Zindagi mein insaan bohat se raaston pe chalta hai aksar thokar bhi lagti hai baad mein ehsaas hota hai ke shayad woh raasta ghalat tha zaroori nahi keh insaan humesha sahi raaste pe hi chaley. isliye Allah se humesha hidayat maangni chahiye kiun ke Allah agar hidayat deta hai tou wapis ley bhi sakta hai. hidayat hogi tou hi seedhay raaste pe chal kar Allah ke qareeb ho sakein gey. Allah hum sab ko hidayat o taufeeq dein. InshaAllah Ameen Summa Ameen.
Behtareen ilm wohi hai jo insaan khud bhi seekhay aur dusron ko bhi sikhaye matlab yeh keh uski wajah se dusron ko bhi faida ho isse bari khush qismati kiya hogi ke koyi aap ki wajah se kuch acha seekhay ya aap ki wajah se Allah ke qareeb ho jaye ya aap uske liye naiki ka waseela ya zariya banein ya phir roz e hashar woh naiki aap ke Jannat mein dhakil honay ka sabab banein SubhanAllah burayi pehlane waley tou bohat hain lekin achayi pehlane waley bohat kam. Allah humein humesha achayi phelane wala banayein aur apne pasandeeda aur qareeb tareen banday bandiyon mein chun lein Ameen Summa Ameen.
YOU ARE READING
Pyaare Allah Aur Mein
Non-Fictionletters to Allah, for Allah, about Allah. all the pieces of writings are non fiction and my own. no copyright infringemented.