main Bahaar bhi Ussi ke KUN se aati hai. Jo agar apki zindagi main tapti huyi sooraj ki aagh or Garmi ka mausam bhejwata Hai tou uske baad Sardi woh taaza or thandi hawayein or woh Rehmat ki Baarish bhi Ussi ke KUN se hoti hain.

Mukhtasir yeh keh Allah, Humara Rab Woh Azeem Zaat Hai jo andheron ke baad roshni laata Hai, din ko raat or raat ko din bana raha Hai, iss nizaam e hasti ko chala raha hai, Wohi aapki zindagi main bhi buray waqton ke baad acha waqt zaroor laye ga. Bas iss azaimaish main sabar karein or Allah se umeed mat haarein.

khushiyan baantein or hansein, jeeyein, muskuraein. Kya pata kal ho na ho. Or ek akhiri baat yaad rakhna mat bhooliye ga or woh yeh keh

''Allah Kaafi Hai aur baaki sab izaafi hai.''

Pyaare Allah Aur Mein Where stories live. Discover now