Guilt tripping on a birthday

369 51 14
                                    

After classes that day when Shaurya reached home:-

Devi- Beta kahan chale gye the? Kitna kaam karte ho! Shagun kitna pareshan thi tumhare liye.

Shaurya- Badi Maa usme interested nhi hoon kitni baar kahun! It's over. Ussi se peecha chudane ke liye bhag gya. Aap kahoge ki usse milna hai toh bag ready hai mera.

Devi- Shaurya par!

Shaurya- Force mat kariye badi maa. I wish koi mujhe samjhta iss ghar mein. Mein Shagun ke sath ek aur minute rahunga toh paagal ho jaoonga. Dost ho sakti hai, colleague bhi but not wife yaa girlfriend. Aisa naa ho ki humari incompatibility ke wajah se kal koi aur Shaurya ko chunna pad jaaye. Nhi badi maa! Incompatibility wala rishta kab tut jaaye pata nhi. Aur Badi maa aapko pata hai naa mein kitna tadpa hoon, I mean jab mein chota hai. Abhi toh nhi. Par jab chota tha.

Devi- Shaurya! Tum dono toh compatible ho?

Shaurya- Haan itna ki woh ek din beemar ho jaoon toh apne friend ke party pe chali jaati hai puchti bhi nhi ki mein theekh hoon yaa nhi. Not that usse rokta. I thought it was normal par ab nhi! Itna toh koi insaaniyat ke naate bhi nhi karta.

Devi- Par mujhse kyu nhi kahan?

Shaurya- Jab apni girlfriend se expect nhi karta aur kisse expect karoon badi maa! Par ab nhi. Mere ek dost se seekh rha hoon. Uski wife uska kitna khayal rakhti hai. Usse bukhar bhi ho toh rone lag gyi. Matlab family wale ek dusre ki care karte hai. Chodkar chale nhi jaate.

Devi- Haan beta. Aur tum aagey se kuch bhi ho please mere paas aana.

Shaurya- Badi maa! Achaa ok... Aa jaunga.... Ab mein fresh hoke aata hoon.

Devi- Achaa beta.

After sometime Shagun comes looking for Shaurya but Devi gives her an earful and tells her to never come back again. Shagun protests, claims she has changed but Devi would not take a chance to losing her son over Shagun. What was the point if Shaurya went far from her because of Shagun.

Shaurya was meanwhile contemplating what next. What will this relationship be like? And how could he play it differently from what it already was. Anokhi at that point was thinking about planning Reema's birthday which was next day. She was thinking of organizing a cake cutting party in their room and went to plan it all with their friends. After planning they decided that one of them would keep Reema in their room on the pretext of a doubt while the rest of them would put up some small decorations and arrange cake and some snacks. After organizing all of that, Anokhi called Reema and they gave her a surprise.

Next day when Reema entered the class he saw she was wearing something different from what she generally wears and everyone were wishing her. On few enquiries, he found it was Reema's birthday. He wished her and Reema thanked him which made him think of Anokhi's birthday. He would definitely make it extra special with a nice cake which he would bake for, a nice present, something of her taste, maybe books, a nice diary, a pen or an elegant watch. But just then he remembered her birthday was over a week back. He atleast wanted to know what happened on her birthday. 

Shaurya- Reema suno! Anokhi ka birthday tha naa last week? Toh tum logo ne kaise celebrate kia. Agar mein usse abhi present doon toh theekh rahega? Yaa yeh kuch zyada hi belated hai?

Reema- Last week uska birthday tha! Usne bataya nhi! Anokhi! Anokhi!

Anokhi- Arre aise chila kyu rhi hai?

Reema- Tune bataya nhi tera birthday tha! Abhi tere priy boyfriend se pata chal rha hai.

Anokhi- Arre! Reema college mein hai hum! Kisine sun lia toh!

Reema- Woh chod pehle bata kyu nhi kahan?

Anokhi- Tune pucha aur hume aadat nhi hai celebrate karne ki. Mom ki aur di ki wishes hi birthday hai. And I don't know ki mein kis hak se birthday celebrate karoon? Jab papaji ne aaj tak maa ko kabhi wish tak nhi kia. That's why. I wish maa ke birthday pe kuch special kar pati. But mom ke birthday pe kuch khas nhi kia.

Reema- Anokhi! But hume toh tera birthday celebrate karna hai. Please naa...

Shaurya- Anokhi force toh nhi kar sakte par jaise tumhe iss baat ka dukh hota ki tum apni mom ka birthday nhi celebrate kar pati waise tumhare mom ko bhi bura lagta hoga. Agar tum apni maa se kahogi ki iss saal tumhara birthday acche se kata unhe bohot accha lagega naa. Toh bas unhi ke liye. Unki khushi ke liye. I am sure unhe yeh sunkar achaa lagega. Unhe lagega tum yahan acchese settle kar gyi ho. Tumhare dost tumhara khayal rekte hai. Hai naa? But tumhari marzi. Dil pe pathar rakar karogi toh sahi nhi hoga. Agar tumhe acche lage aur tum dil se khush jo tabhi karna. Warna nhi.

Anokhi- Sochke bolungi.

Shaurya- Sochke kehna. Jab bhi tum taiyar ho.

Anokhi- Hmm. Baad mein sochun please? Abhi mujhe library se books ka renewal karwana hai. Nhi kia toh fine ho jayega.

Shaurya- Hmmm. Kar lo. Mein bhi chalta hoon kuch kaam hai. Happy Birthday once again Reema.

Reema- Thanks sir.

Anokhi had gone.

Reema- And Anokhi ko convince karne ke liye bhi.

Shaurya- Kaisi baat kar rhi ho? Woh toh meri girlfriend.... I mean...

Reema- Aap toh itna sharma rhe ho sir? Koi kahega bhi nhi isse pehle kitni ladkiyon ko date kar chuke ho.

Shaurya- Tumhe kaise pata?

Reema- Sir har din college ke bahar ek nayi ladki ki gadi khadi hua karti thi ek waqt.

Shaurya- Oh God! Matlab sab students ko pata hoga.

Reema- So what? Aap padhate achaa ho. Vaki sab baatein kisiko matter nhi karti. Aur agar karti hai toh woh uska problem hai aapka nhi. Jahan tak mein keh sakti hoon, jab tak abse aapki gadi Anokhi ke hostel ke bahar hi mile mujhe aur kisi cheez se pharak nhi padta. Obviously aapke ghar ke bahar milne se bhi mujhe problem nhi hai kuch. But aap samjh gye naa? Aur Anokhi ko gadi chalani nhi aati isliye yeh keh rhi hoon......

Shaurya- Pakka friend ho naa uski!!! Haan baba jabse Anokhi se pyaar hua uske baad kisi aur ke baare mein soch bhi nhi sakta. Woh perfect hai.

Reema- Ek baat kahun? Koi perfect nhi hota. Anokhi bhi nhi hogi. Bas abhi aapko imperfections dikh nhi rhe. Par jab dikhenge tab bhi chodna mat. Because woh meri bestie hai. Aur secondly uska dil kabhi mat dukhana. Warna guilty mujhe lagega ki maine usse kyu samjhaya.

Shaurya- Thanks usse samjhane ke liye. Yaad rakhunga. But ek baat kaho ki tumhe apne professor se darr nhi lagta? Ki usse love gyan de rhi ho?

Reema- Anokhi se inspired hoon sir!!!!

Shaurya gives out a chuckle.

Shaurya- Ab chalo bye. Aur agar Anokhi haan kehde apne birthday ke liye please bata dena.

How was it? Do comment!!!!!

Discrete parodiesWhere stories live. Discover now