Plans

204 35 16
                                    

Shaurya- Hey Anokhi!

Anokhi- Hello PS!

Shaurya- Aaj ka day bohot special tha. Nayi shuruat toh ussi din se hi hui thi jis din se tum aayi thi life mein. Par jaise you know making it concrete jaise shabd humare jazbaton ko ek sach banate hai, jaise woh record karte ho ki inn jazbaton se hum guzre the waise hi iss puja ne jaise iss pal, iss khushi ko humesha ke liye kaid kar lia ho.

Anokhi- I know. Yeh din bohot special tha.

Shaurya- You know what I hate it ki unka pyaar itne late se mil rha hai. But ab sochta hoon bas jo mil rha hai samet loon. Waise tum kaho kya kar rhi ho?

Anokhi- Kuch nhi bas nakhoon kaat rhi thi.

Shaurya- Hmm. Seriously?

Anokhi- Haan!

Shaurya- OK. Aur uske baad kya karogi?

Anokhi- Kuch nhi dinner kar lia ab sone wali hoon.

Shaurya- Achaa! Itni jaldi. Das hi baj rhe hai.

Anokhi- Toh kya? Kuch kaam nhi hai. Waise bhi week day bohot hectic hota hai. Isliye so jaungi.

Shaurya- Hmm! Itni boring ho. Weekend pe thodi masti karne ka mood nhi hai kya? Kal sunday hai.

Anokhi- Toh? Mil sakte hai shaam ko.

Shaurya- Arre mein keh rha tha kuch kar sakti ho aaj raat. Considering kal late uth sakti ho. Anokhi college life khatam hone ke baad  yeh sab karne ko nhi milta. Mid life crisis feels mujhse pucho.

Anokhi- Mid life tak pohoche nhi ki crisis shuru? Kaunsa crisis aa gya aapka?

Shaurya- Aise nhi. But you know college days mein sab friends ek hostel mein rehte the. Ab agar same city mein bhi ho toh touch mein nhi. I mean kisise touch mein nhi hoon. So partying nhi hota. I don't last remember going to a party if you exclude the valentine's one. And I mean on top of that I dont think my body can ever handle that. That all night drinking stuff! I mean I just feel I am getting really old. I don't like it. Like getting old. Especially since I recently found the love of my life.

Anokhi- PS! Aap 30 tak bhi nhi pohoche.

Shaurya- I wish life thodasa aur fun hota yaar. I mean. I have you and mom and dad but I wish I could find a way to have fun actually. I wish I could have fun the way I used to have fun. Relive the old times!

Anokhi- Hmmm!

Shaurya- That's why I wish you made most of your college life. And not let it pass by sleeping!

Anokhi- PS! I actually like sleeping. I mean mein alag hoon. I don't even want to seek out all night partying experiences.

Shaurya- Anokhi aise kaise keh sakti ho? Have you ever tried? Ek baar tum try karogi I am sure you won't next time ever think of sleeping early. You know hum kitni masti karte the? Puri mehfil baitti thi. Hum sab dost milke ek room mein ikhate hote the with chiwda jo ki nachos hota tha yaa popcorn yaa khakra and daru. Aur puri raat games khelte the. Truth or dare yaa shot challenges yaa kuch aur. I mean no night was dull.

Anokhi- But?

Shaurya- Tum ladkiyan shayd sirf padhai hi karti ho?

Anokhi- Toh kya expect karte ho? Ladki piti hai toh character less. Ladka piye toh bachpana yaa jawani  yaa becoming a man. Toh obviously ladkiyan nhi piti utna. Humare lipstick ke shade tak se log judge kar lete hai. Anyways mujhe shauk nhi hai. Masti hoti hai girls hostel mein bhi. But I like my life to be aise hi. Shaanti se bhari. Aur thoda aapse milne ke excitement se bhari.

Discrete parodiesWhere stories live. Discover now