Jis ko Allah se milna mehboob hai, Allah ko bhi ussay milna mehboob hai aur jis ko Allah se milna na gawaar hai, Allah ko bhi ussay milna na gawaar hai.Momin ke liye mout tohfa hai or yeh duniya ek qaid khana hai. Kiya humney kabhi socha hai keh hum Allah se kis haal main milein gey? Humne kabhi apnay amaal namay ke barey main socha hai?
Humein chahiye keh hum achay amaal karein takay marney ke baad humein Allah se mil kar khushi ho na keh buray kaam karein jis ki wajah se Allah humse naraaz ho. Marney ke baad jab hum Allah se milein tou Allah humse itna raazi or khush hona chahiye keh humare muskuraney se pehlay hi Allah humein dekh kar muskura rahey hon.
Woh dil jo Allah ke liye dharakta hai unn lakhon dilon main ajnabi or akela mehsoos karta hai kiun ke baaki dil tou duniya ke liye dharak rahey hotay hain. Har koyi Allah ke liye nahi jeeta, bohat saare log duniyawi cheezon ke liye jee rahey hotey hain. Isliye tou kaha gaya hai keh dil ka duniya main na lagna bhi bari naimat hai.
Jab hum Allah ke raastey main chaltey hain or Allah ke liye qadam uthatey hain tou yeh raasta bohat mushkil hota hai, iss raastey main bohat saare pathar atey hain or woh pathar log phenktey hain apni baaton se. Humare upar ghalat ilzaam lagatey hain, humari toheen kartey hain. Lekin aap yaad rakhein keh Allah apko aazma raha hota hai kiun ke Allah apnay pasandeeda bandon ko hi sab se ziyada aazmata hai or jitni bari aazmaish hoti hai, utna hi bara ajar milta hai. Or waqt guzarne ke saath saath yeh sab baatein bey mayini lagney lagein gi or yeh log or inki baatein sab bohat peechay reh jatay hain.
YOU ARE READING
Pyaare Allah Aur Mein
Non-Fictionletters to Allah, for Allah, about Allah. all the pieces of writings are non fiction and my own. no copyright infringemented.