Burgers and tears!

418 53 21
                                    

Tej-Sunday hai Kahan jaa rha hai?

Shaurya-Bas aise hi bahar.

Tej-Woh toh pata hai kahan?

Shaurya-Cooking seekhne.

And CRASH!!!!

Cutlery falls off Devi's hands.

Devi-Yeh kab hua? Kaise hua?

Aastha-Pyaar mein bawarchi banna koi badi baat thodi hai.

Shaurya-Arre apne liye kar rha hoon. Thodi uske liye. Arre I should know some basics naa. Matlab life skill hai.

Kanchan-Bada jaldi yaad aaya aapko yeh life skill.

Shaurya-Stop it!  Chalo chalta hoon. Aa jaunga thodi sath baje tak.

He goes to the class. In the class they teach him to make chicken burger. He makes it and gets it for family.

Shaurya-Taste karke boliye kaise hai?

Aastha-Achaa hai Shaurya.

Shaurya-Sach?

He takes a bite.

Shaurya-Chi! Yaar ye toh bohot bura bana hai. Aap log sach nhi bol sakte the. Mujhse kuch nhi hota hai. Ek burger nhi bana paya. Anokhi sahi banati thi patty. Woh rehti thi toh mein sirf vegetables kata tha. Isliye patty banana kabhi sikhne ki zaroorat hi nhi padi. Woh banati thi naa. Mujhe sach mein nhi  aata kuch bhi.

He leaves and flings himself on the bed.

Shaurya-Anokhi tumhare bina mein kitna adhura hoon. Ek burger tak nhi bana sakta.

Shaurya just sees Anokhi's call. He wipes his tears.

Shaurya-Bolo.

Anokhi-Tum bolo. Kuch toh hua hai.

Shaurya-Nhi toh.

Anokhi-Tumhe sardi ho gyi hai? Tumhari naak? Mein aaoon.

Shaurya-Pagal ho. Bas sardi hi toh hai. Theekh ho jayegi.

Anokhi-Nhi. Mein aa rhi hoon. Mujhe pata hai tum apna khayal nhi rakhte. Kal subah tak aa jaungi. Bye. Ticket dekhne do.

Shaurya-Anokhi! I give up. To rha tha. Tumhe miss kar rha hoon.

Anokhi-Ab nikla mooh se sach. Call nhi kar sakte. 

Shaurya-Arre aise hi. Matlab kya hi kehta. Chodo naa ab. Tumne call kia theekh hoon mein.

Anokhi-Hhmmm theekh ho. Bohot zyada hi theekh ho.

Shaurya-Achaa woh burger nhi bana mujhse. Tumhari yaad aayi.

Anokhi-Theekh hai mein batati hoon kaise burger banate hai.

Shaurya-Mood nhi hai!

Anokhi-My Shaurya doesn't give up. It's just a burger. Come I will tell you kaise banate hai. Go to the kitchen.

He walks to the kitchen. She tells him how to make it in a fun way....

Anokhi-Chalo chicken nikalo fridge se.

Shaurya-Ok. Here.

Anokhi-Dahi lo.... Take the chicken. Add spices. Marinade. Namak dalna aata hai yaa phir mujhe bolna padega. Aur chilly ek chota chamach kafi hai. Teekhe toh tum ho hi.

Shaurya-Sach? (In husky voice)

Anokhi-Tum koi bahana nhi chodte.

Shaurya-Aur tum yeh bolne ke bahane dhundti hoon. Tumhe aise tokna pasand hai naa mujhe. Jis din mein tumhare sath flirt karna band kar dunga tab tum samjhogi. 

Anokhi-I anyways no longer get enough of it anymore. Yeh toh bas aise hi kehti hoon.

Shaurya-Anokhi? Tum theekh toh ho?

Anokhi-Hhmmm.

Shaurya-Apne best friend ko nhi kahogi? Mujhe toh kehti ho ki jab bhi tumhe miss karun call kar doon aur khud aise chupa leti ho.

Anokhi-I miss you. I really miss not seeing you around college. Yeh abhi tak sink in nhi hua. Aur weekend pe toh bohot hi miss karti hoon tumhe. Aur raat ko achanak se pata nhi kaise yaad aa jati hai tumhari. Koi bhi random gana tumhari yaad dilati hai. Har ek cheez tumse share karne ka mann karta hai. Whatever bit of the world I see, I want you to see it. I want to walk with your hand in mine. I miss your hand. I miss the touch of your blazer Shaurya. I miss it. I like running my hand on your shoulder. I used to feel safe in your arms.

Shaurya-And I used to feel safe in yours.

There is a moment of silence.

Devi steps into the kitchen.

Devi-Burger banega yaa nhi?

Anokhi and Shaurya quickly wipe their tears.

Devi-Beta theekh ho? Shaurya ki yaad aa rhi hai? Usko bhejun wahan. Hum aaye?

Anokhi-Arre nhi. Waise bhi kuch mahine baad aa rhi hoon mein sabse Milne.

Devi-Beta maa se aansoon nhi chupate. Aur tu bhi Shaurya.

Shaurya hugs Devi.

Shaurya-Maa!

Devi-Arre! Woh aa jaegi. Tumhe waqt ka pata bhi nhi chalega. Aur Anokhi bacha apna khayal rakho. Aise udas mat rehna. Dekho tum itni mehnat se wahan tak pohonchi ho agar bhi aise isko enjoy nhi karogi toh kya fayda.

Anokhi-Aap logon ki bohot yaad aati hai.

Aisha-Hello! Aunty aap mat ghabrao. Mein dhyaan rakhungi iska. Shaurya your girlfriend will be ok. Don't worry.

Shaurya-She better be!

Aisha-But you know aap cute lagte ho crying!

Anokhi hits Aisha.

Devi-Arre! Yeh kya chal rha hai? Waise yaad aaya burger kab banega?

Anokhi-Bas ban gya. Shaurya ab usko aur panch minute grill karna. Fir pehle lettuce. Uske baad party. Uske upar lettuce. Fir tomato. Fir lettuce.

Shaurya-Ok. Aur sauce?

Anokhi-Haan. Arre maine jane se pehle burger ke liye alag se sauce rakha tha. I know tumhe Mera banaya hua sauce kitna pasand.

Shaurya-Anokhi! Kitna rulaogi. Itna pyaar kyu karti ho haan?

Anokhi-Tumse zyada nhi.

Devi-Arre ro mat ab. Ban gya burger. Chalo baki mein help kar dungi Shaurya ki. Tum khana Khao Anokhi. Fir mess ka khana skip ho jayega tumhara.

Shaurya-Haan mein toh bhul hi gya. Jao khana kha lo.

Anokhi-Sath mein khaye Aaj please. Bohot zyada yaad aa rhi hai.

Shaurya-Arre ro mat. Sath mein khayenge sab theekhe. Apne hath se khilaunga.

He takes the burgers to the table. And puts in front of the phone. As Anokhi bites her food.

Anokhi-Shaurya neend aa rhi hai. Bye!

Shaurya-I know Anokhi. Tum jao.

He knew she was emotionally overwhelmed so was he. They cried in their rooms and slept.

How was it? I know thoda alag tha. Just trying to give you all flavors of long distance. Bon appetite!!!! Please comment guys. I love reading your comments.........❤️🙏

Dooriyan diariesWhere stories live. Discover now