Beshak Allah ke faisley humare khuwabon or humari khuwaishon se behtar hain. Allah agar insaan se kuch leta hai tou uskay badlay main woh ussay deta bhi hai. Agar zakham deta hai tou marham bhi tou lagata hai. Agar dil torta hai tou dil jorta bhi tou hai. Agar zindagi ke andheray humein apnay andar hi giraa letay hain tou Allah hi tou hota Hai jo humein roshni tak laata Hai or agar khud nahi laata tou kisi insaan ko waseela bana kar humein apnay pass bulata hai, apnay dar pe. Kabhi insaan ko wapis khaali haath nahi bhejta. Jism ko nuksaan ponchey bhi tou Allah humari rooh ko bachaa leta Hai. Kabhi koyi Dua radh nahi karta. Allah ke yahan dair hai magar andhera nahi hai. Agar Allah gham o takleef deta hai tou asaani, sukoon or khushiyan bhi deta Hai. Hum insaanon ko apnay kiye gaye faislon ke baad anay waley toofan ki khabar nahi hoti lekin Allah ko khabar hoti hai isliye Woh humarey mansoobay torta hai takay humare mansoobay humein na tor sakein. 

Pyaare Allah Aur Mein Where stories live. Discover now