Jab Allah humein aazmata hai tou hum aksar yeh sochtay hain keh zindagi itne imtehaan kiu leti hai?

Imtehaan zindagi leti hai ya Allah?

Kia waqai zindagi imtehaanon or aazmaishon ka ek majmua hai?

Nahi aisa bilkul nahi hai.

Hum ye kiun bhool jatay hain ke har andheri raat ke baat ujhala zaroor hota hai, umeed ki ek nayi kiran phir se jagti hai or jab sabar ka ghoont apne ikhtitam par ponchnay he wala hota hai to Allah ye imtehaan bhi khatam kar deta hai. Imtehaan acha ho ya bura, humein koi na koi sabaq zaroor de kar jata hai or aisa sabaq deta hai jo humein zindagi bhar yaad rahe..

Pyaare Allah Aur Mein Where stories live. Discover now