Shaurya was taking a nap on Saturday afternoon. His alarm rings at 4.
Shaurya-Oh! Anokhi aati hi hogi. Mein bhi naa so gya.
He hurries down the stairs.
Aastha-Kahan jaa rhe ho Shaurya?
Shaurya-Woh Anokhi aayegi toh intezar nhi ho rha gate par. Oh! Anokhi toh yahan hai hi nhi. Hhhmmm.
Aastha-I know tum udas ho naa. Chalo baithte hai thodi der. Chalo ab Anokhi se fursat mili hai toh maa ke sath time spend Karo.
Shaurya-Hmmm.
Aastha-Dekho toh Shaan! Shaurya mere sath time spend karne hai sunke kaise mooh bana rha hai.
Shaan-Aur nhi toh kya baap pe gya hai.
Aastha-Shaan! Aaj ke baad kuch umeed mat rakhna. Mein jaa rhi hoon bahar. Yahan beti chali gyi toh koi puchne wala nhi reh gya.
Shaurya-Maa aap bhi naa! Meri girlfriend hai woh. Aapki beti baad mein.
Aastha-Arre mein pehle se janti hoon usse toh meri beti pehle.
Shaurya-Milne mujhse aati hai woh. Aap toh bas dikh jaate ho usse. Warna uska pura attention toh mujhpe hai.
Aastha-Achaa! Aisa kahan usne ki mein Aastha maa se nhi tumse milne aati hoon.
Shaurya-Arre maa mann ki sab baatein nhi keh pati woh.
Aastha-Besharam!
Shaurya-Aap bhi naa maa.
Shaan-Arre dekho Anokhi maa bete tumhare chakar mein kaise lad rhe hai. Tum hi batao Aastha ki beti ho yaa Shaurya ki girlfriend.
Anokhi-Mein toh Aastha maam ki beti hoon.
Shaurya-Yeh theekh nhi kia. Tum yahan aao tab dikhata hoon.
Anokhi-Haan. Haan dekh lena.
Shaurya makes a grumpy face and turns away.
Anokhi-Mr.
Shaurya-Haan Mr.? Kya sunayi nhi diya.
Anokhi was blushing.
Shaan-Ab yeh kya story hai? Sharma kyu rhi ho?
Anokhi-Mein. Nhi kuch bhi toh nhi.
Shaurya-Haan kyu nhi. Just some things. Anokhi which things tum kyu nhi batati?
Anokhi-Arre tum padhane wale the. Padhao naa ab.
Shaurya-Hmmm. Chalo padha deta hoon.
Shaurya explains her the concepts.
At 10 00 pm Bebo and Kitty enter the room. Shaurya was sitting shirtless and smiling.
Bebo-Bhaiya! Hume lag rha tha padhai chal rhi hogi. Hume kya pata tha yeh sab? Darwaza toh lock kar lete.
Shaurya-Arre jab start kia tab Pata thodi tha yeh tak baat pohonch sakti hai. Waise tum logon ko kuch kaam tha. Kal kare? Haan kal karte hai. Chalo bye.
Shaurya quickly gets up and shuts the door.
Anokhi-Thank god. Bach gye.
Shaurya-Haan. Thank god. But bahi focus kare ek dusre pe thoda. Pata nhi tumhari room mate kab aa jaye.
Anokhi-Yup.
After sometime Anokhi hears knocking on her door.
Anokhi-Oh god! Isko abhi andar aana tha! Chalo Shaurya next time.
Shaurya-Hmm. But baat toh kar hi sakte hai naa?
Anokhi-Haan. But ruko.
Anokhi quickly slides on a top and opens the door and leaves with her phone.
Anokhi-Ab bolo.
Shaurya-Yaar I don't like this. I mean aise maza nhi aaya. I mean I wish you were here.
Anokhi-Toh kya kar sakte hai? Do you regret it. Should we be doing it again?
Shaurya-I don't know. Yaar. If we start it and leave it it's bad but not starting it is worse. Abhi kya karre?
Anokhi-Dekhenge yaar. But for now thanks woh concept explain karne ke liye.
Shaurya-Arre no issues. Abhi bola aur kya haal chal wahan.
Anokhi-Arre kya haal chal hoga. Next week se padhai ka stress badh jayega. Aur kya hi hai?
Shaurya-Wahan par aur kuch nhi hota kya? I mean fest, events, clubs. The fun stuff?
Anokhi-Mann nhi hai to start all over again. I just want you Shaurya.
Shaurya-Anokhi life is beyond me yaar. Chalo bye. Go and chat with that room mate now. Kal tak pura biodate chahiye uska mujhe. Test lunga. Stop being introvert. Aur kal tak yeh bhi sunna nhi hai tumne panch dost banaye hai. Theekh hai. Warna no....
Anokhi-Arre waise bhi door se kya hi ho sakta hai.
Shaurya-Achaa theekh hai.
Anokhi-Ok. Ok. Koshish karungi.
Shaurya-Thats like my girl. Bye.
Anokhi-Bye.
They keep the phone.
Shaurya-Isse toh samjha diya. Dil ka kya karun. Iss dil ko Anokhi ke eliva kya hi pasand hai. Chalo thoda garden area ghum le Shaurya aur kya hi karega.
He was in the garden area and saw all family members sitting in circle nd chatting.
Shaurya-Aap log yahan itni raat ko?
Aastha-Haan aise hi kisiko neend nhi aa rhi thi. Kitni ajeeb baat hai.
Bebo-Bhaiya abhi sabhi woh toh nhi kar sakte jo aap kar rhe the.
Shaurya-Arre. Chee yaar.
Kitty-Aap ne khud hi reveal kia. Humne kuch nhi kahan.
Shaurya-Shut up! Tum dono ko dekh lunga. Boyfriend banao apne fir dekhte hai.
Bebo-Kitty Mumbai Jane ke baad Kitty ka toh boyfriend pakka hai.
Shaurya becomes sad.
Shaurya-I will miss you yaar.
He comes and hugs Kitty. Kitty had actually joined a fashion course.
Kitty-Bhaiya me too.
Shaurya-Sab mujhe chodke jaa rhe hai. Tu bhi.
Yash-Arre Shaurya bhaiya aap toh kya softy ho. Pehle pata hi nhi tha. Itne softy ho ki ro diye. Iss jhalli ke bina Bebo bhi shant rahegi. Hum dono ka raaj chalega.
Shaurya-Aise raaj karke kya fayda. Meri pari toh Jaa rhi hai. Mein kya karunga.
Bebo-Bhaiya mein kya karungi socho aap. Nailcolor ka advice kisse lungi. Kisiki pocket money churake makeup kharidungi. Kisko kheechke shopping karungi. Kiske sath ladke tadungi. Bataiye bhaiya.
Shaurya-Mere sath tad lena. Koi baat nhi. Ab kya hi kar sakte hai.
Bebo-I didn't know you were so desperate bhaiya.
Shaurya-Shut up! Waise nhi. Bas company dunga aur salah.
Bebo-Makeup?
Shaurya-Kharid dunga. Ab khush.
Bebo-Haan. Bhaiya is the best!!!!
Kitty-Yes!
Yash-Bhaiya!
They have a group hug.
Tej-Bacha party ka rona ho gya? Abhi koi apni Umar ke hisab se behave karega.
All laugh.
So managed to write an update. Do comment kaisa laga. Pata nhi kaise bana hai yeh update. I have no idea and I will go mental thinking it is not good enough. Anyways if you like comment.
YOU ARE READING
Dooriyan diaries
RomanceShaurya and Anokhi navigating through the long term relationship phase where Anokhi is pursuing her master's in IIM Ahmedabad and Shaurya is teaching in Siac.