Thodisi nok jhok

297 43 14
                                    

Shaurya- Waise aaj as usual pyaari lag rhi ho.

Anokhi- Ho gya ab maaf kar dia. Ab pyaari kya lag rhi hoon mein? Wahi kapde toh pehne hai college wale aur lipstick Reema se li hai. Koi acche kapde hai hi nhi. Khair ab aapka ghar dikhaiye.

Shaurya- Chalo pehle tumhe private tour karwa doon ghar ka. Fir baaki sabko dikha denge.

Anokhi- Chalo.

Shaurya- Yeh dekho mera naya room. Kaisa laga?

Anokhi- Bohot beautiful hai PS! Mujhe toh bada pasand aaya.
She sits on the bed.

Anokhi- Bed toh kitna accha hai. Soft! Humare hostel ke mattress jaisa nhi. Jo actually itni patli aur kadak hai! Sleepwell ka hoga naa?

Shaurya- Haan! Pehle bed pe tumhara dhyaan jayega socha nhi. I thought tumhe study table mein zyada interest hoga.

Anokhi- PS! Ab hai interest toh kya karun? Bas hai.

Shaurya- Achaa! Waise color scheme pasand aaya?

Anokhi- Haan. Achaa hai. Nice room PS. Sweet!

Shaurya- Thanks Anokhi. Balcony dekhe newly renovated? Waise kuch nhi badla hai. Wahan bas clothesline naya lagaya aur woh railing badal dia.

Anokhi- Oh. Dekhte hai.

He shows her around the rest of their house and comes to the puja room.

Aastha- Ho gya tum dono ka house tour? Tumhara intezaar hi chal rha tha. Ab thodisi puja kar le?

Shaurya- Haan why not you have my permission...

Shaan- Haan tumhare permission ke bina jaise kuch toh ho hi nhi sakta.

Shaurya- Haan kyunki mere bina aapko mom se koi permission nhi milne hai. Aur aap unke permission ke bina kuch kar sakte ho? Hmmm? I think not.

Shaan- Shaurya! Tum nhi badloge naa?

Shaurya- I hope yeh Shaurya hi permanent rhe. Kyun yeh version pasand nhi aaya?

Shaan- Obviously yeh mera favorite version hai. Fir bhi room for improvement toh hai.

Shaurya- Mom! Dad se kahiye koi room for improvement nhi.

Aastha- Achaa achaa ab tum dono apna behas band karo. Warna puja raat tak nhi hogi.

Shaurya- OK but pehle dad aap accept kijiye. Ki I am the best!

Shaan- Oh God! Tum aur tumhara self obsession. I thought sirf tumhare baalon aur suits tak seemit tha.

Shaurya- I am self obsessed? Agarmein self obsessed hoon toh Anokhi obsessed kaun hai! Yeh Acp Ahir?

Ahir- Mujhe kyu beech mein laa rhe ho professor.

Anokhi- Haan? Ahir ji ne ab toh kuch kia bhi nhi!

Shaurya- Itne der se dad mere baare mein keh rhe hai meri support toh tumne ki nhi. But Ahir ke baare mein ek lafz kya kahan ki support karne lagi ho....

Anokhi- Arre! Kyunki agar maine kuch kahan toh sabko lagega ki apne boyfriend ki tareef kar rhi hoon khamkha. Aur Acp Ahir acche dost hai mere. But unse partiality utni nhi karungi jinki aapki karungi naa! I mean samjh rhe ho....

Shaurya- Haan. But kabhi kabhi khule mein tareef karna buri baat nhi. Achaa feel hoga mujhe. Aur mujhe accha feel karwana toh acchi baat hai naa!

Anokhi- Aapki tareef kya karoon! Sabko pata hai you are the best! Isse zyada smart aur intelligent ladka mujhe kahan se milta! Aur itna caring, humesha apne har student ke liye available and the sweetest person ever. Also the most enterprising and innovative boyfriend and I don't want to say kaise because kahin koi copy naa karle tumhare tricks to take care of me and make me feel special. They are our things right! I mean our moments. Not for anyone else's eyes right? I mean atleast to me PS. Hum special hai sath mein. Toh uspe aur kya kahoon! Kuch kehne ko hi nhi hai.

Pandit- Ab puja kare? Yaa shadi aur greh pravesh combine karne ka irada hai aap logon ka!

Shaurya- Nhi nhi! Arre meri shadi hogi naa toh pure Chandigarh se leke Kapurthala sabko pata chalna hai ki I love Anokhi. Isliye filhaal greh pravesh hi karte hai. But aap ghabriye nhi aapko bulayenge zaroor. Aap hi kar dena humari shadi. Theekh hai?

Pandit- Achaa toh abhi greh pravesh puja shuru kare?

Shaurya- Haan ji.

The puja gets done and they later sit down together to share a lunch. The lunch is a fun affair with delicacies and banter doing the rounds of a well laid out table. After the lunch everyone starts to leave and just as Anokhi was leaving and was at the door.

Anokhi- And I wasn't late. Mr.Shaurya....

Shaurya- I am sorry. And if you were it is...

Anokhi- But I wasn't. Bye!

Shaurya- I thought tumne maaf kia.

Anokhi- Kia maaf. Just clarifying... And I don't hold gussa in me. Chalo bye. Enjoy your new and lovely home. I am so happy for you PS.

Shaurya- I am so happy too! Chalo college tak chod doon?

Anokhi- Nhi mein aur Reema sath mein jaa rhe hai. Acp Ahir chod denge.

Shaurya- Arre mein chod deta hoon naa?

Anokhi- Nhi. I really want ki aap family ke sath yeh special din enjoy karo. And Acp Ahir police wale hai. Rash driving nhi kar sakte hai.

Ahir- Haan tumhare jaise doosron ki gadi thokne ka shauk nhi.

Shaurya- Arre kitni baar kahun ho gya galti se! Aur thodasa gusse se. Sorry.

Ahir- Finally maan gye aapne jaan bujhke kia.

Shaurya- Gusse mein hosh nhi tha. And genuinely sorry.

Ahir- Sorry accepted! Chale Anokhi ji?

Shaurya- Waah toh yeh badla le rhe hai aap? Meri girlfriend ko drop karke.

Ahir- Aisa hi kuch samjh lijiye. Agar mein aapki jagah hota toh Anokhi ji ko ek safe driver ke sath bhejta jaise ki ek Chai wale ke sath, kya tha uska naam Acp Ahir!

Shaurya- Haan Haan. Jaise Ola aur Uber ke har driver ne jaise strike kar dia ho? Anyways to be fair you are safer than me on the steering wheel. But I am not that bad either?

Ahir- You are not that bad especially after Anokhi ji ke sath ho. Chalo ab chalta hoon. Thanks for having me proffesor saab.

Shaurya- Thanks for leaving some chai for mom and dad! Bye! Take care....

How was it? Do comment!

Discrete parodiesWhere stories live. Discover now