And finally!

1.3K 82 30
                                    

Shaurya-You know Anokhi mein kitna besabr tha. Kab mein tumse firse mil paunga. Iss baar laga nhi ki sab resolve ho payega.

Anokhi-I am sorry PS. Pata nhi hum dono ki jodi itni odd hai, I mean maine socha bhi nhi mujhe aapse pyaar ho jayega. In fact mein toh Chandigarh padhne aayi thi. Maine yeh bhi nhi socha ki mujhe kisise pyar ho jayega. And yeh bhi nhi socha tha ki mujhse koi pyar bhi kar sakta hai. I mean Vineet jiju ko dekhkar mujhe samjh mein aa gya tha ki shadi, pyar exist nhi karta. But mein galat thi.

Shaurya-I know tumhari experiences ke wajah se tumhare liye trust karna mushkil hai but trust me mein tumhe kabhi hurt nhi karunga. Humesha tumhara khayal.

Anokhi-Mein khud rakh lungi apna khayal.

Shaurya-Toh mein kya karunga?

Anokhi-Mujhe support.

Shaurya-Hmmm. Woh toh humesha karunga.

Anokhi-Woh PS. Aap kal wali baat repeat kyu nhi karte ho? Matlab mujhe ek baar confirm karna hai.

Shaurya-Confirm karna hai tumhe? Kya itna kafi nhi hai ki tumhare liye tumse door chala aaya.

Anokhi-Hmm hai but mein sunna chahti hoon.

Shaurya-Perfect setting mein hi kahunga abhi nhi.

Anokhi-Ok.

Shaurya-I promise jaldi kahunga.

Anokhi-Hmmm.

Shaurya-Filhaal ke liye yeh words chalenge kya- Mujhe bhook lagi hai. Maine subah se kuch nhi khaya.

Anokhi-Maine bhi.

Shaurya-Pagal ho kya? Agar joining day ke jaise kahin behosh hokar gir jati. Itne bade sheher mein kahan dhoondta. 

Anokhi-Aap pagal ho kya? Aapne bhi toh nhi khaya. And aapko agar kuch ho jata toh?

Shaurya-Toh fikar hai tumhe meri?

Anokhi-Nhi bilkul fikar nhi hai. Isliye bhagte hue Goa aa gyi. Apni khudari ko side mein rakhke Kanchan maam ke book kiye hue flight tickets chup chap le liye.

Shaurya-Hey! Hey! Achaa ok got it. Tumhe meri fikar hai. And you love me naa?

Anokhi(Blushing)-Hmmm. Maybe.

Shaurya-Maybe? Toh yeh sab karne ke baad maybe tak pohonchi ho bas? Toh definitely tak pohonchane ke liye kya karna padega mujhe?

Anokhi-Matlab? Kuch karne ki zaroorat nhi hai. Waise ab Mumbai wapas jane ka ticket karna padega mujhe. I don't want to miss college. Ek din already bunk ho gya hai.

Shaurya-Ab itni raat ko kaise jayenge. Kal subah pakka nikalte hai. And pehli flight leke Mumbai. Theekh hai?

Anokhi-Ok but raat mein kya karun? I mean kahan rahoon mein.

Shaurya-Police station dhoodne ki zaroorat nhi. Mere sath hi reh jao. I mean same hotel mein.

Anokhi-Bohot mehnga hai.

Shaurya-Arre khudar ho I know. Jab tum job karogi tab yeh paise wapas kar dena theekh hai?

Anokhi-Hmmm.

Shaurya and Anokhi go to the reception to get a room for Anokhi.

Shaurya-Excuse me ek room chahiye. Same floor mein I mean 7th floor mein.

The receptionist gives him the key.

Shaurya-Anokhi dinner toh sath mein kar hi sakte hai naa? Do you want to have dinner in restaurant yaa phir room service.

Discrete parodiesWhere stories live. Discover now