Eye candy

198 34 20
                                    

Shaan- Hmm. Shaurya koi dabav nhi hai? Take your time. Maine Aastha ko bhi sochne kahan hai.

Aastha- Shaurya ne jo socha hai woh bilkul sahi hai. Mein bhi uss ghar mein jana nhi chahti thi. Not because koi dushmani hai but yeh ghar ko banaya hai. Ab dil lag gya yahan. Toh mein nhi jaana chahti thi.

Shaurya- True mom. But hum kab jaa rhe hai. Unse milne.

Aastha- Ab mere bete ke chehre pe aai hai naa raunak.

Shaurya- Oh come on mom! Aisi baat nhi hai. Par haan mom Anokhi ke baare mein kya hum secret rakh sakte hai. I don't know why but not yet.

Aastha- Haan beta nhi kahenge. Par tum apna chehra control mein rakhna.

Shaurya- Mom ab aap bhi mera pair khichne lage ho.

Aastha- Achaa achaa woh chodo. Seriously kab jaana hai?

Shaurya- Mein soch rha tha ki Diwali pe jayenge.

Aastha- Hume toh lagega ki uss din tum dikhoge hi nhi.

Shaurya- Mom pyaar mein pada hoon. Mr.India nhi bana hoon.

Shaan- Humare bete ke context mein dono same hi hai.

Shaurya- Aap log mera pair kheechna nhi chodoge kabhi?

Shaan- Kabhi nhi. Kyunki tu usse kabhi kam pyaar karne wala. If me and Aastha have endured a long separation and my heart still flutters for her I am sure the my 100× romantic beta is never going to run out of compliments or blushes or dates or mugs of coffee for his Anokhi.

Shaurya- I hope so. I think we are powered for life. This is a very special feeling.

Shaan- I know but I don't. I guess. Been in love on day-1 and day a quarter of my life but I hope it's better. If there exists a better.

Shaurya- Thanks dad. Feels equally good to have both of you in my corner.

He engulfs his parents in a family hug.

Aastha- Iss cheez ki mujhe kabhi aadat nhi padne wali. Ki mein abhi tumhe kabhi bhi hug kar sakti hoon.

Shaurya- Mujhe bhi nhi padne wali aadat. Ki abhi har din, har din khudko rokna nhi padta. Aapko call kar sakta hoon kabhi bhi maa.

Aastha- Tum call karte ho toh woh world ki best feeling hai.

Shaurya- Aap phone uthati ho woh best feeling hai. Love you maa. Dher saara love.
He kisses Aastha on the forehead and Aastha kisses him back.

Shaan- Just saying mein bhi hoon.

Shaurya- Dad itne saal humne jitni baar dhang ke baat ki hogi ek dusre se woh ungliyon pe gin sakte hai. Par dad jab aap khush hote ho tab hum ek dusre jaise nhi baat karte. I mean Just saying mera phrase hai. And Anokhi mujhe woh phrase se bohit chidhati hai. But then I didn't know mera koi phrase bhi hai. Because woh kya hai naa itne saal notice karne wala nhi tha. But love you both. And iss phrase pe tease karne ka rak sirf meri Kapurthala express ke paas hai.

Aastha- Theekh hai... Pata hai. Tum aur tumhari Kapurthala Express.....

Shaurya- Mein aur meri Kapurthala express..... Haaye.

Aastha- Shaurya?

Shaurya- OK mom. But kya karun hai hi meri express itni pyaari. Ki bas uske paas hi rehna hai. Permanent. Forever ki ticket katwake.

Aastha- Shaurya ab tareefon ke pul mat bandho khade hoke. Jo baat kar rhe hai the woh topic pe aaye?

Shaurya- Kaunsa topic?

Discrete parodiesWhere stories live. Discover now