Siraat ul Mustaqeem, seedha raasta kiya hota hai?
Allah ka raasta. woh raasta jis par Allah, insaan ka zameer or dil raazi hon. Baaz auqaat hum kahin raaston se guzartey hain, woh raastey humein waqti tor pe khushi tou de detay hain magar humare andar ke khaali pan ko khatam nahi kar saktey. Unn raaston pe manzil ki talaash main chal ke humare paoon, humari rooh, humara dil sab thak jatey hain lekin sukoon nahi milta, humein manzil nahi milti. Kiun ke unn raaston ki koyi manzil nahi hoti. Ab jaisey agar koyi insaan tooti huyi sarak par chal raha hai agay ussay manzil nahi miley gi balkay ek khadda miley ga. Ab yeh uskay upar hota hai keh woh insaan is zindagi ke andheron main doobnay ke liye khadday main girh jaata hai ya phir khud ko bacha kar roshni ki taraf laata hai.
Siraat ul mustaqeem ek aisa raasta hai jahan srif Allah or Uska banda/bandi hota hai. Kisi teesray ki wahan gunjaish nahi hoti. log is raastey main apki ungli pakar kar nahi chal saktey. woh tou bas dur se hi apko chalta hua dekh saktey hain. Lekin chalna aapnay khud hota hai. Ek ek qadam jo apka paoon uthata hai woh himmat o quwwat apko khud karni parti hai. Yeh kehnay ko tou seedha raasta hota hai lekin is raastey main bhi bohat se chotay pathar atay hain rukawatein or aazmaishein aati hain jo insaan ko Allah ke or qareeb ley jaati hain kiun ke Allah uska imtehaan le raha hota hai.
Har insaan ka Sirat ul Mustaqeem or Seedha Raasta or us par chalney ka tareeqa doosray insaan se alag hota hai haan lekin uss raastey ki Manzil sab ke liye ek hi hoti hai or Woh manzil Allah Hai.
YOU ARE READING
Pyaare Allah Aur Mein
Non-Fictionletters to Allah, for Allah, about Allah. all the pieces of writings are non fiction and my own. no copyright infringemented.