zariye bananey Wali Zaat tou Allah ki Hai. jab Allah Taala kisi cheez ka zariya bana dein tou phir ussay yoon baar baar thukrana nahi chahiye. lekin ab yeh hum insaanon ko jhanjna parta hai keh konsa zariya sahi hai aur konsa ghalat. humesha apne aap ko yaad dilatey rahen ke halal thunkhuwa ki thori si raqam haraam ki bhaari thunkhuwa se bohat behtar hai. humari zindagi ka maqsad aur hamari takhleeq ki wajah Allah ki ibadat karna hai. paisa sirf ek zaroorat hai hamari zindagi ka maqsad nahi. isliye hamesha har haal mein Allah ka shukar adaa kiya karein. jo kuch bhi aap ke paas hai is ke liye shukar guzaar hon chahay woh kitna hi kam ho. jab hum haraam rasta chore kar Allah ki Raza ke liye halal rasta ikhtiyar karen ge to woh nah sirf hamein ajar day ga balkay hamaray liye band darwazay zaroor khol dein gey. Allah hamein ghair mutawaqqa tareeqon se nawazta hai. Woh aise zariye banata hai jo humare ghumaan mein bhi nahi hotey. bas Allah pe yakeen rakhna zaroori hai.

Pyaare Allah Aur Mein Where stories live. Discover now