Ye darr bhi kia ajeeb ehsaas o kaifiyat hai na?
Kisi ko Allah ka dar, kisi ko jahannum ki aag ka dar, kisi ko apne pyaron ko kho dene ka dar or kisi ko apne ap ko kho dene ka dar hota hai.
Dar to sab ke andar hota hai, bas koi muqabla karna janta hai or koi housla kho deta hai.
Lekin insaan ke andar chahay jitna bhi muqabla karne ki himmat or housla ho, Allah ke dar or Uski taqat ke agay wo kuch bhi nahi. Isliye sab se bara dar Allah ka dar hota hai.
Log kehtay hain Khuda se daro, main kehti hoon pehle us Khuda se muhabbat to karo.
Jab muhabbat hogi to khud dar lage ga. Ye sab se paak or khoobsurat rishta hai jo na to kabhi badalta hai or na he marta hai balke humesha dilon main zinda rehta hai. Dar akelay main bohat mazboot hota hai, muhabbat usse kamzor banati hai. Akela dar na srif insaan ka housla torta hai balke usse behkata hai or ziddi bhi bana deta hai. Jab muhabbat sath hogi, to banda bhi kahe ga ye mere Rab ki muhabbat hai. Or us Muhabbat ki khatir he sahi, lekin koi bhi ghalat kaam karne se pehle, banday ke dimagh main ye khayal zaroor ayega ke main ye ghalat kaam kese kar sakta hoon. Jo Rab mujhe 70 maaon se bhi ziada muhabbat karta hai, main uske sath ghalat kese kar sakta hoon. Or yehi khayal usse ghalat kaam karne se zaroor roke ga.
Insaan tou hai he galtiyon ka putla lekin Beshak Rab sab ke dilon ka haal or neeyatein janta hai. Ye insaan to cameray ki ankh dekh kar he chaukanna (alert) ho jata hai to phir woh ye kiun nahi samajhta ke us Rab ki nazar cameray ki ankh se bhi ziada taiz hai or uski pakar bhi bohat sakht hai. Bas humari neeyat saaf or soch achi honi chahiye kiun ke amal neeyat se he shuru hota hai. Or agar koi bhi kaam kartay huay neeyat achi na ho to amal chahay jitna bhi acha kiun na ho, usse faraq nahi parta.
YOU ARE READING
Pyaare Allah Aur Mein
Non-Fictionletters to Allah, for Allah, about Allah. all the pieces of writings are non fiction and my own. no copyright infringemented.