Hum kitne behis or besharam insaan hain na, naam ke musalmaan hain srif. Hukam nafs maarne ka tha or hum tou zameer he maar bethay hain. Quran Paak jaisi azeem kitaab ko agar lapait kar na rakha jaye tou uski be-adabi hoti hai, humein ye tou pata hai lekin uss be-adabi ka kiya jo hum karte hain?
jaan kar bhi anjaan bante hain. Haqeeqat se bhagte hain, namaz or quran se bhagte hain lekin Allah se kaise bhag sakte hain, apne amaal-naamay se kaise bhag sakte hain. Woh lapaita hua Quran jis par sadiyon se mitti apna ghar bana rahi hai, apni uss be-adabi ka azala karne se kaise bhag sakte hain?
Quran ko kabhi tarjumay se parhne ki usko samajhne ki taufeeq he nahi ki humne. Apne iss qabar ke sathi ko humne duniya main itna akela kar diya hai. Yeh jaantey huay bhi keh qabar ke andheray main srif yeh Quran he humari roshni banega or humari hifazat karega, humein qabar ke azaab se bachaye ga.
Duniya main tou degrees haasil kar lengey hum lekin akhirat ki nah tou humare pass koyi degree hai or na he koyi guarantee.
Gunnah or sawaab ki daldal main itne phans gaye hain ke sawaab kama tou lete hain lekin usse sambhal kar nahi rakh patey kiun ke aglay he lamhey hum koyi na koyi gunnah kar bethte hain. Acha karte hain tou usse bhi duniya ke bazaar main zor o shor se ailaan kar dete hain, dekhawa karte hain ke jaise koyi ehsaan kar rahe hon. Bewaqoof itne hain keh yeh haqeeqat he nahi jantey keh aisi baatein tou srif Allah or uske bandey ke beech main he rehni chahiyein. Yeh tou raaz hote hain jo duniya walon ko batana zaroori nahi hota kiun ke hum achay amaal Allah ki raah main karte hain or nah ke duniya daari ke liye.
Sharmindigi tou hoti hai lekin khud ko sudhar nahi patey. Ab tou haal aisa hai keh apne haal pe rona bhi nahi aata.
Dil or rooh ko bay-sukoon kar ke duniyawi cheezon main sukoon dhoondhtey hain.
Apne apko apne he haathon se tabah o barbaad kar ke phir shikwa bhi Khuda se kartey hain.
Kitne besharam or behis insaan hain na hum, naam ke musalmaan hain srif.
YOU ARE READING
Pyaare Allah Aur Mein
Non-Fictionletters to Allah, for Allah, about Allah. all the pieces of writings are non fiction and my own. no copyright infringemented.