Hum kehtay hain keh takleef or dard humein mazboot banata hai lekin asal main tou uss takleef main bhi jo sabar aata hai woh humein mazboot banata hai. Hum apnay aap ko akela mehsoos kartey hain lekin hum yeh bhool jatey hain keh hum kabhi bhi akelay nahi hotey. Humara Allah humesha humarey saath hota hai. Woh Uppar Wali Zaat kabhi apnay banday ko akela nahi chorti. Woh Rab khushi main bhi humare saath hota Hai or gham main bhi, bas Ussay mehsoos karney or pukaarne ki dair hoti hai. Jab andheri raat ke uss pehar 3 baj rahey hotey hain, poori Kainat khamosh hoti hai or band kamrey main koyi akela shakhs apnay ansoo bahata hai, tab bhi woh akela nahi hota. Woh yaqeenan apnay aap ko akela samajhta hai lekin haqeeqat main Uska Khuda tab bhi uskay saath hota hai or uskay ansoo bhi dekh raha hota hai. Agar hum waqt or cheezon ko thora waqt dein tou zindagi behtar lagney lagti hai. Jis tarhan ek din sabar apnay ikhtitaam pe ponchta hai, ussi tarhan ek din dard or takleef bhi khatam ho jati hai. Insaan agar apnay saath yeh ehsaas jor ley keh duniya chahay ussay kitna hi akela kiun na kar dey, woh asal main kabhi akela nahi hota. Uska Allah humesha uskay saath hota hai. Issay zindagi asaan ho ya na ho lekin umeed ki ek nayi kiran zaroor nazar aati hai or dil ko thora sa sukoon tou zaroor milta hai.

Pyaare Allah Aur Mein Where stories live. Discover now