Zindagi ek aisa safar hai jis ki manzil bazahir tou mout or qabar hai lekin phir bhi is safar main hum apni manzil, apna raasta khud talaash kartay hain takay hum asal manzil tak ponch sakein. Dou hi raastey hotay hain. Dou sarak. Ya aar ya paar. Dayein ya bayein. Seedha ya ulta. Sahi ya ghalat. Acha ya bura. Gunnah ya sawaab. Agay ya peechay. Gumraahi ya hidayat. Bhatakna ya raastey par hi chalna. Ab yeh insaan ke upar hota hai keh woh apnay liye kiya chunta hai. Humesha ke liye seedhay raastay par koyi nahi chal pata lekin humesha buray raastey par log chaltey hain kiun ke hidayat har kisi ko nahi milti or agar mil bhi jaye tou kiya guarantee hai ke sahi waqt par mili hai ya nahi. ho sakta hai tab bohat dair ho jaye or phir srif pashtawa baki rahey.. Zindagi ke iss safar namay main bohat se log bhi atay hain, waqt bhi badalta hai, raastey bhi badal jatey hain or insaan bohat se sabaq bhi seekhta hai agar woh seekhna chahay tou. Mukhtasir yeh hai ke is safar, sarak, raastey ki akhiri hadh Allah hai. Kuch insaan jald Allah tak apna raasta dhoondh letay hain or kuch dair se or jo reh gaye unhein phir zindagi baar baar mauka nahi deti unke liye phir srif mout hoti hai or phir marney ke baad unhein ehsaas hota hai magar tab waqt kisi taiz toofani lehron ki tarhan guzar jaata hai aur apnay saath sab kuch bahaa kar ley jata hai, peechay jo baaki reh jaati hai woh srif nadamat aur sharmindigi hoti hai..
YOU ARE READING
Pyaare Allah Aur Mein
Non-Fictionletters to Allah, for Allah, about Allah. all the pieces of writings are non fiction and my own. no copyright infringemented.