humari duaein Allah ke wahan bohat khaas muqaam rakhti hain. yeh duaein band darwazon ko kholney ka zariya hain. yeh duaein band darwazon ko kholney ki kunji (chabi) hain. isliye duaein maangna kabhi bhi nahi chorni chahiyein. yeh Allah se baatein karne ka ek zariya hai. jahaan insaan Allah ko apna haal e dil bayaan karta hai. aur yakeen maniyein uske baad insaan ke dil ka bhoj zaroor halka hota hai aur insaan ko ek alag hi qisam ka sukoon mehsoos hota hai. aur agar yakeen nahi araha tou azmaa ke dekh lein. dua maangna ya dua ke liye haath uthana, yeh taufeeq yeh hidayat bhi bohat bari naimat hai jo khush qismat logon ko naseeb hoti hai. agar aap unn khush qismat logon mein se ek hain tou Allah ka shukar adaa karna mat bhooliye ga.
YOU ARE READING
Pyaare Allah Aur Mein
Non-Fictionletters to Allah, for Allah, about Allah. all the pieces of writings are non fiction and my own. no copyright infringemented.