Allah tou humein baar baar mauka detay hain lekin hum kiya kartay hain? Hum uss maukay ka ghalat faida uthatey hain. Duniya ki ronaqon or rangineeyon main itna doob jatey hain keh Allah ko bhool jaatey hain. Humein pata hota hai ke humein ek mauka or milay ga isliye thoray se pashtaway ke baad hum phir se apni zindagi main masroof ho jatey hain. Lekin kabhi socha hai!? Agar Allah ne maukay dena chor diye tou kiya hoga? Abhi tou rassi dheeli hai lekin agar Allah ne yeh rassi keench li tou kiya hoga? bistar pe sotay huay neendh kaisey ajati hai itnay araam se? kabhi socha hai keh agli subha ankh duniya ki jagah qabar ke andheray main khuli tou kiya hoga? rooh kaanpi? zameer kaanpa? jism kaanpa? agar nahi tou kaanpna chahiye!
YOU ARE READING
Pyaare Allah Aur Mein
Non-Fictionletters to Allah, for Allah, about Allah. all the pieces of writings are non fiction and my own. no copyright infringemented.